Nino
Guest
|
Na gham hai na hai ehsaas khushi ka na deed hai na hai intezaar kisi ka main to aklela chal raha hoon andheron mein ab to ye bhi yaad nahi kab hua tha samna rosheni ka
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #1 on: October 06, 2004, 07:38:49 PM » |
|
NiceNino...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #2 on: October 07, 2004, 06:02:13 AM » |
|
nice one nino...............khoob......
in dil ki dhadkanon ka maine kyon aetabaar kia sehra ki dhool hoke aik samandar se piyaar kia yaqeen to hai ke bichar kar tujh se na milenge kabhi jab tak dharakta raha yeh dil hamne tera intezaar kiya…..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Nino
Guest
|
|
«Reply #3 on: October 07, 2004, 06:10:23 AM » |
|
bahut bahut shukria aap dono ka waheed ji aur pooja ji thank u
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Nino
Guest
|
|
«Reply #4 on: October 07, 2004, 06:11:34 AM » |
|
aur waheed ji aap ka to jawab nahi aaisa sher likha hai ki mai sooch mein pard gaya hoon ki kya likhon
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Nino
Guest
|
|
«Reply #5 on: October 07, 2004, 06:24:27 AM » |
|
Ek Koshish
aye hai toofan kayi meri zindagi mein bikhre hai arman kayi meri zindagi ke ab to na hai toofan ke aane ka daar na hai muhje is zamane se koi aas per
Jiye ja raha hoon tere intezaar mager kabhi to hogi is shyam ki saher kayi diye jal kar bhuj gaye hai andheron ka bad raha hai asaar
Zindagi kis mood per aa ke ruk gayi hai ab to ye bhi yaad nahi kis cheez ka naam khushi hai ehsaas e gham to maar chuka hai ab to sirf sans ka tanau ruka hai
Qaber pe aa ker meri mujh pe ye ehsan na karna is pyaar ki khatir koi aaisa kaam na karna main to jilonga gumnaam andheroon mein khud ko meri khatir badnaam na karna
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #6 on: October 07, 2004, 03:19:51 PM » |
|
Wah!!!!!!!!!1 Nice Nino.......................Bahot Khoob..........accha jawaab aap ka.......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #7 on: October 07, 2004, 03:35:54 PM » |
|
andehree raat main rehtay tou kitna accha thaa hum apni zaat main rehtay tou kitna accha thaa dukhoun nai bant liya hai tumharay baad humain tumharay haath main rehtay tou kitna accha thaa.............
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Nino
Guest
|
|
«Reply #8 on: October 07, 2004, 05:43:04 PM » |
|
wah waheed ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Nino
Guest
|
|
«Reply #9 on: October 07, 2004, 05:44:52 PM » |
|
koi humdum na raha koi sahara na raha hum kisi ke na rahe koi humara na raha (NM)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #10 on: October 08, 2004, 10:05:19 AM » |
|
Wah!!!!!!!! Nino................
mutmaen ho dil to sehraon ke sunate bhi geet dil ujar jae to shehron mein bhi tanhaiyan bohat..................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Nino
Guest
|
|
«Reply #11 on: October 09, 2004, 10:36:01 AM » |
|
wah weheed ji nice
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Nino
Guest
|
|
«Reply #12 on: October 09, 2004, 10:45:24 AM » |
|
Umer bhar nibhaungi saath tera ye khehti hai bad kismati meri ab to ye bhi yaad na raha ki kab dekhi thi maine surat teri un jalwo se nikal kar dekho to zara ki kaisi hai zindagi meri tum aajao mere paas aaisi nahi kismat meri
umer bhar nibhaungi saath tere ye khehti hai bad kismati meri
main to laot jaata us rah se hi jis per padi thi nigah teri kismat ko tha manzoor ki hui mulakat teri aur meri ab to laot jaoun to jaoun kahan har taraf aati hai nazer surat teri tum khush rahon har dum bas yahi hai khuda se ek duwa meri
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #13 on: October 09, 2004, 02:55:55 PM » |
|
Waah.............Nino..........Nice Words.....
main to laot jaata us rah se hi jis per padi thi nigah teri kismat ko tha manzoor ki hui mulakat teri aur meri ab to laot jaoun to jaoun kahan har taraf aati hai nazer surat teri tum khush rahon har dum bas yahi hai khuda se ek duwa meri.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #14 on: October 09, 2004, 03:02:05 PM » |
|
Tum kya jaano main khuda se kya maangta hoon Tumhari salamati ki hamesha dua mangta hoon
agar anjaane mein ho jaaye koi tumse khata tow do mujhe uski saza yeh maangta hoon
agar lag jaaye koi chot tumko ya ho jaao tum pareshaan tow mere haq mein woh saari takleefein maangta hoon
ya khuda mere mehboob ko ghum se door rakhna din raat tumhaare saare ghum maangta hoon
tum ho hameshaa kaamyaab tumhaari har khwaahish puri ho bus yeh chaahti hoon aur tumhari khushi maangta hoon
Main jaanti hoon ke tum mere nahin ho lekin main hameshaa khuda se tumhaara saath maangta hoon ........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|