Ghazal: Bewafaa'ii kaa zamaanaa haii wafaa kyuuN karte hoN...!

by DhavalRami on March 25, 2012, 07:37:51 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1003 times)
DhavalRami
Guest
Mere Pyaare dostoN:

namaskaar aur Aadaab!

aik koShiSh bazm mein peSh kar rahaa huuN... ummid kartaa huuN aap sab ko pasand aayengii... mulA'iizaa farmaayeN
 
******************************************

Bewafaa'ii kaa zamaanaa haii wafaa kyuuN karte hoN
zaKhm Khaate hii raho yaaroN dawaa kyuuN karte hoN

teri kismat meiN nahiiN thaa pyaar kaa rangeeN mausam
fir bhi baateN pyaar ki har waQt bhalaa kyuuN karte hoN

haaN ye aadat haii baDii zaalim jo tujh ko lag gayi haii
log to kehte rahenge sab sunaa kyuuN karte hoN

aik se nahi bewafaa'ii kar tuu hazaaroN se aiisii
baat baDi seedhii si haii samjho manaa kyuuN karte hoN

Shaam Dhalte hii parinde aayenge Ghar meiN apne
Ghar kahe subHa ke hone par uDaa kyuuN karte hoN

Qaafiyaa matlaa-o-maQtaa beH'r aur radeef hai kyaa?
dil ki baateN liKh do auroN ki sunaa kyuuN karte hoN


******************************************
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: March 25, 2012, 07:51:28 AM »
bahut khoob dhawal ji
Logged
SkykiTears
Guest
«Reply #2 on: March 25, 2012, 07:59:53 AM »
Bht Khoob Aur Lajawaab Likha Hai Aap Ne Dhaval Ji.. Applause Applause Usual Smile
Logged
Gyan Prakash
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 14 minutes.

Solitude..!!

Posts: 465
Member Since: Jun 2011


View Profile
«Reply #3 on: March 25, 2012, 08:17:22 AM »
Bahut Khub..!!
Logged
sbechain
Guest
«Reply #4 on: March 25, 2012, 08:41:03 AM »
Mere Pyaare dostoN:

namaskaar aur Aadaab!

aik koShiSh bazm mein peSh kar rahaa huuN... ummid kartaa huuN aap sab ko pasand aayengii... mulA'iizaa farmaayeN
 
******************************************

Bewafaa'ii kaa zamaanaa haii wafaa kyuuN karte hoN
zaKhm Khaate hii raho yaaroN dawaa kyuuN karte hoN
 matla acha hai. per paigham ghalat hai[/b] Is it SO! Is it SO! Is it SO!
teri kismat meiN nahiiN thaa pyaar kaa rangeeN mausam
fir bhi baateN pyaar ki har waQt bhalaa kyuuN karte hoN
isme buraai kya hai. Embarrased Embarrased
haaN ye aadat haii baDii zaalim jo tujh ko lag gayi haii
log to kehte rahenge sab sunaa kyuuN karte hoN
ye sahi baat hai kaan ka kachcha nahin hona chahiye[/color] Applause Applause Applause
aik se nahi bewafaa'ii kar tuu hazaaroN se aiisii
baat baDi seedhii si haii samjho manaa kyuuN karte hoN
 icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratchnahin samajh aayi baat

Shaam Dhalte hii parinde aayenge Ghar meiN apne
Ghar kahe subHa ke hone par uDaa kyuuN karte hoN
rozi-roti ka sawaal hai dost[/b] Usual Smile
Qaafiyaa matlaa-o-maQtaa beH'r aur radeef hai kyaa?
dil ki baateN liKh do auroN ki sunaa kyuuN karte hoN
ghazal to phir aise hi likhi jaati hai. hum chahe is baat ko maane ya na maane.
 likhne ke apne adaab hain.radd-o-badal ki gunjaaish nahin [
/b]
tongue3 tongue3 tongue3 tongue3 tongue3

******************************************[/b][/color]


good..................!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: March 25, 2012, 09:38:04 AM »
Dhaval Saheb Aadaab!

Welcome back janab...
Behad achchi kalaam lekar aaye hai... sabhi ahsaas o
khayaal behad khoob rahe... Usual Smile

Aik khoobsurat kalaam par dili daad o mubbarakbad
kabul kijiye... Usual Smile

Likhte rahiye... aate rahiye... Usual Smile
Shaad o aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #6 on: March 25, 2012, 04:35:16 PM »

Dhaval Mere Bhaiiiiiiiiii.... Jab Bhi aate ho Dhamaake ke Saath aate Ho... Dil Ko Chhoo Gai Yaaar aapki Yeh Nazm.... ek ek lafz Such likha hai aapne.. Waqai Bewafaai Ka Zamaana Hai.. Aur yeh aaj ka subse Bada Such Hai.. !!

Aakhiri Jumla to Bas jaise jaan Hi Le gaya.. Kamaal Ka likha hai Bhai.. Applause Applause Applause Applause

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



**~** Mann **~**
Logged
sarfira
Guest
«Reply #7 on: March 25, 2012, 06:20:32 PM »
waah janaab--
aisi ghazal parhne ko mile to il gaddgadd ho jata hai--
bht bht daad Dhaval sahab

aate rahie
khus rahie
muskurate rahie
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: March 26, 2012, 05:42:24 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause bahut bahut khoob likha hai aapne Dhaval ji...!!!
Logged
mkv
Guest
«Reply #9 on: July 16, 2012, 04:28:27 PM »
Bahut umda ehsaas-o-khayaal pesh kiye hai aapne.
Applause Applause
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:42:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer