Ghazal: hum rote nahiN tere jaane kaa Ghum kar ke.....!

by DhavalRami on October 29, 2009, 11:55:33 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1505 times)
DhavalRami
Guest
Mere Pyaare dostoN:

Namaskaar aur Aadaab!

kuch ehsaas jo ek arse pehle kaaGaz pe utaare the.. aap sab ke saath baaNT rahaa huuN.. dil ke ehsaasoN ko kaaGaz pe laane ki ik ChhoTi si koShiSh uss waQt maine kii thee.. ummid kartaa huuN aap sab kaa saath Zaruur milegaa!

**************************************************

hum rote nahiN tere jaane kaa Ghum kar ke
baiThe rehte nahiN apnii aaNkhoN ko nam kar ke

naam mi'TaaYeNge teraa dil kii har dhaRkan par sey
tujH sey juRi hu'i yaadoN ko dil sey kam kar ke

bhoolaa duuN tujH ko achchhaa'ii ee'sii meN hay
karuN kyaa guzre laMhoN ko dil meiN faraaham kar ke

faraaham : i'kaTThaa

naa aaYeNge terii raah meiN kabhi bhi sanam ab
door chale jaaYeNge muHabbat yahiN pe Khatam kar ke

tumne hii banaayi thi ZiNdagi jannat si "Dhaval" kii
KhuSh ho aaj u.sii ziNdagi ko jahannam kar ke

*************************************************
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: October 29, 2009, 12:29:50 PM »
JSK !

Waah Dhaval ji... Bahoot Bakoobi se dard ko Lafzo mea utaara hai.. Bahoot Bahoot Khoob!
Logged
cara
Guest
«Reply #2 on: October 29, 2009, 02:13:39 PM »
kya baat hai   dhaval ji....

HAM ROTE NAHIN TERE JAANE KA GHUM KARKE
KYUN GUJAARUN AB MEH ZINDAGI TUMHE YAAD KARKE
JAB TUNE HIMMAT KI HAI ZINDAGI JEENE KI HUM SE ALAG HOKE
HAM BHI JEE KAR DIKHAYENGE APNI ZINDAGI TUMSE JUDAA HOKE.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: October 30, 2009, 04:40:10 AM »
Wah bahut khoob Dhaval ji n  Cara ji,very touching gazal,lovely creation,excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #4 on: October 31, 2009, 07:02:39 AM »
Dhaval Ji aapne bahut hi khubsurati se dard ko utara hai apne alfajo mein humne aapki last ki ye char line bahut hi pasand aai 


naa aaYeNge terii raah meiN kabhi bhi sanam ab
door chale jaaYeNge muHabbat yahiN pe Khatam kar ke

tumne hii banaayi thi ZiNdagi jannat si "Dhaval" kii
KhuSh ho aaj u.sii ziNdagi ko jahannam kar ke

*************************************************

Nice work and excellent creation Dhaval Ji  Applause Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #5 on: October 31, 2009, 07:04:14 AM »

HAM ROTE NAHIN TERE JAANE KA GHUM KARKE
KYUN GUJAARUN AB MEH ZINDAGI TUMHE YAAD KARKE
JAB TUNE HIMMAT KI HAI ZINDAGI JEENE KI HUM SE ALAG HOKE
HAM BHI JEE KAR DIKHAYENGE APNI ZINDAGI TUMSE JUDAA HOKE.

Cara Ji aapne bhi bahut hi acccha likha h Applause Applause
Logged
fak83
Guest
«Reply #6 on: August 18, 2011, 12:39:02 PM »
Cara Ji aapne bhi bahut hi acccha likha h Applause Applause
Logged
Ameen Asim
Guest
«Reply #7 on: August 19, 2011, 07:38:26 PM »
janaab Dhaval sahib

aadaab!
aap ka khoob soorat kalaam parrnay ko mila,,,,

waah dili daad qobool kijiyay..

aik baat keh aik aashiq ko to aisa kalam nahiN kehna chahiyay,,,,

mahboob ko to yaad hi kia jaata hae us ki bewafaai per bhi ,,, us ki dushnaam per bhi khushi ka izhaar hi karta hae aik aashiq..
aap to usay bhool jaanay ka ehd kar rahay haiN,,,,

sory naaraz nahin hona,,,
yoo'n hi aisa likh dia hae, maira maqsoood dil aazaari nahiN sirf mahboob baaray apne khayalaat ka izhaar matloob tha...

MukhiC
Ameen Asim
Logged
Shaifali
Guest
«Reply #8 on: August 22, 2011, 06:24:09 PM »
very nice bohat bohat khoob dhaval saheb
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 11:34:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer