DhavalRami
Guest
|
Mere Pyaare dostoN:
Namaskaar aur Aadaab!
aaj bazm meiN apnii taazaah koShiSh ko liye haaZir ho rahaa huuN.. ummid kartaa huuN ab tak jo aap sab kaa saath aur pyaar milaa hai ees baar bhee Zaruur mileNgaa.. ik ChhoTii sii koShiSh kii haii.. aap sab apnii Qeemtee raa'ey Zaruur deejiyeNgaa! mulA'iizaa farmaayeN!
************************************
maah-e-ramzaan ki itni sii haii duaa tum se rahe.n door GhumoN kaa Qaafilaa
dil meiN tum hii tum ho aur haii wafaa tum ho mi'raa sab kuch tum ho mi'raa Khudaa
jab se tum aayiiN ho ziNdagi meN mi're log kehte hai.n tu itnaa bhee haNStaa hai kyaa?
mere dil kii KhwaahiSh haii bas yahee apnoN meN ti're naam mi'raa bhee ho zaraa
tum ho mi'ree maNzil tum ho mi'raa junooN marte dam tak dil meiN rahOgee sadaa
har lafz "Dhaval" ne kuch yuN kaheN hai kii Khud ko mujhse kar naa paaOgee judaa
************************************
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
madhuwesh
Guest
|
|
«Reply #1 on: September 16, 2009, 03:16:05 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
deepika_divya
Guest
|
|
«Reply #2 on: September 16, 2009, 04:29:06 PM » |
|
Waah Waah Kya baat hai Dhaval ji.. Bahoot Bahoot Khoob Likha hai..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #3 on: September 16, 2009, 04:51:17 PM » |
|
Bohot Khoob Dhaval Ji p.s. Par ye Shayari-e-Dard main kyun >
|
|
|
Logged
|
|
|
|
DhavalRami
Guest
|
|
«Reply #4 on: September 16, 2009, 05:13:24 PM » |
|
Bohot Khoob Dhaval Ji p.s. Par ye Shayari-e-Dard main kyun > talat jee:
Aadaab!
aapka Khat paRhaa.. sab se pehle tou Ghazal kii pazeerA'ii ke liye maiN aapka be-had ShuKraGuzaar huuN!
aapne baat ki hai Ghazal Shayri-e-dard meiN kyuuN.. ees Ghazal ke ehsaas kuch yuuN haii.. ees Ghazal meiN ek aik laRkaa ek laRkii ke liye duaa kar rahaa hai jisse wo bahot pyaar kartaa hai wo pyaar duaaoN ke Zar'iiye wo bayaaN kar rahaa hai.. haalaaNki wo abhee tak usse milii nahiiN.. wo kehte hainaa aik tarfaa pyaar!
isiliye liye maine yeh aik Sher arz kiyaa hai uss meN
"" mere dil kii KhwaahiSh haii bas yahee apnoN meN ti're naam mi'raa bhi ho zaraa""
Sher meiN yeh baat maiN kehnaa chaahtaa thaa kii uss laRke ki KhwaahiSh bas yahee hai ki wo laRki ke apnoN meN Shaamil honaa chaahtaa haii.. uskki chaahat yeh hai ki wo laRki jab apnoN ke baare meN soche to usska bhee naam ho zaraa.. agar wo laRki laRke ko apnaa maanti ya laRke ko ees baat ka ehsaas hotaa to yeh duaa nah hotee ees Sher meiN.. yeh meraa maaanna hai!
maiN chaahataa thaa pyaar bhare lafzoN meiN aik dard ko bayaaN karne ki alag koShiSh .. uss pyaar meiN base .. pyaar bharii duaaoN ke pichhe uss dard ko bayaaN karuuN!
Ghalti merii hai ... maiN wo kar nah sakaa..jo maiN chaahtaa thaa! M'waafii chaahtaa huuN.. Ghalat section meiN Thread ko post karne ka iraadaa nahiiN thaa meraa!
Moderator se darKhaaSt haii ki wo ees Thread ko Shaa'iiree-e-iShQ meiN Move kar deN!
talat jee :
koShiSH ko apnaa Qeemtee waQt dene ke liye SHuKriyaa'h! aapne jo sawaal uThaayaa wo waajib thaa! maiN usske liye SharmiNdaa huuN!.. kuch Ghalat kahaa ho to M'waaf keejiyeNgaa! yuuNhi paRhte raheN aage bhee!
KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN
duaaoN ke saath ijaazat
aapka
~ Dhaval
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #5 on: September 16, 2009, 05:50:28 PM » |
|
Arre nahin Dhaval Ji, ab jab ki aap ne poora explain kiya to zaahir hai ki aap ne jis feelings se ye ghazal is section main post ki, wohi jagah iske munasib hai...........Ma'af kijiyega main aap ke ehsasat pehle nahin samajh paayi. Aap ka bohot bohot shukriya, aapne itna waqt diya aur samjhaya.......Yunhi likhte rahiyega
|
|
|
Logged
|
|
|
|
madhuwesh
Guest
|
|
«Reply #6 on: September 16, 2009, 11:05:56 PM » |
|
you are such a nice person Dhaval ji.God bless you.tke care, bahut acha likhte ho aap.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
DhavalRami
Guest
|
|
«Reply #7 on: September 17, 2009, 04:34:01 AM » |
|
Arre nahin Dhaval Ji, ab jab ki aap ne poora explain kiya to zaahir hai ki aap ne jis feelings se ye ghazal is section main post ki, wohi jagah iske munasib hai...........Ma'af kijiyega main aap ke ehsasat pehle nahin samajh paayi. Aap ka bohot bohot shukriya, aapne itna waqt diya aur samjhaya.......Yunhi likhte rahiyega talat jee:
Aadaab!
M'waafii maaNg ke aap mujhe Sharamsaar na keejiye! mere liye apne dostoN ki har raa'ey baRii Qeemtee hotee haii! aapne merii koShiSh ko paRhaa aur samjhaa mujhe bahot hi KhuShii hu'ii .. darKhaaSt yahee hai kii aage bhee saath dete raheN ! apnaa Khayaal raKheN.. KhuSh raheN
duaaoN ke saath ijaazat
aapka
~ Dhaval
|
|
|
Logged
|
|
|
|
DhavalRami
Guest
|
|
«Reply #8 on: September 17, 2009, 04:39:21 AM » |
|
you are such a nice person Dhaval ji.God bless you.tke care, bahut acha likhte ho aap. Madhuwesh jee:
namaste!
aik iNsaan tabhee achchhaa ban saktaa haii jab usse achhe logoN kaa saath mil rahaa hoN! maiN baRaa KhuShnaseeb huuN ki mujhe aap sab dostoN kaa saath mil rahaa haii.. aap sab ke saath se aage liKhane kaa hausilaa'h miltaa haii! maiN aap sab ki koShiShoN ko paRh ke hi seeKhataa huuN kii kis tarah alag alag naZariye se hum apne ehsaasoN ko bayaa.n kar sakte hai.n! to saath dete raheN yuuNhi ees safar meiN!
KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN
duaaoN ke saath ijaazat
aapka
~ Dhaval
|
|
|
Logged
|
|
|
|
DhavalRami
Guest
|
|
«Reply #9 on: September 18, 2009, 03:57:00 PM » |
|
Madhuwesh jee:
namaste!
Ghazal ki pasaNdagee ke liye bahot bahot ShuKriyaa'h.. duaa hai aap haMeShaa KhuSh raheN.!
apnaa Khayaal raKheN... duaaoN ke saath ijaazat
aapka
~ Dhaval
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|
DhavalRami
Guest
|
|
«Reply #12 on: September 20, 2009, 04:37:02 AM » |
|
Waah Waah Kya baat hai Dhaval ji.. Bahoot Bahoot Khoob Likha hai..
Divyaa jee:
namaste!
bahot bahot ShuKriyaa'h Ghazal ko pasaNd karne ke liye!
KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN
duaaoN ke saath ijaazat
aapka
~ Dhaval
|
|
|
Logged
|
|
|
|
DhavalRami
Guest
|
|
«Reply #13 on: September 21, 2009, 09:47:29 AM » |
|
bahoot khoob bekarar jee:
namaste!
Ghazal ki pasaNdagee ke liye maiN aapka maShkoor huuN! paRhte raheN yuuNhi
KhuSh rahe.n ... apnaa Khayaal raKheN
duaaoN ke saath ijaazat
aapka
~ Dhaval
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|