roomaharis
Guest
|
:cry: Andheri raat me kahin roshni bhi mil jaye gi Dhundho ge to tum ko zindagi bhi mil jaye gi
Chalte raho raaste me hamsafr koi ban jaye ga Irada pukhta rakho ge to Manzil bhi mil jaye gi
Jina dubhar ho raha hai nafrat ke is daur me Khojne pe shayad kahin chahat bhi mil jaye gi
Zeest ke tapte sehra me chalna hai akeley tujhe Maut ki chhawon aayi rahat bhi mil jaye gi
Zindagi ko yun raigan na karo HARIS Misl-e-barf hai yeh bhi pighal jaye gi :cry:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
roomaharis
Guest
|
|
«Reply #1 on: October 26, 2004, 12:00:21 PM » |
|
:cry: Jab Tum Hamaray Dil ke Dard ko Na Samajh Sakay
Tumharay Samney Phir Hum Dukh ka Izhar Kiya Kartay
Aankhoon Main Aansoon ki Baraf Se Jamm Gayeh
Phir Aungliyoon Per Hum Apnay Dukh ka Shumaar Kiya Kartay
Har shakhs Ne Jin ko Nafrat he Di Har Pal
Bhala Batow Woh Log khudi Sey Pyar Kiya Kartay
Har Qarz he Jab Apni Jaan Per Boojh Hova thehra
Tu Rakh k Kisi Ki Yadoon Ka Audhaar Kiya Karty
Bhawanar je likh diyah ho Jan Ney Jin ki Kismat Main
Wo log Phir auter ke Pyar kiya Kartay
Jin k Dukhoon Main Dil ka Sukoon he Punhaan Tahrah
Nikal Kar Pair Apnay Dil Sey un ka Khair Kiya Kartay
Jab Yaadain Teri Meray Dil Ki Makeen Ho Gayen
Suno....Jana Phir in Sey Hum Farar kiya Kartay
TuM uss Din he aankhon main bas gayeii
Hum is Sey Barh Kar Khudi ko Teray Liye Bey-Qaraar Kiya Kartay
Jan Tum Kisi Aur Manzil k Musafir he Thehraay
Tu Raah Main Ruk Kar Hum Tera Intazar Kiya Kartay
Hum Tu Fareeb Dey Kar Khushi Main kho Gayeh
Hum Apney Dil ki Khushi Sey Bay Raaz Kiya Kartay
Sir Per Ghamooon ki Dhoop Hai Bohat Kari
Aur khudi ko Phir la kar hum Saya Deewar kiya Kartay
Jis Main Khasara he Hum Muqqadar ho Tahrah
Tu Janna...! Aasa Ghatay ka Karobar Hum kiya Kartay
Wo Dost jo Hum ko Chhor Gaye Hain Sar-e-Raah
in ko Zamaney Ki Bheerh Main Pukaar Kar Kiya Kartay HARIS....... :cry:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roomaharis
Guest
|
|
«Reply #2 on: October 26, 2004, 12:04:57 PM » |
|
:cry: saal beetey, dil se mere ja na paye tum sham ki tanhai mein phir yad aaye tum
Har subah paya tumhein khayalon mein apne pas Raton ko khwabon mein mere muskaraye tum
Lagate ho mere apne jab tum jabase ho dur Na jane kyon lagate the pahle kuch paraye tum
pyar ham se behisab tha tumhein phir bhi jane kyon ham se rahey nazarein churaye tum
jab talak tum sath the shikway bhi sath the kuch nahin ho ab mohabbat ke siwai tum
thak gaya hun zindagi ki rah mein "sad_ _" kash mil jate kahin nazrein bichhaye tum. :cry:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roomaharis
Guest
|
|
«Reply #3 on: October 26, 2004, 12:07:15 PM » |
|
:cry: Suchta hoon kay usay neend bhi aatee ho gee Ya meri tarhan faqat ashq baha tee hoo gee
woh meri shakl mera nam bhulanay wali Apni tasver say kia ankh milatee ho gee
Is zameen per bhi hay sailab meray ashkon say Meray matam ki sada arsh hilatee hoo gee
Sham hutay hee woh chukhat pay jala kay shama Apni palkon pay kaee khwab sulatee ho gee
Is nay silwa bhi lyeh hoon gay siyah rang libas Abb muharam ki tarhan Eid manatee ho gee
Hotee ho gee meray bosay ki talab main pagal Jab bhee zulfon main koi phool sajatee ho gee
Meri tareek zamanoo say nikalnay wali Roshni tujh ko meri yad dilatee ho gee
Dil ki masom ragain khud hi sulagtee hoon gee Jonhee tasweer ka kona woh jalatee ho gee :cry:
[/img]
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roomaharis
Guest
|
|
«Reply #4 on: October 26, 2004, 12:09:34 PM » |
|
:cry: mera aaNsoo meray Gham ka madawa ho ga
ek tabassum meray hooNTooN ka dikhawa ho ga
janta hooN tera milna kabhi ho ga to nahiN tera wada magar jeenay ka bahlawa ho ga
tere khatir bichata hooN meiN kaGhaz pay huroof
gar suna dooN kisi mahfil meiN to wah wah hoga :cry:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roomaharis
Guest
|
|
«Reply #5 on: October 26, 2004, 12:12:36 PM » |
|
:cry: Jabh zindagi sajti hei toe dulhan si lagti hei
Jabh yeh rang badalti hei toe ek bewa si lagti hei
Yeh beraham toe kisi se bhi vafa nahi karti hei
Phir bhi kyon sabko yeh mehbooba si lagti hei :cry:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roomaharis
Guest
|
|
«Reply #6 on: October 26, 2004, 12:16:16 PM » |
|
:cry: Aati nahi.n hai raas shahr-e-tarab kee fiza Qismat kee siyah loah per harf-e-dard hai likha
Bhool gaya tha qismat kee rasoom o qyood Nadaani mai.n khushi ka sapna saja lya
Pulkoo.n per saja hujoom-e-jugnoo ka mela Ek ummeed ka safeena tha woh bhi doob gaya
Har pal mar mar kay thak gaya hoo.n ~HARIS~ Hojaye ab meri rooh ko izn-e-azaadi ata :cry:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roomaharis
Guest
|
|
«Reply #7 on: October 26, 2004, 12:24:15 PM » |
|
:cry: Simta sa , sharmaya sa koi lamha lagti thi Gehri Gehri aankhon wali, koi barkha lagti thi
Mein jo chup chup sa hota, mujh ko manaya kerti thi khwabon mein aati thi, merey seeney sey aa lagti thi
Waqt-e-rukhsat kya mein kahon us ki aankhon ka manzar Chupkey chupkey behney wali koi nadya lagti thi
Us ki soorat kya mein bataon khud hi tasawwur ker lo tum Chanda mein ger daagh na hotey to wo chanda lagti thi
Wo aysi hi Thi jaisi shayar ki muhabbat hoti hai Meri ghazal, mera misra, mera naghma lagti thi :cry:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roomaharis
Guest
|
|
«Reply #8 on: October 26, 2004, 12:34:34 PM » |
|
:cry: Ai Tosha ja ke kehna mere dildaar ko Aankhen taras gayee hain tere deedar ko
Tujh se bichhaR ke goya khud se bichhaR gaya Takta rehta hun mein yun ab dar-o-deewar ko
Teri furqat mein kahin jeewan na haar de Ek baar aa ke mil jao apne aashiq-e-zaar ko
Jo chaho to bhi kum na pao ge kabhie Apne liye mere dil me pyaar ko
HARIS agar jeewun to jeewun kahan pe me Le ke apne as dil taar taar ko :cry:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roomaharis
Guest
|
|
«Reply #9 on: October 26, 2004, 12:36:53 PM » |
|
:cry: Meri hayat-e-rawan ko tamam kar dala hawa ke aik hi jhaunke ne kaam kar dala
men chal raha tha umangon ke walwale le kar kisi ki yaad ne jeena haram kar dala
Azeem kaam the mere jawansali mein mayan-e-rah mein qissa tamam kar dala
chalan ke khas zawabit the umre rafta men shajar se toot para be-lagam kar dala
dabow diya tha ghamon mein dil-e-shikasta ko kabhi jo khas tha us dil ko aam kara dala :cry:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roomaharis
Guest
|
|
«Reply #10 on: October 26, 2004, 12:38:46 PM » |
|
:cry: Jin ko milna na ho... Wo kyun jeevan raste main aate hain.. Dil ko tarpaate hain.. Ankhon main bas jaate hain.. Jin ko milna na ho … Wo kyun jeevan main pal pal yaad aate hain... Rooh main utarte hain.. Tasavvur main poochte hain.. Hum yaad aate hain? Haan! Tum yaad aate ha….. :cry:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roomaharis
Guest
|
|
«Reply #11 on: October 26, 2004, 12:45:43 PM » |
|
:cry: So sal bhi ab bahar aa-ey yeh dil udas rehay ga Chand nik-lay yah chup ja-ey yeh dil udas rehay ga
Her mor per main muntazer raha us ka Ab ager woh lot bhi aa ey yeh dil udas rehay ga
Keh nay ko yeh na mumkin si baat hay Who mujh pay jan luta-ey yeh dil udas rehay ga
Zulm sa-hay meri rah say her aik dewar dha-ey Khood meri rahon main bich ja-ey yeh dil udas rehay ga
Meri sari suchchai ko jhoot samajh ker thuk-ra-nay walay Ab sha-yed tujhay yaqeen aa-ey yeh dil udas rehay ga
Khood ko meri tuqdeer to na mana to nay Ab to mera muqader bhi bun ja-ey yeh dil udas rehay ga
Yeh teh-reer kay-see hay HARIS Jo pur-hay who muskora-ey yeh dil udas rehay ga :cry:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roomaharis
Guest
|
|
«Reply #12 on: October 26, 2004, 12:48:04 PM » |
|
:cry: Tum hanse ho mere choote se ghiraunde pe magar Ye ghiraunda tere mahlon se bhi ooncha hoga
Waqt darkaar hai her cheez badal jaati hai Aaj hum roye hain kal tumko bhi rona hoga
Ye muqaddar bhi kahan la ke khara kerta hai Mere qatil pe mujhe jaan bhi dena hoga
Ek ana thi jise lahron se bachaane ke liye Kya pata tha keh mujhe khud ko dubona hoga
Hum palangon pe unhen aaj bure lagte hain Aankh to band karo khaak bichona hoga :cry:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roomaharis
Guest
|
|
«Reply #13 on: October 26, 2004, 12:53:28 PM » |
|
:cry: Mayra name haris hay.......Main I.COM ka student hoon.....or boohat acha shair bhi hoon yah main nahin kahta poetry.com walay kahtay hain jahain say mujhay 1000$ ka prize bhi mill chukha hay.......main ap logoon ko acha collection day sakhoon ga ap loog mayra collection padhna or phir batana kaysa laga...........main bilkul sadness wali poetry likhta hoon kyoon kay kudh bhi sad hoon ok :cry:
ab to mulakate hote rahay gyee.......... :wink:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roomaharis
Guest
|
|
«Reply #14 on: October 27, 2004, 07:38:37 AM » |
|
:cry: Meri hayat-e-rawan ko tamam kar dala hawa ke aik hi jhaunke ne kaam kar dala
men chal raha tha umangon ke walwale le kar kisi ki yaad ne jeena haram kar dala
Azeem kaam the mere jawansali mein mayan-e-rah mein qissa tamam kar dala
chalan ke khas zawabit the umre rafta men shajar se toot para be-lagam kar dala
dabow diya tha ghamon mein dil-e-shikasta ko kabhi jo khas tha us dil ko aam kara dala :cry:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|