ghazal

by roomaharis on October 26, 2004, 11:51:34 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 4361 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #15 on: October 27, 2004, 11:00:03 AM »
Sawaal Puche Jaye To Jawaab Nahin Milta
Waqt Se Maango To Hisaab Nahin Milta

Hasino Se Maango To, Piyar Nahi Milta
Binaa Husn Ke Ishq Ka, Khitaab Nahi Milta

Dil To Miltey Hai,dil-e-betaab Nahi Miltaa
Andhero Main Jo Nikley,vo Aaftaab Nahi Milta

Gam-e- Ishq Choopane Ko Nakaab Nahi Milta
Raat To Ho Jati Hai, Magar Khuwaab Nahi Milta

Dost Mil Jaatey Hai, To Umair Nahi Milti
Anjaam Mil Jaatey Hai, To Aagaaz Nahi Milta.........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
GHAZAL-E-JUDAI by Amit Janglan in Ghazals
Ghazal by rahul soul in Ghazals
ghazal by khalidrawat in Ghazals
Ghazal.....GHazal..........Ghazal by Ghulam Haider in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
roomaharis
Guest
«Reply #16 on: October 27, 2004, 11:38:05 AM »
:cry: Logon nei dharti dekhi amber dekha,

Mousam dekhe aur jivan bhi dekh liya;

Humari yeh najarei aur kya dekhe,

Jisnei aapka yeh hasin chehra dekh liya;
_________________________________________

Rom rom mei humarei voh basei hein,

Nazarei humari aur chehra unka hei;

Har saans mei humari voh basei hein,

Dhadkanei humari aur dil unka hei;
_________________________________________

Iss kadar hum unki mahobbat mein kho gayei,

Ki ek nazar dekha aur bas unhi kei ho gayei;

Aankh khuli toe andhera tha dekha ek sapna tha,

Aankh bandh ki aur unhi sapno mein phir kho gayei;
_________________________________________

Yeh tabasoom ka rang hei ya sirf laali hei,

Yeh mahobbat ka dhang hei ya sirf mehrbaani hei; :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #17 on: October 27, 2004, 11:40:30 AM »
:cry: rukh pe aanso baha rahi ho tum
kya mujhey aazma rahi ho tum

aaj sharmain nam per uske
kya hameen choor ja rahi ho tum

mere zano pe sar hey or phir bhi
hijr ka geet ga rahi ho tum

guzreen yuoon pas se ke ruk na sakeen
door kyuon hum se ja rahi ho tum

aankh main dosri saja ke shabih
kon sa gum chupa rahi ho tum

kuch to bolo ke yuuon hi chup reh ker
kyuuon sitam hum pe dha rahi jo tum

yad ker mujh ko, meri jan dil ko
roog kaisa laga rahi ho tum

umar guzri hey aik, per ab bhi
dil ka dar khatkhata rahi ho tum

meri aankhoon ka pani pi pi ker
or mujh ko rula rahi ho tum

is shajar per jo nam like hain
kyuoon inhain ab mita rahi ho tum

jis ko tanha kiya tha, us jan per
aaj kyuuon haq jata rahi ho tum

khoon de de ke jo banaya tha
wo makan kyuuon jala rahi ho tum

raah se main tumhari hat to gaya
ab mujhey kyuuon sata rahi ho tum

aankh main, main hoon lab pe or koi
ye mujhey kya bata rahi ho tum

hijr ki subha sar pe aa pohnchi
seej ab kyuoon saja rahi ho tum

sare mosam to Rast dekh chuka
ab use kyuuon bula rahi ho tum :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #18 on: October 28, 2004, 06:21:06 AM »
:cry: tum meri aankh k taiwar bhula nahi paoge
an kahee baat ko samjho ge to yaad aonga

hum khushboo ki tarha dukh bhi ikattah dekhe
safa-e- zeenat ko palto ge to yaad aonga

is judai mai tum andar se bikhar jaoge
kisi azoor ko dekhoge to yaad aonga

issi andaz mai mukhtib hote the mujh se
khat kisi aur ko likhge to yaad aonga

meri khushbo tumhe kholay gi gulabon ki tarha
tum agar khud se na bolo ge to yaad aonga

sard raaton k mehakte sannaton
jab kisi phool ko choomo ge to yad aonga

shaal pohanchane ab kon ayega december mai tumhe
barishon mai kabhi bheego ge to yad aonga

hadsay ayenge jeevan mai to tum ho kar nidhaal
kisi deevar ko thamogay to yaad aonga

is mai shaamil hai mere bakht ki tareekhi bhi
tum siya rang pehno ge to yaad aonga :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #19 on: October 28, 2004, 06:26:17 AM »
:cry: TUM HO JAO MERI KHATAM KARO YE DOORI
PIYAR KIYA HE TO PHIR KAISI MAJBOORI
 
CHHOR K SUB EK NAI DUNIYA BASAEN HAM
KE ZINDAGI TUM BIN MERI HE ADHOORI
 
MANTA HOON KE ASAN NAHIN YE SUB KUCHH
PER HAMARA MILAN BHI HE BAHUT ZAROORI
 
EK KAMI HE MERI ZINDAGI MEN mishal BAKI
 MILJAO TUM TO WO KAMI BHI HOJAE POORI :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #20 on: October 28, 2004, 08:11:59 PM »
:cry: Ek Tum Hi Say Hai Mansoob Khushi

Ek Tumharey Rooth Janey Say

Kissi Ko Kuch Nahi Hoti

Phool Bhi Mehuktey Hain

Rung Bhi Damuktey Hain

Suraj Bhi Nikalta Hai

Tarey Bhi Chamuktey Hain

Lakin Itna Zaroor Hota Hai

Ek Tumharay Rooth Janey Say

*Main Hansna Bhool Jata Hoon* :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #21 on: October 28, 2004, 08:23:40 PM »
:cry: jo mein ne chaha woh nahin hua ha
mere saath to hamesha yahi hua ha
chote lagi hazaaron is nazuk dil ko
laikin iss bar dard bohat ziaada hua ha
woh nahin jaanta ha koi bhi
jo kuch uss ne taqdeer mein likha hua ha
mein andar se hoon kitni bikhri
yeh kissi par nahin khulla hua ha
mere naam itna mohabba bhara khat
yeh aakhir kiss ne likha hua ha
meri zindagi mein ha intizaar or sirf intizaar
yeh sach to ab mujh par aashkaar hua ha

kissi k dil mein sachi mohabbat nahin ha
yahaan nafraton ka jaal buna hua ha
kissi cheez ko bhi choona nahin
yahan sabhi kuch bata hua ha
koi to ho jiss ko mein zakham dikhaaoon
maseeha koi nahin yahan bana hua ha
tum aakhir kissi ko bataati kiun nahin
tumhaare saath maajra kiya hua ha
ho gi tumhaari ghalti zaroor
tabhi tumhaara sir jhuka hua ha
yeh ho gayee kiya haalat aarzoo
tumhaara to sabhi kuch lutta hua ha :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #22 on: October 30, 2004, 08:37:06 AM »
:cry: Meri Ruswaiyan Har Ek Ilzaam Khubsurat Ker Do

Mujhe Apna Naam De Do Mera Naam Khubsurat Ker Do

Meri Tareek Shamon Main Aa Ker Sitaray Bhar Do

Meray Sang Yun Chalo Meri Har Shaam Khubsurat Ker Do

Aakhri Sanson Main Bhar Do Khushboo Deedar Ki

Raho Meray Pass Us Dam Mera Anjaam Khubsurat Ker Do

Meray Bechain Sapnon Main Sukoon Ban Ker Aao

Ye Neend, Ye Khawab, Mera Aaraam Khubsurat Ker Do :cry:
Logged
nishita
Guest
«Reply #23 on: October 30, 2004, 09:06:01 AM »
wah wah
Logged
Fantasy
Guest
«Reply #24 on: October 30, 2004, 09:52:41 AM »
wow rooma haris kitna acha likthe hain.......good
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #25 on: October 30, 2004, 06:35:48 PM »
:cry: Younhi bekaar hi hum ne ganwaya, shaam ka saya
na tum ayey to phir kiss kaam aya, shaam ka saya

lakeeron ne mairey hathon ki tum ko kia bata dala
Tairey honton pe kion yakbaar aaya, shaam ka saya

Ufaq per phair ker lalee gulabee laal phoolo.n ki
taireey khatir hi to hum ne sajaya shaam ka saya

Udaas ankhon mai.n jaisey derd kay kuch deep jaltay thay
HaseeN chehray pe zulfoN ne banaya shaam ka saya

Yeh fermaaish thee uss ki bhi sunaai.n ber-mahal kuch hum
So hum ne bhi barey dil se sunaya shaam ka saya

Mohabbat ki hakoomat main dilo.n per yeh guzertee hai
Udasee raaj kertee hai, Reaaya shaam ka saya

Bohat din baad dil ne sher kehnay ki ijazet dee
Bohat din baad hum se milnay aaya, shaam ka saya :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #26 on: October 30, 2004, 06:39:28 PM »
:cry: Hum nay pyar main paya to kia paya
Kabhi khood ro deay kabhi tum ko rulaya

Halat-e-Ghum main beh gaya jo jo aansoon
Who Zindagi main phir kabhi na behnay paya

Saza mujhay mili or jaza unhain
Aisa bhi kia insaf nay hay sir jhukaya

Himat naheen thi us main saath denay ki
Ab tuk na janey who kaisay chul paya

Tukhday apnay wajood kay rooz jodhta hoon main
Usnay meray dil ko aisa bikhraya

Zulm per zulm kertay rahay who or HARIS
Khamoosh hi raha, kabhi uff ker na paya :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #27 on: October 31, 2004, 10:39:10 AM »
:cry: Likha Hai Yeh In Havaon Pe
Likha Hai Yeh In Ghataon Pe
Tu Hai Mere Liye, Main Hoon Tere Liye

Ishq Ki Haseen Daastan Se, Hum Utar Ke Aaye Aasman Se
Yeh Samaan Yeh Pyar Ki Kahaniyan, Mil Rahi Hain Aaj Do Jawaaniyan
Pehli Mohabbat Ki Rahon Pe
Likha Hai Yeh In ...

Yoon Hi Zara Tu Muskura, Sharma Ke Aanchal Munh Mein Daba
Zulphon Ka Tu Ghunghat Hata, Ye Khoobsurat Chehra Dikha
Is Naaz Se Ithlaate Huye, Chalke Zara Mere Paas Aa
Ki Aashiq Hoon Maien In Adaon Pe
Likha Hai Yeh In ... :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #28 on: October 31, 2004, 10:41:18 AM »
:cry: kaha us raat jo tum ne ankhoon k ishare se
us baat ko zer-e-lab la k to dekho jana
dil ki baat dil men rakhtay nahi hen
dil ki baat zuban par la k to dekho jana
suna hai dekh kar chehroon ko hal-e-dil batati hoo
kabhi is chehre ki tashheer bhi kar k to dekho jana
bohat nazuk see ho, masoom hoo, par khud men gum ho tum
qadam rakhoo kabhi, dunya men mere a k to dekho jana
jo tum singhar karti hoo
bohat sajti sanwarti hoo
kabhi dulhan k jese tum bohat masoom lagti hoo
ye ronaq jo tumhare dum se hai bas us hi janib hai
mere kamre men saj jaoo, k tum apni se kehlaoo
tumhara rang, khushbu, sab sajawat mere dum se hoo
tumhari chooreoon ki khankhanahat main men kho jaoon
k bas men hi sama jaoon
tumhari rooh men, sansoon men, aur masoom surat men
k bas men hi nazar aoon
kabhi to tum yahan aoo, yahan a kar to dekho jana
k mujh men tum sama jaoo
k bas apne se kehlaoo
k jab sab naam len tumhara...mera naam sath aye
bas itna sa karam mujh par kabhi kar k to dekho jana :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #29 on: October 31, 2004, 10:44:35 AM »
ASSALAM O ALAIKUM:-
                                    :cry: FANTASY AND NISHITA ap donoo ka shukhriya kah ap nay esay pasand kya thank's poetry diloon ki akase karti hay yah bate hamaysha yaad rakhna saray......... :cry:
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:32:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer