Ghazal (Zaif)

by Zaif on October 19, 2013, 09:53:49 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1799 times)
Zaif
Guest
Har palak ke sahil pe samandar nahi hote..
Har hath ke naseeb me saaghar nahi hote..

Chaddar ki qeemat samjhenge nahi aap,
Miyaan unse puchho, jinke ghar nahi hote..

Hausla deta hai hamari udaan ko jigar,
Ham udte hain, halaanki par nahi hote..

Tum dil se mere kabhi nikal na paaogi,
Ke dilon ki deewaaron pe dar nahi hote..

Kal deedar se unke behal'ti thi nazrein,
Aaj kal kyun aise manzar nahi hote.. ??


Ghamon ne 'Zaif', saunpi hai qalam hamko,  
Warna baakhuda*, hum shaayar nahi hote..
(* khuda qasam)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
°°° Ghazal - Zaif °°° by Zaif in Shairi - E - Zindagi
°°° Ek Tazaa Ghazal -(Zaif) °°° by Zaif in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Ghazal - Zaif by Zaif in Shairi - E - Zindagi
** New Ghazal- Zaif ** by Zaif in Shairi - E - Zindagi
Ghazal Rahegi Zanda - Zaif by Zaif in Ghazals
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #1 on: October 19, 2013, 10:05:53 PM »
Har palak ke sahil pe samandar nahi hote..
Har hath ke naseeb me saaghar nahi hote..

Chaddar ki qeemat samjhenge nahi aap,
Miyaan unse puchho, jinke ghar nahi hote..

Hausla deta hai hamari udaan ko jigar,
Ham udte hain, halaanki par nahi hote..

Tum dil se mere kabhi nikal na paaogi,
Ke dilon ki deewaaron pe dar nahi hote..

Kal deedar se unke behal'ti thi nazrein,
Aaj kal kyun aise manzar nahi hote.. ??


Ghamon ne 'Zaif', saunpi hai qalam hamko, 
Warna baakhuda*, hum shaayar nahi hote..
(* khuda qasam)



bahot khoob
Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Ssaagar
Guest
«Reply #2 on: October 19, 2013, 10:22:47 PM »
just fabulous creation bro... felt  roomaniyat while reading.... so it touched me...
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: October 19, 2013, 10:46:01 PM »
waah waah
Logged
dksaxenabsnl
YOS Friend of the Month
Yoindian Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 20 hours and 34 minutes.

खुश रहो खुश रहने दो l

Posts: 4127
Member Since: Feb 2013


View Profile
«Reply #4 on: October 19, 2013, 11:17:00 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Shocked Even More Shocked Even More Shocked Even More Shocked Even More Shocked Even More Shocked Even More
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #5 on: October 19, 2013, 11:23:47 PM »
wha wha kay baat
Logged
mkv
Guest
«Reply #6 on: October 20, 2013, 01:01:20 AM »
Ghamon ne 'Zaif', saunpi hai qalam hamko, 
Warna baakhuda*, hum shaayar nahi hote..

Bahut khoob Zaif jee
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #7 on: October 20, 2013, 02:37:16 AM »
Har palak ke sahil pe samandar nahi hote..
Har hath ke naseeb me saaghar nahi hote..

Chaddar ki qeemat samjhenge nahi aap,
Miyaan unse puchho, jinke ghar nahi hote..

Hausla deta hai hamari udaan ko jigar,
Ham udte hain, halaanki par nahi hote..

Tum dil se mere kabhi nikal na paaogi,
Ke dilon ki deewaaron pe dar nahi hote..

Kal deedar se unke behal'ti thi nazrein,
Aaj kal kyun aise manzar nahi hote.. ??


Ghamon ne 'Zaif', saunpi hai qalam hamko, 
Warna baakhuda*, hum shaayar nahi hote..
(* khuda qasam)




Zaif jee.khoobsurat kalaam pesh kiya hai.
Logged
aqsh
Guest
«Reply #8 on: October 20, 2013, 12:37:46 PM »
Har palak ke sahil pe samandar nahi hote..
Har hath ke naseeb me saaghar nahi hote..

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Chaddar ki qeemat samjhenge nahi aap,
Miyaan unse puchho, jinke ghar nahi hote..

  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Hausla deta hai hamari udaan ko jigar,
Ham udte hain, halaanki par nahi hote..

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Tum dil se mere kabhi nikal na paaogi,
Ke dilon ki deewaaron pe dar nahi hote..

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Kal deedar se unke behal'ti thi nazrein,
Aaj kal kyun aise manzar nahi hote.. ??

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


Ghamon ne 'Zaif', saunpi hai qalam hamko, 
Warna baakhuda*, hum shaayar nahi hote..

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
(* khuda qasam)

Ek rau ke saath dheron dheron daaaaaaaaaaaad...
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #9 on: October 20, 2013, 03:16:18 PM »

Har palak ke sahil pe samandar nahi hote..
Har hath ke naseeb me saaghar nahi hote..

Chaddar ki qeemat samjhenge nahi aap,
Miyaan unse puchho, jinke ghar nahi hote..

Tum dil se mere kabhi nikal na paaogi,
Ke dilon ki deewaaron pe dar nahi hote..

Wwwwwwwaaaaaaahhhhhhhhhhhh !!!!!!!!!!!!!!! Zaif ji .... ek zabardast qalaam raha .... is baakamaal ghazal par dheron daad aur oopar likhe aashaar par dheron se bhi zyaadaa daad Usual Smile


Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #10 on: October 20, 2013, 03:18:55 PM »
wah wah kya kehne khubsoorat peahkash janaab bahut khub Clapping Smiley
Logged
ishq-e diwangi
Guest
«Reply #11 on: October 20, 2013, 04:11:49 PM »
chupna rahno kuchna kahhno, darde jodai saihna sako
tumeri jan , jan-e- jaanhan hai tere bina main jina sako
Aaja tu bas ek hi bar dekhle mera hal hai kya
To be cånt,..
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #12 on: October 20, 2013, 07:28:09 PM »

Zaif Sahaab Aadaab...!


Kia baat hai janab bahut khoob bade khoob aur gehre ahsaas O khayaal bayaaN kiye haiN aapne...

Sabhi ashaar khoob rahe janab ... par hume yeH quoted ashaar behad lajawaab lage...
Is khoob kalaam par humari hazaaroN daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye... bazm ko roshan karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez...





Tum dil se mere kabhi nikal na paaogi,
Ke dilon ki deewaaron pe dar nahi hote..


Ghamon ne 'Zaif', saunpi hai qalam hamko, 
Warna baakhuda*, hum shaayar nahi hote..
(* khuda qasam)

Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #13 on: October 20, 2013, 11:18:01 PM »
bahut khoob
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: October 21, 2013, 11:02:29 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah waah waah Zaif ji, kyaa kehne, jitni taarif ki jaaye kam hogi, bahut bahut bahut bahut khoob likhaa hai aapne, mazaa aa gayaa padh ke....!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:06:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer