gila hai zindagi mein..............

by muskan_bye on May 18, 2008, 09:45:13 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2282 times)
muskan_bye
Guest

Zindagi se toh koi gila nahi
gila toh apne naseeb se hai
khuda se toh koi gila nahi
gila toh apni kismat se hai
khushi se toh koi gila nahi
gila toh ghum se hai
phoolon se toh gila nahi
gila toh unke murjhane se hai
sapno se toh koi gila nahi
gila toh un sapno ka pura na hone se hai
khuwaishon se toh koi gila nahi
gila toh khuwainshen na puri hone se hai
gila , gila, gila kitne gile hai humare magar
humare gilo ko samajhne wala koi nahi............
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zindagi mein.........!!! by Delicate_Doll in Shayri-E-Dard
pal mein zindagi by Beena Jain in Shayri-E-Dard
**Kaisa gila zindagi se** by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
***Zindagi Se Gila*** by AVTAR RAYAT in Shayri-E-Dard
Gila nhi mujhe zindagi se--- Kumaar by kumaar in Miscellaneous Shayri
muskan_bye
Guest
«Reply #1 on: May 18, 2008, 09:49:10 AM »
mujhe zindagi se bahut gila hai
kyoki jo chaha woh mil na saka iska gila
jo manga woh pa na saki iska gila hai
jo rab se paya usko sambhal na saki
gile har chiz mein hote hai dukh mein
khushi mein or gheero mein bhi gile...........hote hai.......

**********************MUSKAN****************************
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #2 on: May 18, 2008, 01:22:10 PM »
humare is new topic koi entry toh kariye phir hume bhi bataiye ki
gile kitne or kaise hote hai zindagi mein.................

..................................MUSKAN......... ..............
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #3 on: May 19, 2008, 06:00:57 AM »
na to naumeed kabhi to raah manjil tak aayegi
chod di aas jeene ki to kaise zindgi ko jee payegi
na gila kar apni kismat se itna ki teri kismat ko b aitraaz ho
rakh bharosa kismat par apni ye ek din tujhe teri saari khushiyaan lautayegi

from-BHAWNA
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #4 on: May 19, 2008, 06:44:39 AM »
Gila Hai Zindagi Mein Kabhi Unse Mulakat Nahi Hue
Aankhon Main Nikate Hai Aansu Par Ishaar Kabhi Nahi Hue
Mujhe Zindagi Se Koi Shikayat Nahi 
Tumse Joh Mohabatt Ka Paigam Manga Tha Woh Mere Nazeem Na Hue
Logged
k.shael
Guest
«Reply #5 on: May 19, 2008, 07:19:00 AM »
GILA HAI ISS BAAT KA ITNA PYAR
DENE KE BAAD BHI,
WO DHOKHA KYUN DE GAYA....
KEHTE THE JISE HAM APNI JAAN WO
AAJ KISI AUR KI JAAN KAISE HO GAYA....
BY. K.SHAEL
Logged
Natali
Guest
«Reply #6 on: May 19, 2008, 11:24:28 AM »
i am sorry i would like to read the translation of this poem in english would you mind?please can you tranlate it and to send me it by my email ladinatali@gmail.com    my dreams is to study hindi..
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #7 on: May 19, 2008, 12:30:34 PM »
mujhe zindagi se bahut gila hai
kyoki jo chaha woh mil na saka iska gila
jo manga woh pa na saki iska gila hai
jo rab se paya usko sambhal na saki
gile har chiz mein hote hai dukh mein
khushi mein or gheero mein bhi gile...........hote hai.......

**********************MUSKAN****************************

acha likha apne



yeh gile shikve kiyon zindagi se karte ho
mil na sake jo, chahat aisi kiyon zindagi se karte ho

mangte hain khuda se kuch na kuch naya har dum
jo mil gaya qadar kiyon uski nahi karte ho

khushi aur gam to pehlu hain zindgi ke haseen
jiyo har pal ko kiyon sazaa zindagi ko karte ho
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #8 on: May 20, 2008, 10:59:23 AM »
thanks all aap log meri topic mein

Arey zindagi mein gile toh hote hai
magar kabhi kabhi woh gile khatam nahi hote hai
hum sochte ki hum bhool jaye saare gile ko
taaki hume jo mila hai usi se banaye apni nayi zindagi ko
magar kaise banaye isko naya jab bhi banate hume purane gile yaad aate............such mein .......kya kare in gilo ka..............

***********************************MUSKAN*******************
Logged
rahulhi
Guest
«Reply #9 on: May 25, 2008, 01:11:18 PM »
Wow kya gub kahi hai...
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #10 on: May 26, 2008, 12:20:22 PM »
thanks all aap log meri topic mein

Arey zindagi mein gile toh hote hai
magar kabhi kabhi woh gile khatam nahi hote hai
hum sochte ki hum bhool jaye saare gile ko
taaki hume jo mila hai usi se banaye apni nayi zindagi ko
magar kaise banaye isko naya jab bhi banate hume purane gile yaad aate............such mein .......kya kare in gilo ka..............

***********************************MUSKAN*******************
bahot khoob

kabhi shikve gilon se ubhar kar bhi dekho
haseen hai zindagi ise jeeker bhi dekho

jo beet gaya gum karo na ab uska
nayi subah ki pehli kiran ko chum kar bhi dekho

gungunao na zindgi ki woh guzri dhuno ko
naye suro se zindgi ko sazaa kar bhi dekho



Logged
NOOR41
Guest
«Reply #11 on: May 27, 2008, 09:11:29 AM »
salam
yar m so sorry aapko merye comet burye lagye
un pye etna k
dondtye ho kyoun kushbo in kagazi gulaboun mian
pyar sirf milta hye aajkal kitaboun mian. Thumbs UP
Logged
syednaami
Guest
«Reply #12 on: May 27, 2008, 10:08:18 AM »
Naseeb men likha kya hai, -
Zindagi aur moat ka waqt sirf, -
Kismat bhi tere haath men , -
Naseeb bhi tera saath men, -
Bas rukh mod hawaon ka aise, -
Ki taqbeer bhi tera saath de, -
Naam na le kismat aur naseeb ke, -
Jab tadbeer tere afkaar men hai, -
Sapne bhi tujhe ab sache dikhte, -
Jab Subah laati hai paighaam naye, -
Khwahishen sab hon puri kaise, -
Armaan to sada dil men hi rahte, -
Jo hai apne paas uspe shukr kare, -
Kisne hai kab kamaaya naam Gile karkarke. -


(Syed Naami)
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #13 on: May 27, 2008, 11:14:31 AM »

Syed bohat ache likhe hai aap..Usual Smile

Kabhi kabhi naseeb bhi saath nahi deti hai
Kudh toh naseeb tanha kar deti hai
Taqdeer main unka pyaar nahi hai
Joh aarman liye baithay the woh mumkin nahi hai
Phool khilte hai magar khusbu ki mehek mumkin nahi hai
Logged
syednaami
Guest
«Reply #14 on: May 27, 2008, 05:52:32 PM »
Buhat Shukriya honeyRose Saahiba, aapne bhi kamaal jawab paish kia hai, Thanks...
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 06:02:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer