Gila kya kare?!

by ~princess~ on November 24, 2007, 05:24:05 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2099 times)
~princess~
Guest

Naraz hai hum Rab se koi aur ab hume manaye kyun
Jab likhein hain Ansun to ab phir mushkuraye kyun

Dil jala hai ab jism rakh hojaye to fark ab kya hoga
Dil hi to tha iske liye ab shokh manaye kyun

Be.rang mohobbat thi jo zindagi ko berang kargayi
Naam kisika khoon e jigar pe sajayein kyun

Lakh chaha ke hum bhi andekha kardein unhe milte waqt
Par gar bewafai usne ki to nazrein hum churaye kyun

Ankh jukhayenge to salam karenge milayenge to sabab puchenge
Hum to ab bhi unpe marte hai Dushmani jataye kyun?

Marham lane bheja tha wo zeher laye humari rukhsat ko
Dil na mila na sahi..ab Mehboob k hathon k zeher ko thukraye kyun

Nadaan hain wo jo dawaa karte hai mohobbat ko bhul jane ka
Hum un fareebi-jhooton mein milkar yeh jhoot fehlaye kyun

Sajda kiya hai uska manga hai usse khuda se meine
Ab kismat mein yaar nai to is ishq pe pachtaye kyun???


~roshni~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
pyar ka ikkrar (kare to kare wo kaise) by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
gairo se kya gila kare(n/m) by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
AAPSE KYA GILA KARE-JAGJIT SINGH by khwahish in Ghazals
Aapse kya gila kare hum........ by fairy2633 in Shayri-E-Dard
Kya Gila Kare by shilpu in Shayeri for Dard -e- Bewafai
muskan_bye
Guest
«Reply #1 on: November 24, 2007, 07:44:25 PM »
very good very nice keep it up "Princess" ji

apni zindagi ko yu ruswa na kijiye
apni khushhaali zindagi ko yu barbaad na  kijiye


~~~~~~~~~~~~~~~~~~Muskan~~~~~~~~~~~~~~~
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: November 24, 2007, 10:39:37 PM »
Bohat khoob Roshni...
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #3 on: November 24, 2007, 10:44:58 PM »
Roshu

Wah ! wah ! wah ! =D>

Superb !
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #4 on: November 29, 2007, 07:06:04 AM »
Well said.. Kyun...

Ques...
Logged
~princess~
Guest
«Reply #5 on: November 29, 2007, 04:52:48 PM »
thxx to all
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #6 on: November 29, 2007, 06:20:54 PM »
ur welcome

or aap aise hi likhte  rahena
or aap aise derd zahir karna

~~~~~~~~~~~~~~~~~Muskan~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: January 20, 2008, 08:41:55 PM »
Bahut khoob roshu,bahut hi acha likha hai..kahin na kahin zindagi ki sachaiyon se judi hai aapki likhi hui kavita...heart-touching Usual Smile

Apne dil ko hum yeh kaise samjhaye
unki talaash mein jaaye to kahan jaaye..

jab door hi jana tha to kuch to,
apne kadmo ke nishaan chod jaate
mohabbat ki duniya se jo uthe unke kadam,
aakhir phir kis jahan pe rukh paaye

roothna bhi hai to apno ke beech mein roothna
zaroori nahi ke har shaks tumhe aakar manaye

alwida kehkar door chale jate to
kuch to tasalli hoti
"khwaish" kahi intezaar mein na mar jaaye

log kehte hai ke beete yaadon ko bhool ke
jeena hi haqeeqat hai zindagi ki,
par jab mohabbat ho dil se to
jisse hum chaahte hai woh hamara aks ban jaata hai....

koi bhala phir apne aap ko kaise bhool paaye Crying

Logged
sahood
Guest
«Reply #8 on: January 21, 2008, 07:15:09 AM »
bahut khoob likha hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: January 24, 2008, 07:25:53 PM »
shukriya sahoodji...par roshu ne kuch na likha sad5 Embarrased
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: January 24, 2008, 07:31:37 PM »
good one roshu and khwaish ji!!
Logged
~princess~
Guest
«Reply #11 on: January 24, 2008, 09:08:18 PM »
Awesom Big bro.....too gud


Rab kare Tujhe kisi rah mein sacha pyar miljaye
Dua hai tujhe Duniya ki khushi beshumar miljaye

Hum to parchai hain teri har pal tere saath hai
Tanhai ka lamha aye aur kuch waqt tere sath miljaye

Bhikarne ke khayal se hum darte the kabhi iskadar
dil laggaya tutne se tut jaun aisa koi khayal miljaye

Tum dard dete ho yeh bhi to tumhari Inayaat hai
tujhe yaad karke rone ko kash phir yaad miljaye

Hum diwane hai tere pyar ke Par teri berukhi bhi katil hai
Chahe tu bhi kisiko Diwano jaise aisa koi dildar miljaye

Ke phir uthein charche aur tum Hume yaad karo
Dua hai naam mere tera isi Bahane koi pal miljaye

Pagal to hum hi hain jo tut kar aaj bhi chahte hai tumhe
Jo desake is diwangi ka jawab aisa hi koi sawal miljaye


~Roshni~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: January 24, 2008, 09:12:43 PM »
wah kaya baat hai roshu.. tooooo good!!! yah lines bahoot achi lagi

Tum dard dete ho yeh bhi to tumhari Inayaat hai
tujhe yaad karke rone ko kash phir yaad miljaye
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: January 24, 2008, 09:14:39 PM »
kya baat hai!!! meri chweeeet sis bahut khoob..har ek line dil ko chuti hai
par demand bahut hai roshu??har post mein kehta hoon,kuch to likho
par likhti hi nahi..par jab likhti hai to sab ko chup kar deti hai..
bahut khoob roshu... :D Usual Smile
Logged
~princess~
Guest
«Reply #14 on: January 24, 2008, 09:21:04 PM »
Hahahaha nai bro aisi baat nai.....bas aj kal likhne ka mann nai karta...par aap kehte ho to mana bhi to nai karsakte

well thanks a lot pooja di and kitu bhaya
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:33:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer