Gila kya kare?!

by ~princess~ on November 24, 2007, 05:24:05 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 2100 times)
redwhitegang
Guest
«Reply #15 on: January 25, 2008, 06:47:24 PM »

Naraz hai hum Rab se koi aur ab hume manaye kyun
Jab likhein hain Ansun to ab phir mushkuraye kyun

Dil jala hai ab jism rakh hojaye to fark ab kya hoga
Dil hi to tha iske liye ab shokh manaye kyun

Be.rang mohobbat thi jo zindagi ko berang kargayi
Naam kisika khoon e jigar pe sajayein kyun

Lakh chaha ke hum bhi andekha kardein unhe milte waqt
Par gar bewafai usne ki to nazrein hum churaye kyun

Ankh jukhayenge to salam karenge milayenge to sabab puchenge
Hum to ab bhi unpe marte hai Dushmani jataye kyun?

Marham lane bheja tha wo zeher laye humari rukhsat ko
Dil na mila na sahi..ab Mehboob k hathon k zeher ko thukraye kyun

Nadaan hain wo jo dawaa karte hai mohobbat ko bhul jane ka
Hum un fareebi-jhooton mein milkar yeh jhoot fehlaye kyun

Sajda kiya hai uska manga hai usse khuda se meine
Ab kismat mein yaar nai to is ishq pe pachtaye kyun???


~roshni~

Bohot khub Roshni.....har line dil me dard jaga gayi.....Bas yahi dua hai k ainda aisa lines na likhna pade...btw shayri bohot umda tha :D
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
pyar ka ikkrar (kare to kare wo kaise) by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
gairo se kya gila kare(n/m) by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
AAPSE KYA GILA KARE-JAGJIT SINGH by khwahish in Ghazals
Aapse kya gila kare hum........ by fairy2633 in Shayri-E-Dard
Kya Gila Kare by shilpu in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~princess~
Guest
«Reply #16 on: January 25, 2008, 09:12:45 PM »
ok ji aur kuch? hehehe bhudu thxxxx aap bhi kuch likhdete to kya jata
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #17 on: February 01, 2008, 07:07:11 PM »

Naraz hai hum Rab se koi aur ab hume manaye kyun
Jab likhein hain Ansun to ab phir mushkuraye kyun

Dil jala hai ab jism rakh hojaye to fark ab kya hoga
Dil hi to tha iske liye ab shokh manaye kyun

Be.rang mohobbat thi jo zindagi ko berang kargayi
Naam kisika khoon e jigar pe sajayein kyun

Lakh chaha ke hum bhi andekha kardein unhe milte waqt
Par gar bewafai usne ki to nazrein hum churaye kyun

Ankh jukhayenge to salam karenge milayenge to sabab puchenge
Hum to ab bhi unpe marte hai Dushmani jataye kyun?

Marham lane bheja tha wo zeher laye humari rukhsat ko
Dil na mila na sahi..ab Mehboob k hathon k zeher ko thukraye kyun

Nadaan hain wo jo dawaa karte hai mohobbat ko bhul jane ka
Hum un fareebi-jhooton mein milkar yeh jhoot fehlaye kyun

Sajda kiya hai uska manga hai usse khuda se meine
Ab kismat mein yaar nai to is ishq pe pachtaye kyun???


~roshni~


Ishq sikhata hai jeena,to dard me jindagi ko beetaye kyun,
Ek phool se jo chub jaye kanta, to har phool ko thukraye kyun,
Jindagi jeene ke itni haseen waja ho,to phir gam ko gale lagaye kyun,
Jab khud khusi tumhare daar pe dastak deti ho,phir usse daman chudaye kyun??


kosis kiya mam ,dkhiye likh paya k nahi Usual Smile
Logged
~princess~
Guest
«Reply #18 on: February 01, 2008, 09:07:06 PM »
Mujhe kahin aisi jageh lejao
Jahan uski koi yaadein na hon

Jo labon pe ayi thi khabi uske
Phir khabi wo baatein na hon

Bas ek deedar ke liye sajde hon
Khabi aisi phir duayein na hon

Ek hi rah hai ke unse dur jana hai
Jahan uski wo meethi adayein na ho

khushiya nai gawara hume aye dost
dua hai waha khushiyo ki fizaye na ho

roye hai har shaam unki yadon mein
Betabi ka alam aur dard ke lamhe na ho

Haq hai usse bhi Nafrat ka humse
Bas pyar ka dikhave ki sazaye na ho

Aisi jageh lejao hume aye dost
Jahan uske saath bitaye lamho mein guzri
Mohobbat ki khushbu ki hawaein na hon


~Roshni~
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #19 on: February 01, 2008, 09:31:24 PM »
Mujhe kahin aisi jageh lejao
Jahan uski koi yaadein na hon

Jo labon pe ayi thi khabi uske
Phir khabi wo baatein na hon

Bas ek deedar ke liye sajde hon
Khabi aisi phir duayein na hon

Ek hi rah hai ke unse dur jana hai
Jahan uski wo meethi adayein na ho

khushiya nai gawara hume aye dost
dua hai waha khushiyo ki fizaye na ho

roye hai har shaam unki yadon mein
Betabi ka alam aur dard ke lamhe na ho

Haq hai usse bhi Nafrat ka humse
Bas pyar ka dikhave ki sazaye na ho

Aisi jageh lejao hume aye dost
Jahan uske saath bitaye lamho mein guzri
Mohobbat ki khushbu ki hawaein na hon


~Roshni~


BAHUT KHOOB ROSHU..DARD AUR MAAYUSI SE BHARPOOR..PAR KYON?? sad5
Logged
mast_zindagani
Guest
«Reply #20 on: February 02, 2008, 09:15:36 AM »
very good roshni keep it uppppppppp
 Usual Smile
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #21 on: February 02, 2008, 11:20:09 AM »
yeh hamein pata hai ki bandishey aap par hain tamaam
isliye milne ko toh ab hum aapsey keh he nahin sakte
lekin kuchh toh farz banta hai aapka hamare liye bhi
kam sey kam dikh toh jaaya keejiye ek jhalak shaam ko.
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:53:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer