Gilaa Mohabbat Se,.{Aarzu},.

by Jaanasheen on May 17, 2012, 08:26:36 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1032 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Bas Aise Hi Apne Mehboob Ki Yaad Mein, Socha Mohabbat Se Gilaa Karoon,.
Lafz Jurdte Gaye, Likhta Gaya, Kahin Galti Dikhe To Maaf Karna,.

Mohabbat Kya Sachch Mein Tu Taras Nahi Khaati.
Jo Bhi Tere Jaal Mein Phasa Hai,
Wo Ghamon Mein Ghira Hai,.

Jisko Bhi Tune Chua Hai,
Wo Barbaad Hi Hua Hai,.

Ek Pal Ki Khushi Deti Hai Tu,.
Badle Mein Jaan Leti Hai Tu,.

Apni Bhi Kismat Phoot Gayi,.
Zindagi Mujhse Rooth Gayi,.

Ek Khwaabon Ka Mehal Sajaaya Tha,.
Kisi Ko Is Dil Mein Basaaya Tha,.

Chaha Ke Ek Apna Ek Jahaan Ho,.
Khushiyaan Ka Ek Chota Sa Makaan Ho,.

Haath Uske Haathon SE Choot Gaye,.
Dil Jo Jurde The, Bedardi Se Toot Gayi,.

Kaash Paar Hojati Hamaari Chahaton Ki Kashti,.
Kaash Hamaari Zindagi Bhi Hasti,.

Kyun Aksar Tu Haar Jaati Hai,.
Do Zindagiyon Ko Kyun Maar Jaati Hai,.

Kya Tujhe Sharm Nahi Aati Adhoori Kahaani Likhkar,.
Ek Ke Hisse Mein Tanhaai, Ek Ki Aankhon Mein Paani Likhkar,.

Badi Bedard Hai Tu, Mohabbat, Phir Bhi Tu Salamath Rahe,.
Ke Tune Ek Lamha Diya Tha Mujhe, Sadiyon Mein Samet Kar,.


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
na gilaa kare !! by sammu1984 in Shayri for Dard -e- Judai
na shikaayate.n na gilaa kare by DJ Goher in Shayri for Khumar -e- Ishq
Nah gilaa tha... by honeyrose in Shayeri for Dard -e- Bewafai
gilaa by saahill in Share:Love Poetry
Mohabbat Se Ab Nikaal Mujhe,,. {Aarzu},. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: May 17, 2012, 08:36:13 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut bahut khoobsurati se aapne apne ehsaason ko pesh kiya hai... badi khoobsurat rachna hai ye aapki... dil se nikli hui dil ki kahaani.. bahut bahut khoob likha hai aapne Azeem ji....!!!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: May 18, 2012, 03:33:47 AM »
bahut khoob
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #3 on: May 18, 2012, 04:58:29 AM »
itna dard!!
bhai mohabbt bhot kam logo ko hi raas aati h--
fir bhi ye sbhi ko ho jati h

bahot dil se likha h aapne
Logged
Kohinoor
Guest
«Reply #4 on: May 18, 2012, 07:59:18 AM »
Bas Aise Hi Apne Mehboob Ki Yaad Mein, Socha Mohabbat Se Gilaa Karoon,.
Lafz Jurdte Gaye, Likhta Gaya, Kahin Galti Dikhe To Maaf Karna,.

Mohabbat Kya Sachch Mein Tu Taras Nahi Khaati.
Jo Bhi Tere Jaal Mein Phasa Hai,
Wo Ghamon Mein Ghira Hai,.

Jisko Bhi Tune Chua Hai,
Wo Barbaad Hi Hua Hai,.

Ek Pal Ki Khushi Deti Hai Tu,.
Badle Mein Jaan Leti Hai Tu,.

Apni Bhi Kismat Phoot Gayi,.
Zindagi Mujhse Rooth Gayi,.

Ek Khwaabon Ka Mehal Sajaaya Tha,.
Kisi Ko Is Dil Mein Basaaya Tha,.

Chaha Ke Ek Apna Ek Jahaan Ho,.
Khushiyaan Ka Ek Chota Sa Makaan Ho,.

Haath Uske Haathon SE Choot Gaye,.
Dil Jo Jurde The, Bedardi Se Toot Gayi,.

Kaash Paar Hojati Hamaari Chahaton Ki Kashti,.
Kaash Hamaari Zindagi Bhi Hasti,.

Kyun Aksar Tu Haar Jaati Hai,.
Do Zindagiyon Ko Kyun Maar Jaati Hai,.

Kya Tujhe Sharm Nahi Aati Adhoori Kahaani Likhkar,.
Ek Ke Hisse Mein Tanhaai, Ek Ki Aankhon Mein Paani Likhkar,.

Badi Bedard Hai Tu, Mohabbat, Phir Bhi Tu Salamath Rahe,.
Ke Tune Ek Lamha Diya Tha Mujhe, Sadiyon Mein Samet Kar,.



Mohabbat jaan se pyari...
Mohabbat jaan bhi leti...
Mohabbat phool se najuk...
Mohabbat kaante si chubhti...
.
.
Aapke dard pe waah waah nhi niklega mujhse bhai...
Logged
dolly
Guest
«Reply #5 on: May 18, 2012, 09:39:36 AM »
very touching...

ApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
goldy_shayar
Guest
«Reply #6 on: May 18, 2012, 09:55:59 AM »
waah.. janaab waah... dil choo kar gaya aapka kalaam
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
akashsharma1990
Guest
«Reply #7 on: May 18, 2012, 05:03:51 PM »
bohot khub....
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
http://www.yoindia.com/shayariadab/songs-lyrics/kala-jadu-t74903.0.html;
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #8 on: May 18, 2012, 07:23:17 PM »
Bas Aise Hi Apne Mehboob Ki Yaad Mein, Socha Mohabbat Se Gilaa Karoon,.
Lafz Jurdte Gaye, Likhta Gaya, Kahin Galti Dikhe To Maaf Karna,.

Mohabbat Kya Sachch Mein Tu Taras Nahi Khaati.
Jo Bhi Tere Jaal Mein Phasa Hai,
Wo Ghamon Mein Ghira Hai,.

Jisko Bhi Tune Chua Hai,
Wo Barbaad Hi Hua Hai,.

Ek Pal Ki Khushi Deti Hai Tu,.
Badle Mein Jaan Leti Hai Tu,.

Apni Bhi Kismat Phoot Gayi,.
Zindagi Mujhse Rooth Gayi,.

Ek Khwaabon Ka Mehal Sajaaya Tha,.
Kisi Ko Is Dil Mein Basaaya Tha,.

Chaha Ke Ek Apna Ek Jahaan Ho,.
Khushiyaan Ka Ek Chota Sa Makaan Ho,.

Haath Uske Haathon SE Choot Gaye,.
Dil Jo Jurde The, Bedardi Se Toot Gayi,.

Kaash Paar Hojati Hamaari Chahaton Ki Kashti,.
Kaash Hamaari Zindagi Bhi Hasti,.

Kyun Aksar Tu Haar Jaati Hai,.
Do Zindagiyon Ko Kyun Maar Jaati Hai,.

Kya Tujhe Sharm Nahi Aati Adhoori Kahaani Likhkar,.
Ek Ke Hisse Mein Tanhaai, Ek Ki Aankhon Mein Paani Likhkar,.

Badi Bedard Hai Tu, Mohabbat, Phir Bhi Tu Salamath Rahe,.
Ke Tune Ek Lamha Diya Tha Mujhe, Sadiyon Mein Samet Kar,.




gud one
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:30:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer