guf-tu-goo ka daur.........................ufaq

by ufaq on May 08, 2012, 04:46:22 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1734 times)
ufaq
Guest
harfo-harfo jhadte phoolo sa karo.
guf-tu-goo ka daur kuch acchhaa karo.

ghar ke kamre kyun bade ghar se huye,
yu na bhai tum tera-mera karo.

sang bhee todo to paani aa bahe,
tishnagi apne men wo paidaa karo.

shaakh par ik ghauslaa maujood hai,
tum na patthar phal pe yu mara karo.

roshani ghar men maissar na rahi,
chaandani ko aur kuch ujlaa karo.

ik jagah sooraj sada tiktaa nahi,
dhoop ka laazim yahi peechha karo.

muskuraata hai ya hai ruthaa huya,
chand ka muh poochhkar seedha karo.

chhodata hai teer ik saiyaad ab,
panchhiyo parwaaz ko uchaa karo.

kapdaa ik jodi ufaq maqdoor hai,
phir nahaakar phir yahi pahnaa karo.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: May 09, 2012, 03:37:53 AM »
 Applause Applause
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #2 on: May 09, 2012, 05:12:59 AM »
Khoob!
Logged
sarfira
Guest
«Reply #3 on: May 09, 2012, 08:23:14 AM »
bht khoob
Logged
dolly
Guest
«Reply #4 on: May 09, 2012, 04:04:54 PM »
bahut khoob...ApplauseApplause
Logged
dolly
Guest
«Reply #5 on: May 09, 2012, 04:06:07 PM »
bahut khoob...ApplauseApplause
Logged
sbechain
Guest
«Reply #6 on: May 10, 2012, 08:13:23 PM »
harfo-harfo jhadte phoolo sa karo.
guf-tu-goo ka daur kuch acchhaa karo.
ye to iss baat pe mayaasr hai unwaan kya hai Embarrased Embarrased Embarrased
ghar ke kamre kyun bade ghar se huye,
yu na bhai tum tera-mera karo.
zar aur zameen ki ladaayi ne to taarikh likhi hai icon_flower icon_flower icon_flower
sang bhee todo to paani aa bahe,
tishnagi apne men wo paidaa karo.
achi nasihat hai. ye jazba to ab apne khoon mein bhi nahin baaqi sad5 sad5 sad5 sad5
shaakh par ik ghauslaa maujood hai,
tum na patthar phal pe yu mara karo.
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
iss khudgarz duniya mein iss baat ki fkr kahaan uffaq icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent
roshani ghar men maissar na rahi,
chaandani ko aur kuch ujlaa karo.
bahut gahri baat kahi hai ufaq aapne wah wah Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
ik jagah sooraj sada tiktaa nahi,
dhoop ka laazim yahi peechha karo.
haan zarur . zindagi ke halaat ek se nahin rahte. dukh aur sukh dono hote hain aur dono hi haalat mein hamein jeena hai ............ Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
muskuraata hai ya hai ruthaa huya,
chand ka muh poochhkar seedha karo.
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
chhodata hai teer ik saiyaad ab,
panchhiyo parwaaz ko uchaa karo.
bahut khoob...wah wah wah Applause Applause Applause Applause
kapdaa ik jodi ufaq maqdoor hai,
phir nahaakar phir yahi pahnaa karo.

 kifayat shari achi baat hai per bakheel nahin hona chahiye

bahut khoob ji .........!please don't feel bad of my comments.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #7 on: May 11, 2012, 02:43:51 AM »
 Applause Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #8 on: May 13, 2012, 05:33:14 PM »
Ufaq Sahaab Aadaab!


Kia baat hai janab badi gazab ki kalaam kahi hai...
kafi gehri aur umda soch ka muzahera kiya hai janab...

Sabhi ashaar gazab ke rahe.... bahut khoob jee

humari dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...
Likhate rahiye... aate rahiye...

Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile                 



harfo-harfo jhadte phoolo sa karo.
guf-tu-goo ka daur kuch acchhaa karo.

Janab Achcha matla hai daad...
Par humare khayaal se lafz Hurf singular word hai aur iska koi plural
world nahi hai ... isliye hurf hi raheNga hurfo nahi ho payeNga.. Usual Smile
                   


ghar ke kamre kyun bade ghar se huye,
yu na bhai tum tera-mera karo.

Kia kahne janab waaH bahut wasi khayaal kaha hai daad Usual Smile                   

sang bhee todo to paani aa bahe,
tishnagi apne men wo paidaa karo.

Bahut khoob bada achcah khayaal kaha daad Usual Smile                   

shaakh par ik ghauslaa maujood hai,
tum na patthar phal pe yu mara karo.

Achcha hai janab .... Kafi gehra hai daad Usual Smile                   

roshani ghar men maissar na rahi,
chaandani ko aur kuch ujlaa karo.

Khul nahi paya hum par .. Huh?                   

ik jagah sooraj sada tiktaa nahi,
dhoop ka laazim yahi peechha karo.

Sani misre par gaur kariye... aur behtar khayaal meiN
dhal sakta hai... ulaa kamaal ka hai daad Usual Smile                   


muskuraata hai ya hai ruthaa huya,
chand ka muh poochhkar seedha karo.

Achcha khayaal hai janab.. HUmare aik azeez ki yaad dilaa di
aapke is sher ne... Usual Smile                   


chhodata hai teer ik saiyaad ab,
panchhiyo parwaaz ko uchaa karo.

Hmmm achcha hai daad                   

kapdaa ik jodi ufaq maqdoor hai,
phir nahaakar phir yahi pahnaa karo.

Kia kahne janba bahut umda daad daad daad Usual Smile                   


Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:49:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer