GUM KE KALAM SE

by gum on August 01, 2006, 05:30:11 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 9
Print
Author  (Read 8654 times)
gum
Guest
Humsafar gum jo mohabbat ke diye hai tumne,
Yeh bhi mujh par bada ehsaan kiya tumne,
Ek muddat se isi din ke hasrat thi dil mein,
Aaj mein hu khush ke deewana kaha mujhe tumne,

Jab bi takrai mere is jism se yeh hawa,
Mujhko mehsush  hua ke mujhe chua hai tumne,
Kya mere dil ke dhadkan ke aawaz hai ye,
Ya phir  paas aa kar kaha kuch tumne,
Hichkiya bhi kambakhat nahi aati,
Jo yeh soche ke mujhe yaad kiya tumne
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
E-kalam by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Is Kalam Me....... by pawan16 in Shairi - E - Zindagi
Kalam..!! by Áɑѕӈίգ in Miscellaneous Shayri
KALAM by lehar srivastava in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
.{ Kalam Ruk Si Gayi Hai }. by Omi-Shru in Shayeri for Dard -e- Bewafai
ranjana
Guest
«Reply #1 on: August 01, 2006, 06:12:31 PM »
bahut khoob gum ...

ham na unki yaado ko ab bhula paayenge
jab bhi koi kahi dikhega hame tere hamkhayal sa
unki yaado ke daman se hum toh lipat jaayenge

khawabo mein tere aayenge bahut aur tujhe satayenge
teri is mohabbat ki haqikat ko ab bhula na paayenge

azama chuki hun ab saare tarike tujhse dard na paane ke
ab apne dil ke chein gawa ke bhi tujhse aankh na chura paayenge
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #2 on: August 12, 2006, 04:59:26 PM »
Wah Gum bhai....aap ki Kalam Wakayi me bahut acchi hai.....aao toh Mehfil sajayein......


Bhala Band kamron ki Deewaron se mooh Chupaye kaise......
Jisse Seekha ho Jeena humne use hara ke khud jeet jaye kaise......

Rona ho toh Aaalam Tanhai ka Chuna karo.......
Phir baad na kehna nikal gaye AShQ ab inhe tumse Chupaye kaise......!!!!!!!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #3 on: August 13, 2006, 05:58:22 PM »
wah   Gum.........  Ranjana........  Gaurav .....  aap logon  ne bahot accha likha........

Ashq  bahne  do  inhein yaar  ke aage  Waheed
dil mein jo dard hai aankhon se bayan hone do...
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #4 on: August 14, 2006, 04:33:53 AM »
bhut khoob  Gum bhai sahab..


likhna mera IShq mein
abb mujhe kabool nahi
dard hi dard niklega
abb koi phool nahi
matt kehna yaaro
phir kabhi khumar mein aane ko
yeh Ishq toh ek dhoka hai
har kissi ko milli dhool hi yahin...!!!
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #5 on: August 14, 2006, 07:56:36 AM »
Hum Nay Tao Qurbaton Mein Bhi Judai Kay Zamaney Maangay

Wo Chehra Badal K Phir Nazron Say Girnay K Bahanay Maangay

Kiyon Unn logon Ka Dil Tarasta Hay Aub Naey Marasim K Liyay

Jinhon Nay Har Bharam Tor Kar Rishton K Nazranay Maangay

Hamein Aadaat Hi Kub Rahi Kisi Ghaer Par Bharosa Karnay Ki

Dosti Ki Nai Manzil Par B Dil  Wohi Andaaz Pooranay Maangay

N/M

Ques...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #6 on: October 15, 2006, 07:24:09 PM »
Quote from: "gum"
hmmmm... Guys gum is back with a bang....

Meri Zindagi hai us tooti sadak ke tarah
Koi waha aata bhi nahi, jata bhi nahi
Meri Mohabbat ko jaano toh baas itna he....
Woh phool jis mein kabhi khushboo thi he nahi

Mere mehboob ke aadaon ke kya kahiye
woh dikhate bhi nahi hum dekhte bhi nahi,
Unki haar baat mein kahi na kahi dard chupa hota hai
Woh aapna dard batate bhi nahi, hum chupate bhi nahi,

Kabhi jo unhone baat ke badi mohabbat se,
ke unki baaton mein pyaar dikha nahi aur maut aati nahi


awesome  brother......... bahot accha aap ne likha..........
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: October 16, 2006, 03:03:46 PM »
Bahoot Khoob,..

Gham Uthaana To Hogayi Hai Kismat Apni,..
Ke De Jaata Hai Har Koi Gham Muskuraakar Humne.,..

___________________________________-Jaanasheen-
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: October 16, 2006, 05:20:36 PM »
Bahut achhe....


Wo Jo Majboori Ke Saaye Mein Pale The,
Log The Adhe Adhoore Par Bhale The,

Aapne Jashna Manaya Jis Jagah Par,
Us Jagah Par Raat Bhar Sapne Jale The,

Haaye Kitna Kar Gaye NakaaM HuMko,
Waqt Par Jo Ho Na Paaye Faisle The,

Chhod Kar Jab Raah Mein Sab Chal Diye To,
KaaM Aaye Tab HaMare Honsle The,

Dar SaMajh Kar Is Tarah Uthne Lage Kyon,
Log Jo Baithe Ghane Pedon Ke Tale The...
* * * * *
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: October 16, 2006, 05:42:02 PM »
nice work  Gum.........Angel............. :lol:
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: October 16, 2006, 06:07:34 PM »

Mohabbat Ka Meri Mujhse Hisab Maangta Hai,
TaMaM UMar Ka Mujhse Nisab Maangta Hai,

Uske QadMon Mein Khushiyon Ko Dher Kar Diya,
Pagal Un Cheezn Ka Jawaz Maangta Hai,

Har Sawal Ke Jawab Ko Jante Hue Bhi,
Apne Har Sawal Ka Jawab Mangta Hai,

HuM Maut Ki Dehleez Par Hai Janta Hai Jaana Hai HaMein,
Pagal Hai HaMare Rukne Ki Dua Mangta Hai...
* * * * *
Logged
S H W E T A
Guest
«Reply #11 on: October 16, 2006, 06:10:57 PM »
NICE THREAD,GUM JI... :D
Logged
S H W E T A
Guest
«Reply #12 on: October 16, 2006, 07:37:16 PM »
BAHUT KHOOB! Usual Smile
Logged
pinky
Guest
«Reply #13 on: October 16, 2006, 08:48:10 PM »
Bahut khoob Gum ji..
aap to bahut umda likhte hain..!!
Logged
pinky
Guest
«Reply #14 on: October 16, 2006, 08:50:40 PM »
Likha jo koi sherr maine kabhi
to Tere naam se likha hai..
Jaane kyun Padhne waale kehte hain ki
Shayad Maine GHAM KE KALAM SE likha hai..
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 9
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:18:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer