GUM KE KALAM SE

by gum on August 01, 2006, 05:30:11 PM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9
Print
Author  (Read 8575 times)
pinky
Guest
«Reply #105 on: November 04, 2006, 06:54:28 PM »
Jisse dil ne kayi janmo se chaaha hai..
Paa kar jisse aankhon ne khoya hai..
Usse bhool jaayein aisi kismat kahan..
Ke hum bhi uske jaise ban jaayein,
Aisi Kismat kahan..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
E-kalam by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Is Kalam Me....... by pawan16 in Shairi - E - Zindagi
Kalam..!! by Áɑѕӈίգ in Miscellaneous Shayri
KALAM by lehar srivastava in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
.{ Kalam Ruk Si Gayi Hai }. by Omi-Shru in Shayeri for Dard -e- Bewafai
pinky
Guest
«Reply #106 on: November 04, 2006, 07:10:35 PM »
Wah!!
kya baat hai..

Zakhmo se behta hai dard ka lahoo..
Meri zuban pe ik aah bhi nahi hoti..
Ye gham ab saza nahi mere liye..
Iske bina to ab meri saanse bhi nahi chalti..
Logged
pinky
Guest
«Reply #107 on: November 04, 2006, 07:27:18 PM »
Dil par Likh kar Naam intezar tera kiya karte hain..
Chirag to kab ke bujh gaye..
Apne Gham se hi roshni kiya karte hain..
Logged
pinky
Guest
«Reply #108 on: November 04, 2006, 07:33:27 PM »
jawaab to aapka bhi nahi Gum..

Mohabbat ek aisa Zakhm hai
Jo chupaye nahi chupta mere dost..
Mehfil mein nahi to Tanhayi mein
Zarur Aankhein nam hoti hongi tumhari..
Logged
pinky
Guest
«Reply #109 on: November 04, 2006, 07:45:23 PM »
Gham ki Barsaat Khushnaseebon ke yahan hua karti hai..
Wo kya jaane Dard mein chuppi khushi ko
Jinhone kabhi Mohabbat hi nahi ki..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #110 on: November 05, 2006, 08:04:33 PM »
Barsaaton mein to bhige hia hum bhi bahut,
ab lagta hai shayad un barsaaton ne mohabbat ko hi baha liya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #111 on: November 05, 2006, 08:16:20 PM »
Muskurahatein hi aksar dhoka de jaati hai aye dost,
aankhon mein hazar sailaab hote hia, par wo samajhte hia hum khushiyonki kashti me sawar hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #112 on: November 05, 2006, 08:23:48 PM »
Zindagi khud mazak ban gayi tujhse dhoka kha kar,
ke ab dard bhi hasne lage mere ashq dekhkar sad5
Logged
angel4u
Guest
«Reply #113 on: November 05, 2006, 08:33:02 PM »
Bas yunhi sad5

Mohabbat ke bina jiye to jaa rahe hai aye dost,
par is zindagi mein ab jaan kahan sad5
Logged
angel4u
Guest
«Reply #114 on: November 05, 2006, 08:42:33 PM »
Phoolon ke sath kaantein hamesha rehte hia,
mohabbat se khali zindagi mein aansu tak chubhte hia.
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #115 on: November 06, 2006, 06:19:23 AM »
Pathar ki iss duniya mein,pathar(mountain)se jharne girte hain
woh samjh nahi paaye phir bhi, ashq yahan bhi girte hain ...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #116 on: November 06, 2006, 12:52:58 PM »
Bahoot Khoob Gham Bhai,..
Husena Sis,..
Jeet Bhai,..
Keep Going,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #117 on: November 06, 2006, 12:56:27 PM »
Ye Sitam Hum Par Doston Ke Hain,..
Dushmaano Ki Itni Majaal Na Thi,..

Tabiyat To Meri Apno Ne Bigaadi,..
Aisi Pehle To Meri Haalat Na Thi,..

__________________-Jaanasheen-
Logged
angel4u
Guest
«Reply #118 on: November 06, 2006, 05:10:21 PM »
Hmm sabne bahut hi achha likha hai, gum jeet...


Na Raasta Sujhayi Deta Hai,
Na Manzil Dikhayi Deti Hai,
Na Lafz Zubaan Par Aate Hai,
Na Dhadkan Sunayi Deti Hai...

Ek Ajeeb Si Kaifiyat Ne
Aan Ghera Hai Mujhe
Ke Har Surat Mein
Teri Surat Dikhayi Deti Hai...

Ye Milna Aur Bichhad Jana
Kab Apne Bas Ki Baat Hai,
KisMat Hi Milati Hai HuMko,
KisMat Hi Judayi Deti Hai...

Har Baar Yehi Hota Hai,
Koi HaMein Bataye To Sahi,
Jo TuMse Nahi Keh Paate Hai
Dhadkan Se Sunayi Deta Hai...

TuM Jaante Ho Kya TuMse Kahein
Bechain Bahut Dil Hota Hia,
Jab Paas Nahi Ho
Door Saari Khudayi Hoti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #119 on: November 06, 2006, 05:33:17 PM »
Thanks dear.
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:26:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer