gunaah

by nishita on February 21, 2005, 10:06:59 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8
Print
Author  (Read 7553 times)
nishita
Guest
«Reply #90 on: March 11, 2005, 11:33:16 AM »
wow sandhaya.. thanks nino
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
gunaah by mohd_i'm in Shayri-E-Dard
....~~~Gunaah~~.... by HumTum in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
gunaah kya hai..?? by amrita in Shayeri for Dard -e- Bewafai
*****GUNAAH***** by kaushikbhawna008 in Shayri-E-Dard
Gunaah by angel4u in Shayri-E-Dard
HumTum
Guest
«Reply #91 on: March 11, 2005, 11:56:44 AM »
Quote from: "nishita"
Quote from: "HumTum"
Quote from: "nishita"
Quote from: "HumTum"
Quote from: "nishita"
tu to khamosh hai, magar teri bewafai mujhse kuch kehti hai
ye pagal si ladki aaj bhi tere dil ke kone me kahi rehti hai


vo saamane thaa magar ye yaqiin na aataa thaa
vo aap hai ke merii Khvaahishon kaa saayaa hai

main kyaa karuungaa agar vo na mil sakaa 'HumTum'
abhii abhii mere dil mein Khayaal aayaa hai


HumTum


Yeh khushbuon ka aalam..yeh zindagi ki masti
Phir chhod aye rahbar tum apna dil kahan...
Ik baagh jo tha apna...ik quom jo thi humdil
Ik phhool jis ko chaha be-parwa-e-jahan

nm


is qadar musal-sal thiin shiddate judaaii kii
aaj pahalii baar main ne us bevafaaii kii

varanaa ab talak yuunN thaa Khvaahishon kii baarish mein
yaa to tuut kar royaa yaa Gazal-saraa-ii kii

nm

HumTum


Utre jo zindagi teri gharaiyon main hum
Mehfil main reh kar bhi rahe Tanhaiyon main hum
Deewangi nahi to isay aur kya kahein
Insaan dhundte rahe Parchahiyon main hum

nm


mehfil meiN teri aur bhi haiN chaahnay waalay
yeh mutt bhool keh aaj hum bhi haiN aanay waalay

sadiyouN ka faasla lamhouN meiN tai ho jaata
dil mila laytay agar haath milanay waalay

mar kay ji uTh-ta hai jo apni ulfat ki khatir
kahaaN hai aisay aaj shama pay marnay waalay

HumTum
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #92 on: March 13, 2005, 07:41:30 AM »
Good job all ...


Tanhai me waqt guzara karte hai,
Hum har din har aapko yaad kiya karte hai,
Hum nahi jaante par gharwale batate hai,
Ki neend me bhi aapka naam liya karte hai...
Logged
nishita
Guest
«Reply #93 on: March 14, 2005, 05:47:07 AM »
waah both
Logged
hariom
Guest
«Reply #94 on: March 14, 2005, 01:41:55 PM »
Quote from: "nishita"
Gar woh hota koi gair to gila karte
khud aapne dil ko kaise ruswaa karte

Chala gaya mere aangan ko chod kar saathi
jaate jaate mere jeene ki na dua karte

Hai khoob dard intezar-e-mohabbat ka
uske is sabr ka kis muh se hum gila karte

Bhul jaate bhi hum agar yeh kabhi hota mumkin
khud apne dil se hum kaise yeh gunaah karte....


nm

dil garden garden ho gaya  
really beautiful
Logged
nishita
Guest
«Reply #95 on: March 16, 2005, 11:08:19 AM »
lol thank u .. mera dil bhi fountain faountain hogaya
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #96 on: March 19, 2005, 05:30:13 PM »
lol ...
It was a nice joke both of you ...


Hum aapse door hokar bhi aapke paas nazar aayenge,
Aap hame bhool jaaye lekin hum aapko na bhool payenge,
Hum jaante hai par jataate nahi,
Ki hamari maut pe bhi aap ek aansu na bahayenge...
Logged
nishita
Guest
«Reply #97 on: March 20, 2005, 05:58:51 AM »
wah nice just hate ji


Tu Meri Aankh Ka Sapna Hai Agar Tu Samjhe
Tu Meri Zaat Ka Hissa Hai Agar Tu Samjhe
Ho Nahi Sakti Judda Phool Se Khushboo Jaise
Saath Humara Bhi Kuch Aisa Hai Agar Tu Samjhe...

nm
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #98 on: March 27, 2005, 10:29:21 AM »
Thanks Nishuji n nice too ...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #99 on: March 27, 2005, 11:49:04 AM »
Dard-e-dil ko dekho kitne gum jhele hai,
Mere masoom dil me zakhmo ke mele hai,
Mehfil ki khwaaish thi mujhko yaaron,
Dekho zindagi me hum aaj kitne akele hai...
Logged
main_aisa_hi_hoon
Guest
«Reply #100 on: March 27, 2005, 07:14:14 PM »
nice work by all  Usual Smile specially nishita ji n jhl ji
Logged
nishita
Guest
«Reply #101 on: March 28, 2005, 08:01:34 AM »
thank u main aisa hu Usual Smile
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #102 on: March 28, 2005, 09:41:46 AM »
Quote from: "nishita"
wah nice just hate ji


Tu Meri Aankh Ka Sapna Hai Agar Tu Samjhe
Tu Meri Zaat Ka Hissa Hai Agar Tu Samjhe
Ho Nahi Sakti Judda Phool Se Khushboo Jaise
Saath Humara Bhi Kuch Aisa Hai Agar Tu Samjhe...

nm


Samjhaye agar tu to bahut kuchh samajh sakta hoon!
Mera wazood hai tu, Kya tujh se alag rah sakta hoon!

Mujhe dar hai Ruswa yeh Mohabbat na ho jaaye kahin,
Door hoon achchha hai, Paas aa kar ke bahak sakta hoon!

Tu Phool hai khoobsoorat agar to Yaadein hain Khushbu teri,
Main ishq mein Tujh se door rah kar bhi mahak sakta hoon!
Logged
nishita
Guest
«Reply #103 on: March 28, 2005, 10:05:59 AM »
Quote from: "sharmaarunkumar"
Quote from: "nishita"
wah nice just hate ji


Tu Meri Aankh Ka Sapna Hai Agar Tu Samjhe
Tu Meri Zaat Ka Hissa Hai Agar Tu Samjhe
Ho Nahi Sakti Judda Phool Se Khushboo Jaise
Saath Humara Bhi Kuch Aisa Hai Agar Tu Samjhe...

nm


Samjhaye agar tu to bahut kuchh samajh sakta hoon!
Mera wazood hai tu, Kya tujh se alag rah sakta hoon!

Mujhe dar hai Ruswa yeh Mohabbat na ho jaaye kahin,
Door hoon achchha hai, Paas aa kar ke bahak sakta hoon!

Tu Phool hai khoobsoorat agar to Yaadein hain Khushbu teri,
Main ishq mein Tujh se door rah kar bhi mahak sakta hoon!


wah sharmaji

Bichar gaya hai wo mujhse aaj
lekin wo to mera kabhi tha hi nahi

Mein chahti hoon usse..aur chahne ke siwa
mere liye to koi aur raasta bhi nahi

Ajeeb raah guzar thii ke jis pe chalte hue
qadam ruke bhi nahi....raasta kata bhi nahi

tere siwa bhi kai dost ban gaye to ye raaz khula
mera to shehar mein koi tere siwa bhi nahi

nm
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #104 on: March 28, 2005, 11:01:49 AM »
owowowow!!! gazab gazab gazab!!!!! Jaan hi le li aapne to!!!
Beautiful!!!!! Excellent!!!! Nishita ji!!! Superb!!!! Usual Smile


AAj tum se door ho kar aise roya mera pyaar!
Chaand roya Saath mere Raat Royee Zaar Zaar....


nm
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:26:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer