Gunehgaar Ho Baitha

by Alam Qazi on April 01, 2012, 05:41:23 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 824 times)
Alam Qazi
Guest

Meri Hasrat Thi Jinka Hone Ki, Wo Kisi Aur Ka Ho Baitha
JinheiN Zindagi Banaana Tha, Wo Jaa'N Kisi Ka Ho Baitha

Intezar Mein Uske Hum, Tarikiyo'N Mein Doob Gaye
Aur Wo Bankey Maahtab.....  Roshan KahiN Ho Baitha

Jo Girtey Ashko'N Ko Mere, Thaam Liya Karta Thaa
Mere Dil Ka Qaatil....  Aaj Wo Hasee'N Ho Baitha

Tajalli Uski.... Mere Rukhsar Par Waajib Thi Lekin !!
Kar Ke Haayal Pardaa, Wo Pardaa Nashee'N  Ho Baitha

Uski Fitrat Mein Ghuroor, Badhtaa Gyaa Raftaa Raftaa
Isi Sarkash Mein Wo Maghroor, Gunehgaar Ho Baitha



______Alam




Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
baitha hu by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
***GUNEHGAAR*** by baadal102 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
gunehgaar by jaindost in Shayeri for Dard -e- Bewafai
gunehgaar by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
gunehgaar by pankajwfs in Shayeri for Dard -e- Bewafai
theyash
Guest
«Reply #1 on: April 01, 2012, 06:12:45 PM »
bahut khoob...
Logged
~Aatish~
Guest
«Reply #2 on: April 01, 2012, 07:14:57 PM »
Applause Applause
bhot khub ji.
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #3 on: April 02, 2012, 12:40:49 AM »
Good
Logged
sarfira
Guest
«Reply #4 on: April 02, 2012, 02:38:52 AM »
waah Alam sahab--
baht khoob kalaam se nawaja hai bazm ko--
daad aur mubarakbad karen

khus rahen
muskurate rahen
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: April 02, 2012, 03:58:40 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Jagan Kishan
Guest
«Reply #6 on: April 02, 2012, 07:34:30 AM »
 Applause Applause :clap:kya baat kya baat
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: April 02, 2012, 10:52:16 AM »
Qazi Sahaab Aadaab!


Janab aapke khayaal waqai behad dilfareb haiN...
aur aapke lafoN meiN bhi woH taseer hai ke dil
ko chhu jaaye... Usual Smile

Achchi kalaam kahi hai aapne... HUmari dili daad
O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Zarra kafiye ki bandish par khayaal rakhiyega... Aapke
khayaal aur bhi khoobsurati se ubhar kar aayeNge.. Usual Smile

Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...
Khudaa Hafez... Usual Smile
Logged
khujli
Guest
«Reply #8 on: April 02, 2012, 12:24:40 PM »

Meri Hasrat Thi Jinka Hone Ki, Wo Kisi Aur Ka Ho Baitha
JinheiN Zindagi Banaana Tha, Wo Jaa'N Kisi Ka Ho Baitha

Intezar Mein Uske Hum, Tarikiyo'N Mein Doob Gaye
Aur Wo Bankey Maahtab.....  Roshan KahiN Ho Baitha

Jo Girtey Ashko'N Ko Mere, Thaam Liya Karta Thaa
Mere Dil Ka Qaatil....  Aaj Wo Hasee'N Ho Baitha

Tajalli Uski.... Mere Rukhsar Par Waajib Thi Lekin !!
Kar Ke Haayal Pardaa, Wo Pardaa Nashee'N  Ho Baitha

Uski Fitrat Mein Ghuroor, Badhtaa Gyaa Raftaa Raftaa
Isi Sarkash Mein Wo Maghroor, Gunehgaar Ho Baitha



______Alam






 Applause Applause Applause
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #9 on: April 03, 2012, 02:37:04 PM »
Alam Bhai.. Hum to aapki Lekhni ke shuru se Hi Kaayal Hain.. Aur Yeh Qalaam Bhi Dil ko andar tak ched gaya.. Aapki yeh Dard Bhari Peshkash Behad Umda rahi.. Applause Applause

Daad Kubool karen dil se..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 05:42:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer