***GUNEHGAAR***

by baadal102 on August 04, 2008, 11:02:53 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2960 times)
baadal102
Guest

Hum pooch.te rahe wo rote rahe,
Reh reh ke daaman wo bhigote rahe,

Yaad aate hi wo manjaar kayamat ka,
Hum khud ko us ka gunehgaar bata.te rahe,

Kabhi na maaf kar paayenge khud ko,
Us din hum kyo chup chap rahe,

Rok ke poochte rahe ki kon hai,
Log janaja chup chap le jaate rahe,

Ek muthi mitti bhi na de sake,
Kyo tamasha chup chap hum dekhte rahe,

Kya ho gaya tha uss din humme,
Yahi aaj talak hum sochte rahe,

Baithe baithe kabrr pe unki,
Aaj fir aapne ko gunehgaar bata.te rahe,

Aaj fir aapne ko gunehgaar bata.te rahe.............

Baadal tearyeyed
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
:: Main Gunehgaar :: by myheart_ursonly in Miscellaneous Shayri
PYAAR KYA HOTA HAI(GUNEHGAAR) by gunehgaar in Shayri for Khumar -e- Ishq
MERE CHAR PAL(GUNEHGAAR) by gunehgaar in Shairi - E - Zindagi
saanso ki kasak(GUNEHGAAR) by gunehgaar in Shayari -e- Husn
SAGAR KI GEHERAI(GUNEHGAAR) by gunehgaar in Shairi - E - Zindagi
punam
Guest
«Reply #1 on: August 04, 2008, 11:10:36 AM »
bahut khoob baadal ji..bahut hi acha likha hai aapn ne...
Logged
k.shael
Guest
«Reply #2 on: August 04, 2008, 11:13:12 AM »
 Applause  Applause  Clapping Smiley
EXCELLENT WORK BAADAL JI,
KYA BAAT HAI BAHUT DINO KE BAAD
AAYE PAR AATE HI CHAA GAYE AAP TO,
BAHUT DARD HAI AAPKE KALAM ME....
KEEP GOING....
BY. K.SHAEL

KAASH KI USS DIN KUCH KEH PATE HAM UNSE,
TO DIL ME U LAAKH BAATE CHUPI NA REH JAATI,

KAASH KI KUCH POOCH PATE HAM UNSE,
TO AANKHON ME U ANGINAT SAWAL NA REHTE,

KAASH KI UNHE APNI HALAT BATA DETE TO,
U JANAJA HAMARA TANHA NA CHALTA,

KAASH KI ISS DUNIYA SE JANE KA SABAB BATA DETE,
TO SHAYAD MERI MAYIYAT PE NAMI KI KAMMI NA HOTI,

KAASH KI USS DIN UNSE LIPAT KAR SAMBHL JATE
TO HAM U BIKHARE NA HOTE,

KAASH KI BASS JAATE USS DIN UNN KI ROOH ME,
TO AAJ UNSE ITNI DOOR NA HOTE....
Logged
baadal102
Guest
«Reply #3 on: August 04, 2008, 11:15:42 AM »
thanx punam ji N shael ji
aap ne bhi aacha likha hai shael ji

thanx again

Baadal
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: August 04, 2008, 01:35:39 PM »
wah bahoot khoob baadal ji... bahoot dino baad apka likha padne ko mila..

Good one shally...

Jalad he kuch likhne ki koshish hogi yaha!!
Logged
baadal102
Guest
«Reply #5 on: August 04, 2008, 02:36:53 PM »
thanx pooja ji
waiting 4 ur reply

Baadal
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: August 04, 2008, 02:43:42 PM »

Hum pooch.te rahe wo rote rahe,
Reh reh ke daaman wo bhigote rahe,

Yaad aate hi wo manjaar kayamat ka,
Hum khud ko us ka gunehgaar bata.te rahe,

Kabhi na maaf kar paayenge khud ko,
Us din hum kyo chup chap rahe,

Rok ke poochte rahe ki kon hai,
Log janaja chup chap le jaate rahe,

Ek muthi mitti bhi na de sake,
Kyo tamasha chup chap hum dekhte rahe,

Kya ho gaya tha uss din humme,
Yahi aaj talak hum sochte rahe,

Baithe baithe kabrr pe unki,
Aaj fir aapne ko gunehgaar bata.te rahe,

Aaj fir aapne ko gunehgaar bata.te rahe.............

Baadal tearyeyed

Kuch khas baat ban nahi paai.... phir bhi jo likha gaya wo yaha post kar rahi hu:

Rahe jawab dil main, kyun batate tujhe
Kis liye ab apna haal-e-dil sunate tujhe

Ban kar ajnabi jab chal he diye the tum
Ajj phir kyun apna dard dikhate tujhe

Maaf kar diya tha is dil ne doosre he pal tujhko
Phir ab kyun sawalo mai uljhate tujhe

Na mile zindagi main, na naseeb tujhse mitti he hui
Naseeb se kis tarah phir paate tujhe…

Rahe jawab dil main, kyun batate tujhe
Kis liye ab apna haal-e-dil sunate tujhe

Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: August 04, 2008, 03:06:42 PM »

Wah wah bahut khoob Baadal ji... Her ek line dil ko chu gaya hai.
Cheer up... ji... good work
Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: August 04, 2008, 03:11:10 PM »
Kuch khas baat ban nahi paai.... phir bhi jo likha gaya wo yaha post kar rahi hu:

Rahe jawab dil main, kyun batate tujhe
Kis liye ab apna haal-e-dil sunate tujhe

Ban kar ajnabi jab chal he diye the tum
Ajj phir kyun apna dard dikhate tujhe

Maaf kar diya tha is dil ne doosre he pal tujhko
Phir ab kyun sawalo mai uljhate tujhe

Na mile zindagi main, na naseeb tujhse mitti he hui
Naseeb se kis tarah phir paate tujhe…

Rahe jawab dil main, kyun batate tujhe
Kis liye ab apna haal-e-dil sunate tujhe

Very good Pooja di...

Quote
Na mile zindagi main, na naseeb tujhse mitti he hui
Naseeb se kis tarah phir paate tujhe…
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: August 04, 2008, 03:52:35 PM »
Thanks Roja!!
Logged
baadal102
Guest
«Reply #10 on: August 05, 2008, 04:59:18 AM »
Wah wah bahut khoob Baadal ji... Her ek line dil ko chu gaya hai.
Cheer up... ji... good work

thanx a lot roja ji

Baadal
Logged
baadal102
Guest
«Reply #11 on: August 05, 2008, 05:01:43 AM »
Kuch khas baat ban nahi paai.... phir bhi jo likha gaya wo yaha post kar rahi hu:

Rahe jawab dil main, kyun batate tujhe
Kis liye ab apna haal-e-dil sunate tujhe

Ban kar ajnabi jab chal he diye the tum
Ajj phir kyun apna dard dikhate tujhe

Maaf kar diya tha is dil ne doosre he pal tujhko
Phir ab kyun sawalo mai uljhate tujhe

Na mile zindagi main, na naseeb tujhse mitti he hui
Naseeb se kis tarah phir paate tujhe…

Rahe jawab dil main, kyun batate tujhe
Kis liye ab apna haal-e-dil sunate tujhe

wah pooja ji kya baat hai bahut khoob  Applause

Baadal
Logged
baadal102
Guest
«Reply #12 on: August 05, 2008, 05:40:26 AM »
jayada nahi bas thora
sa likh paaya umeed hai jawab
pasand aayega aapko.

Kabhi na bane the ajnabi hum,
Sada bas ek tare rahe the hum,

Khamoshi tod dete to aacha hota,
Tare har sawal se aaj wakif hote hum,

Zindgee or mitti dono hi naseeb hoti,
Gar ek baar mare sine se lipte hote tum,

Ek baar to yakeen kiya hota mera,
Sawal ka tere har jawab dete hum,

Rakh ke har baat dil mai apne,
Ajnabi khud hi banaya tha tune hume,

Ek baar to dil ka haal sunaya hota,
Tare har ashq ki kimat chukate hum,

Tare har ashq ki kimat chukate hum........

Baadal
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #13 on: August 05, 2008, 07:20:27 AM »

Yaad aate hi wo manjaar kayamat ka,
Hum khud ko us ka gunehgaar bata.te rahe,

Rok ke poochte rahe ki kon hai,
Log janaja chup chap le jaate rahe,

Ek muthi mitti bhi na de sake,
Kyo tamasha chup chap hum dekhte rahe,

Kya ho gaya tha uss din humme,
Yahi aaj talak hum sochte rahe,

Aaj fir aapne ko gunehgaar bata.te rahe.............

Baadal tearyeyed
jayada nahi bas thora
sa likh paaya umeed hai jawab
pasand aayega aapko.

Zindgee or mitti dono hi naseeb hoti,
Gar ek baar mare sine se lipte hote tum,

Rakh ke har baat dil mai apne,
Ajnabi khud hi banaya tha tune hume,

Tare har ashq ki kimat chukate hum........

Baadal

Baadal Ji..Badi der se aaya durust aaya hoon.
waaqaee aapne bahot bahot badhiya ash'aar Likhe Hai..
So-fi-sadi Dil Ko Chhoone wale ash'aar..Hai Baadal Ji.
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #14 on: August 05, 2008, 07:32:10 AM »
KAASH KI USS DIN KUCH KEH PATE HAM UNSE,
TO DIL ME U LAAKH BAATE CHUPI NA REH JAATI,

KAASH KI KUCH POOCH PATE HAM UNSE,
TO AANKHON ME U ANGINAT SAWAL NA REHTE,

KAASH KI UNHE APNI HALAT BATA DETE TO,
U JANAJA HAMARA TANHA NA CHALTA,

KAASH KI ISS DUNIYA SE JANE KA SABAB BATA DETE,
TO SHAYAD MERI MAYIYAT PE NAMI KI KAMMI NA HOTI,

KAASH KI USS DIN UNSE LIPAT KAR SAMBHL JATE
TO HAM U BIKHARE NA HOTE,

KAASH KI BASS JAATE USS DIN UNN KI ROOH ME,
TO AAJ UNSE ITNI DOOR NA HOTE....
K.shael Ji...Bahot Khoob Likha Hai aapne..
dard k ahesaas bhi numaya hai isme
aapne Ne Yoindia Nahi Chhoda Ye bahot Khusi ki baat Hai..
aap jo Bhi Kalaam Likhte Ho badhiya Hota Hai..!!!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:18:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer