***GUNEHGAAR***

by baadal102 on August 04, 2008, 11:02:53 AM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 2892 times)
baadal102
Guest
«Reply #30 on: August 08, 2008, 05:42:45 AM »
bahut hi accha likha hai aapne baadalji
aur aapne bhi bahut hi accha reply kiya hai shally
great work from both of u...



thanx a lot diya ji




Baadal
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
:: Main Gunehgaar :: by myheart_ursonly in Miscellaneous Shayri
PYAAR KYA HOTA HAI(GUNEHGAAR) by gunehgaar in Shayri for Khumar -e- Ishq
MERE CHAR PAL(GUNEHGAAR) by gunehgaar in Shairi - E - Zindagi
saanso ki kasak(GUNEHGAAR) by gunehgaar in Shayari -e- Husn
SAGAR KI GEHERAI(GUNEHGAAR) by gunehgaar in Shairi - E - Zindagi
baadal102
Guest
«Reply #31 on: August 08, 2008, 05:45:05 AM »
Jo kahna pade, usse kaise hum payar maan le
Jo mangna pade, use kaise apna haq jaan le

Dil ne to kiya her pal yaad tujhe e-jaan-tamnna
Jo pukarna pade hume, kaise tujhe phir apna jaan le

Yakeen mere per jab tujhe he na raha vishwaas
Aise zajbaato main, kaise koi jawab de

Gunahgaar ho gaya her ek wo beeta pal
Aise mai kaise, isse tera pyar maan le!!



bahut lhoob pooja ji
ek baar fir umda lines



Baadal
Logged
baadal102
Guest
«Reply #32 on: August 08, 2008, 05:59:21 AM »
BAHUT KHOOB REPLY KIYA BAADAL JI,
HAMARI TARAF SE KI GAYI CHOTTI SI KOSHISH
KABOOL KARIYEGA....

WO BHI KYA DIN THE,JAB HAR RAAJ TUMSE
JAHIR KIYA KARTE THE,
KABHI AANSOO TO KABHI KHUSHIYO SE SAATH
-2 JIYA KARTE THE,

DEKHTE HI DEKHTE JANE KYUN TU ITNI DOOR
CHALA GAYA,
KI AAB TO HAR AANSOO HAR GAM TANHAI KO
AKELE SAHA KARTE HAI,

TU HI TO EK RAAJDAA.N MERA KI AAB TO JAISE
HAR RAAH ME BHATKA KARTE HAI,
GUNHEGAAR TU BHI KAISE HO SAKTA HAI YE
TO HAMARI BADNASIBI HAI KI KABHI KHUSH THE,
TERE SANG,

AAJ TERE BAIGAIR KHUSH HONE KI KOSHISH KIYA
KARTE HAI
JANE KYUN TU BADAL GAYA HAI ITNA PAR HAM'
TO AAJ BHI TUJHE AE RAAJDAA.N DOONDA
KARTE HAI....
BY. K.SHAEL

shael ji aap ka reply dene ki koshish ki hai umeed hai pasand aayega



Bita har din or raat ek tare liye,
Jiye har pal sirf ek tare liye,

Har gum or khushi thi sirf tare liye,
Chale gaye jindgi se wo bhi sirf tare liye,

Raajdaan tha ek sirf tu mera,
Fir aaj badal gaya tu kis ke liye.....



Baadal
Logged
baadal102
Guest
«Reply #33 on: August 08, 2008, 06:31:21 AM »
Jo kahna pade, usse kaise hum payar maan le
Jo mangna pade, use kaise apna haq jaan le

Dil ne to kiya her pal yaad tujhe e-jaan-tamnna
Jo pukarna pade hume, kaise tujhe phir apna jaan le

Yakeen mere per jab tujhe he na raha vishwaas
Aise zajbaato main, kaise koi jawab de

Gunahgaar ho gaya her ek wo beeta pal
Aise mai kaise, isse tera pyar maan le!!


pooja ji aap jitna aacha to nahi likh paaya lakin koshish ki hai






Gunahgaar hu mai ye maloom hai hume,
Pyar tera sacha tha ye guma hai hume,

Na to kahne ki na hi mangne ki jarurat thi,
Sab sirf tera tha ye maloom hai tumhe,

Aaj bhi jab wo beeta pal yaad aata hai,
Bhiga daaman wo tera yaad aata hai hume,

Maana ki pyar wo nahi jo keh.na pade,
Lakin guma-e-yakeen tera maloom hai hume,

Vishwaas tera har pal kiya maine,
Lakin ek dar sine mai sat.ta tha hume,

Kho na du kanhi dunia ki bheed main,
Issliye har pal tuhjhe sun.na tha hume,

Jaan lo bas itna ki aaj bhi hai tare,
Gunehgaar hu lakin, sirf cha.te hai tumhe........





Baadal
Logged
Pooja
Guest
«Reply #34 on: August 08, 2008, 01:45:09 PM »
wah kaya baat hai... Last line bahoot touching hai... yah niche likhi lines bahoot he kamal ki likhi hai apne!! bahoot khoob!

Gunahgaar hu mai ye maloom hai hume,
Pyar tera sacha tha ye guma hai hume,

Na to kahne ki na hi mangne ki jarurat thi,
Sab sirf tera tha ye maloom hai tumhe

Jaan lo bas itna ki aaj bhi hai tare,
Gunehgaar hu lakin, sirf cha.te hai tumhe........
Logged
baadal102
Guest
«Reply #35 on: August 09, 2008, 07:10:59 AM »
thanx a lot pooja ji




Baadal
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:51:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer