haal-e-dil

by mehek on August 09, 2008, 09:44:48 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1516 times)
mehek
Guest
khwaahishon ki leher.. kinaare na pohanch saki..
main yeh bhi na kehsaki ki doob gayi meri khwaahishien....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Haal by yasir_sensitive in Shayri-E-Dard
HAAL-E-DIL by mintu_arora2000 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dil ka haal by khilona in Shayri-E-Dard
<.> Haal-E-Dil <.> by yasir_sensitive in Shayri-E-Dard
Dil ka haal........ by chanda in Shayri for Khumar -e- Ishq
mehek
Guest
«Reply #1 on: August 09, 2008, 10:18:55 AM »
mohabbat ki barsaat mein na bheegi kabhi dhadkanein...
na baraste moti kam the na armaan kam the...
thamne lagi hai daastan-e-ulfat parwan se pehle..
na hum ruswa kam the... na woh anjaan kam the..
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #2 on: August 11, 2008, 09:43:40 AM »
mohabbat ki barsaat mein na bheegi kabhi dhadkanein...
na baraste moti kam the na armaan kam the...
thamne lagi hai daastan-e-ulfat parwan se pehle..
na hum ruswa kam the... na woh anjaan kam the..


waah waah bahot khoob Mahek Ji...
bahot hi badhiya hae ye chaar lines aapki..
aise hi yoindia aate raho aur apne Kalaam Post Karte Raho aap..[/b
]
Logged
diya786
Guest
«Reply #3 on: August 11, 2008, 10:33:40 AM »
khwaahishon ki leher.. kinaare na pohanch saki..
main yeh bhi na kehsaki ki doob gayi meri khwaahishien....


BAHUT KHOOB MEHEK JI
ACCHI LINES HAIN

mohabbat ki barsaat mein na bheegi kabhi dhadkanein...
na baraste moti kam the na armaan kam the...
thamne lagi hai daastan-e-ulfat parwan se pehle..
na hum ruswa kam the... na woh anjaan kam the..

AUR YEH KUCH JYADA ACCHI LINES HAIN
KEEP IT UP !!!
Clapping Smiley
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: August 11, 2008, 03:15:48 PM »
Just too lovely mehek...
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: August 11, 2008, 03:56:15 PM »
mohabbat ki barsaat mein na bheegi kabhi dhadkanein...
na baraste moti kam the na armaan kam the...
thamne lagi hai daastan-e-ulfat parwan se pehle..
na hum ruswa kam the... na woh anjaan kam the..


Nice lines Mehek
Logged
mehek
Guest
«Reply #6 on: August 11, 2008, 08:23:13 PM »
thanx evryone
Logged
mehek
Guest
«Reply #7 on: August 11, 2008, 08:26:50 PM »
khoyi anjaan hawaaon mein udhte dhoond rahi hu apne nishan...
kis jahan hai meri zameen, kis jahan hai aasmaan..
woh saawan kya mera azeez tha ya hai pathjhadmere unQareeb..
isi kashmakash mein shayad MEHEK hogi khatm teri dastaan...!!
Logged
mehek
Guest
«Reply #8 on: August 11, 2008, 08:29:18 PM »
humdard hota tha zamana kabhi..
woh zamane ab afsaane lagte hain...
kehte the hum ghairon ko apna kabhi..
aaj apne bhi begaane lagte hain...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #9 on: August 12, 2008, 02:12:10 AM »
Just amazing...


Tujhse dur rehke bus tera intezar kiya,
teri judai ne har pal saanson ko beikhtiyar kiya,
isse badhkar chahat ki inteha kya hogi,
ke is dilne dhadkano se zyada tujhse pyar kiya...
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #10 on: August 12, 2008, 04:59:57 AM »
khoyi anjaan hawaaon mein udhte dhoond rahi hu apne nishan...
kis jahan hai meri zameen, kis jahan hai aasmaan..
woh saawan kya mera azeez tha ya hai pathjhadmere unQareeb..
isi kashmakash mein shayad MEHEK hogi khatm teri dastaan...!!

waah re..Mehek Ji
Kuch Judaa Hi andaaz..bas itna kahoongaa

" Mais trop court de Nice....Mlle Mehek "
Logged
mehek
Guest
«Reply #11 on: August 20, 2008, 08:51:04 PM »
thanx angel nice one.. thank muhammed ji
Logged
mehek
Guest
«Reply #12 on: August 20, 2008, 08:54:04 PM »
Andaz-e-Dushman kya khoob tha ae khuda..
woh marham ke bahane Zakhm nasoor banate gaye..
kamnaseeb, Dastan-e-Ghum unko sunayi Mehek..
har aah pe hamari jo lutf uthate gaye...
Logged
mehek
Guest
«Reply #13 on: August 20, 2008, 08:56:08 PM »
Qalam tak pohanchne se pehle..
Dard aansu bankar behjaate hain...
kirchiyan batoru dil ke,tumhe dard apna bataun...
ya yuhi kehdo bheega hua rumaal rakhdu...
Logged
mehek
Guest
«Reply #14 on: August 20, 2008, 08:59:26 PM »

RuQsat karo yeh janaaza zinda mein main shamil nahi..
tootkar mohabbat karte the faQat..mohabbat mujhe haasil nahi..
mujhe rishton ki duhayi na do ae apna kehne walon...
apnon ki mehfil mein begani main ghairon mein bhi shamil nahi...
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 03:22:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer