Had Se Guzar Gaye...

by angel4u on August 01, 2008, 02:58:50 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1338 times)
angel4u
Guest

Hum Apne Ikhtiyaar Ki Had Se Guzar Gaye,
Chaha Hamein Pyaar Ki Had Se Guzar Gaye,

Likhi Gayi Naseeb Mein Kuch Aisi Hijratein,
Har Ajnabi Dayar Ki Had Se Guzar Gaye,

Jagi Hai Apne Dil Mein Gulabon Ki Aarzu,
Jab Mausam-E-Bahar Ki Had Se Guzar Gaye,

Ab Zakhm Haaye Dil Ka Kahan Tak Shumar Ho,
Ye Zakhm To Shumar Ki Had Se Guzar Gaye,

Teri Nigah-E-Mast Se Hum Itni Pee Gaye,
Itni Ke Har Khumaar Ki Had Se Guzar Gaye,

Ehsaas Mar Chuka Hai Khushi Hai Na Gam Koi,
Jaise Ke Jeet Haar Ki Had Se Guzar Gaye,

Hasrat Se Mauj-E-Gam Bhi Hamein Dekhti Rahi,
Hum Behr-E-Kinaar Ki Had Se Guzar Gaye,

Aati Hai Saaf Saaf Nazar Gam Ki Manzilein,
Ye Qaafle Ghubaar Ki Had Se Guzar Gaye,

Wo Log Roz-E-Qayamat Se Kya Darein,
Jo Tere Intezaar Ki Had Se Guzar Gaye...

NM
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: August 01, 2008, 03:45:16 AM »
Very Nice Sharing Angel... Applause
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #2 on: August 01, 2008, 06:33:20 AM »
Huzena aap Har Baar Bahdiya Se Badhiya Kalaam Sharing Karte Ho.
Ye Kalaam Bhi Khoob Hai..
agar aap bura Na Maane To..To aap NM Ki Jagaah Un Sho'ara Hazarat Ke Naam Likhe To Shayad Aur Badhiya Lage gaa..sirf meri ye raay hai,,maaf karna galat mat samaz na...
Logged
baadal102
Guest
«Reply #3 on: August 01, 2008, 09:24:47 AM »
 Clapping Smiley cool shayring
thanx




Baadal
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: August 01, 2008, 02:25:19 PM »
Very Nice Sharing Angel... Applause

THanks a lot Mahiya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: August 01, 2008, 02:26:32 PM »
Huzena aap Har Baar Bahdiya Se Badhiya Kalaam Sharing Karte Ho.
Ye Kalaam Bhi Khoob Hai..
agar aap bura Na Maane To..To aap NM Ki Jagaah Un Sho'ara Hazarat Ke Naam Likhe To Shayad Aur Badhiya Lage gaa..sirf meri ye raay hai,,maaf karna galat mat samaz na...

Bura lagne ki to koi baat hi nahi hia,
par actually na kuch kuch kalaam mujhe pata nahi hota hia kiska creation hai. haan jahan pata hota hia wahan main likh zaroor deti hoon.

thanks pasand karne ke liye.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: August 01, 2008, 02:28:19 PM »
Thanks a lot baadal.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: August 01, 2008, 02:29:48 PM »
good sharing Angel
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: August 03, 2008, 05:17:49 AM »
Thanks Pooja ji
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #9 on: August 03, 2008, 05:26:37 AM »
Very nice lines nice sharing Angel4u Applause
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: August 03, 2008, 05:55:05 AM »
Thanks honey.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: June 13, 2010, 10:32:51 PM »

Hum Apne Ikhtiyaar Ki Had Se Guzar Gaye,
Chaha Hamein Pyaar Ki Had Se Guzar Gaye,

Likhi Gayi Naseeb Mein Kuch Aisi Hijratein,
Har Ajnabi Dayar Ki Had Se Guzar Gaye,

Jagi Hai Apne Dil Mein Gulabon Ki Aarzu,
Jab Mausam-E-Bahar Ki Had Se Guzar Gaye,

Ab Zakhm Haaye Dil Ka Kahan Tak Shumar Ho,
Ye Zakhm To Shumar Ki Had Se Guzar Gaye,

Teri Nigah-E-Mast Se Hum Itni Pee Gaye,
Itni Ke Har Khumaar Ki Had Se Guzar Gaye,

Ehsaas Mar Chuka Hai Khushi Hai Na Gam Koi,
Jaise Ke Jeet Haar Ki Had Se Guzar Gaye,

Hasrat Se Mauj-E-Gam Bhi Hamein Dekhti Rahi,
Hum Behr-E-Kinaar Ki Had Se Guzar Gaye,

Aati Hai Saaf Saaf Nazar Gam Ki Manzilein,
Ye Qaafle Ghubaar Ki Had Se Guzar Gaye,

Wo Log Roz-E-Qayamat Se Kya Darein,
Jo Tere Intezaar Ki Had Se Guzar Gaye...

NM

Very nice sharing Angel Ji
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 03:43:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer