Hadsa

by Pooja on June 24, 2006, 06:32:54 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1473 times)
Pooja
Guest
Wo bare araam se munh dhak ke sota raha
jaane kaya baat thi, mera jaagrata hota raha

ek sadma hi bahoot tha, dil dukhane ke liye
kis liye sadme pe sadma mere sung hota raha

phool chun chun kar unhe main, umar bhar deti rahi
bojh kanto ka mai laker, umarbhar dhoti rahi

waqat ko main bewafa kayun kar kahu, kaise kahu
hona hi tha, hota hi hai, so hota raha

Anhoni nahi sada honi hi hoti hai
masal kar phoolo ko, koi kante bota raha

apne chaha tha humko, chah kar bhi mil na paaye
sabar bhi hota raha aor dard bhi hota raha

jaan hokar apne hi meri jaan li
dastaan-e-Ishaq mai yah hadsa hota raha
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~*~ yeh hadsa bhi hone ko hai ~*~~ by Naya_Daur in Shayri-E-Dard
Hadsa by Rakeshanub in Shairi - E - Zindagi
Haseen Hadsa by khush6095 in Share:Punjabi Poetry of Ishq
nikki
Guest
«Reply #1 on: June 24, 2006, 07:20:34 PM »
beautifull poem Pooja sis.....very touching....
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #2 on: June 24, 2006, 07:33:15 PM »
Quote from: "Pooja"
Wo bare araam se munh dhak ke sota raha
jaane kaya baat thi, mera jaagrata hota raha

ek sadma hi bahoot tha, dil dukhane ke liye
kis liye sadme pe sadma mere sung hota raha

phool chun chun kar unhe main, umar bhar deti rahi
bojh kanto ka mai laker, umarbhar dhoti rahi

waqat ko main bewafa kayun kar kahu, kaise kahu
hona hi tha, hota hi hai, so hota raha

Anhoni nahi sada honi hi hoti hai
masal kar phoolo ko, koi kante bota raha

apne chaha tha humko, chah kar bhi mil na paaye
sabar bhi hota raha aor dard bhi hota raha

jaan hokar apne hi meri jaan li
dastaan-e-Ishaq mai yah hadsa hota raha


Wah ji Wah...ise kehte hai Dard ko Lafzon me utarna.....Superb Pooja ji.....

Tu Roti rahi aur mein teri Julfein sehlata raha......
Aati rahi tu Nazdeek mere or mein Khud se door jata raha......

Khud se kya Sawaal main toh Mahobbat ki Kashmakash me tujhe Chahata raha......
Socha dunga tujhe kuch Jawaab par main khud he apne ko Uljhata raha.....

Kya Sabak milta hume jab Gunha hamara Behetreen hua karta tha.....
JO hai Dil ka Dushman kya kahein ki wahi kabhi hamara DilNasheen hua karta tha.....!!!!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: June 24, 2006, 07:51:33 PM »
shukaria nikki and BS JI!!! BAHOOT HI ACHA JAWAB LIKHA HAI APNE.......

Tanha tanha rahte hai hum, tanha tanha jeete hai
kasam khuda ki kaya kahne hai, ghunt lahu ke pite hai
besabri, bechaini tadpan, sab ki sab door ho gai
bare sakoon se bare chain se, apna kafan seete hai
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #4 on: June 24, 2006, 08:00:20 PM »
Quote from: "Pooja"
shukaria nikki and BS JI!!! BAHOOT HI ACHA JAWAB LIKHA HAI APNE.......

Tanha tanha rahte hai hum, tanha tanha jeete hai
kasam khuda ki kaya kahne hai, ghunt lahu ke pite hai
besabri, bechaini tadpan, sab ki sab door ho gai
bare sakoon se bare chain se, apna kafan seete hai


Shukriya Pooja ji....aapne bhi koi kami nahi chori.... Usual Smile

Kafan nahi ek Safed Chadar ki tum Khawahish rakhti ho......
Manzilon ki aur nahi Maut ka rasta tum bunti ho......

Na kuch pana yahan na kuch khone ka darr.......
Toh phir kyu tum iss Kadar bechain see rehti ho...........!!!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: June 24, 2006, 08:43:57 PM »
Chahat ke bazar bahoot hai, phir bhi chahat mahagi kayun hai
Wafa bhatkati gali gali, wafadari phir mahgi kayun hai
payaar muhobaat kitna sasta, magar nibhana kitna mahnga
raah nikalti her gali se, phir rahat itani mahngi kayun hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: August 23, 2007, 09:18:59 PM »
Wo barde araam se ghar se nikal gaye
Nahi raha koi rishta, yah bhi kah gaye

Bhatkte rahe khayal, saal-o-saal ke sath main
Kis tarah se wo itne bedardi ho gaye

Ek ek baat yaad aai, kaha kaha wo dhoke de gaye
Saalo ke dukh-sukh, khud main bunte rah gaye

Hadsa hoga kabhi yah bhi mere sath is tarah se
Siskati tanhaio main yahi sochte ab to hum rah gaye!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: August 24, 2007, 04:34:35 PM »
Hai tujhse ajj bhi beintihan pyar
Han mana, yah teri ajj bhi jeet hai

Rah nahi sakte magar Sath Sath
Ab yahi humara naseeb hai

Juda mujhse na tu khush, na main khush
Kaya kahu, kiska yah kasoor hai

Tune kiya umarbhar, jo tujhko laga thik
Na jaane kis taqat per, tu itna magroor hai

Chah kar bhi, ajj na kah paau tujhko dil ki baat
Jakhami dil mera, ajj, bahoot majboor hai

Hai tujhse ajj bhi beintihan pyar
Han mana, yah teri ajj bhi jeet hai

Rah nahi sakte magar Sath Sath
Ab yahi humara naseeb hai!!!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: August 24, 2007, 05:36:49 PM »
Ek ek lafz khoobsurat pooja di.
Nice reply gaurav Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: August 27, 2007, 02:03:05 AM »
Thanks Angle!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: August 27, 2007, 05:19:51 PM »
Very nice work Pooja....nice ones from Gaurav !!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: August 27, 2007, 05:39:01 PM »
Thanks Talat!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: February 06, 2009, 11:00:47 PM »


Shukriya Pooja ji....aapne bhi koi kami nahi chori.... Usual Smile

Kafan nahi ek Safed Chadar ki tum Khawahish rakhti ho......
Manzilon ki aur nahi Maut ka rasta tum bunti ho......

Na kuch pana yahan na kuch khone ka darr.......
Toh phir kyu tum iss Kadar bechain see rehti ho...........!!!!!!!

na koi bechaini na he kafan ki umeed ab
zindagi khud main hai ek kafan, li hai yahi seekh ab
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:42:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer