Hai koi jawab...

by brokenbyluv on April 03, 2010, 07:17:47 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3584 times)
brokenbyluv
Guest

Iss duniya mein insaan kyun hai,
agar insaan hai tou dil kyun hai,
dil hai tou pyar kyun hai,
pyar hai tou dil uske naam pe dhadkta kyun hai..

kyun pyar naa milne per dil tutta hai,
kyun naa chahte hue bhi ek benaam se dard hona lagta hai,
kyun zindgi ek pal mein simat k reh jati hai,
kyun insaan diwana ho jata hai,
kyun usi ek ki yad aati hai,
kyun uske khuab aate hai aur khuabo mein uski yade aati hai,
kyun uske naam se ek teer sa chhubhta hai,
kyun har pal use paane ki iicha rehti hai,
kyun use bina paaye bhi khone ka darr lagta hai,
kyun har rasta uski taraf mudta hai,
kyun dil aur dimag k beech jung chalti rehti hai,
kyun dil kehta hai ki daud k uske paas jau aur use bata du ki kitna chahti hu main tujhe,
kyun uski yad se ankhe samunder ban jati hai,
kyun kabhi kabhi dil sochta hai per dimag nhi dhadkta,
kya yahi dastoor hai zindgi ka tou ye dastur bhi kyun hai..
jo naa tou chain se jine deta hai naa marne...
in sab sawalo k jawab kisi k paas nhi hai..
akhir main puchti hu ki kyun nhi hai?....?
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jawab by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
jawab do na by saahill in Shayri for Dard -e- Judai
Jawab by SAMIR SHARMA in Shairy-E-Watan
JAWAB by saahill in Shairi - E - Zindagi
!!!..Jawab ???..!!! by nashwani in Shayri-E-Dard
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: April 03, 2010, 08:05:18 PM »
Wow Geet ji,bahut khoob.par mere paas is kyun ka jawaab nahi hai.great and fantastic creation.excellent Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: April 03, 2010, 08:07:26 PM »
Bahut khoobsurat kavita likhi hai aapne Geet ji... bahut pyaari kavita hai... pyaar k meethe dard ko aapne bakhoobi shabdon me utaara hai... sach me... aise itne saare sawal hai jinka koi jawab hi nahi hota .. bas sawal se hi shuru aur sawal pe hi khatam ho jaata hai... bahut khoob likha hai... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

is jahaan me hamare hone ki koi wajah nahi hoti,
dil to hai par uske dhadakne ki koi wajah nahi hoti,
kyun chhod jaate hai log iski koi wajah nahi hoti,
sach kahun to dil k tutne ki koi wajah nahi hoti,

yaad karte hain kisiko par bewajah hi hai wo hoti,
pyaar hota hai kisi se par bewajah hi hai wo hota,
aasun kabhi jo behte hain to bewajah hi hai wo hoti,
dard hota hai jo dil me bewajah hi hai wo hota,

samundar me paani hai khoob fir bhi jaane tum q ho roti,
aansu tumhaare pi main leta agar tum mere paas hoti,
seene se laga leta main tumko agar tum mere paas hoti,
pyaar ko paake mere tum aaj yun aise na roti....
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: April 03, 2010, 08:11:56 PM »
Wah Kapil ji,aapne bhi bahut baddiya likha. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: April 03, 2010, 08:27:03 PM »
Bahut bahut shukriyaa Madhu ji... bahut bahut shukriya...!!! Thankyou !

Wah Kapil ji,aapne bhi bahut baddiya likha. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #5 on: April 03, 2010, 08:30:54 PM »
Wow Geet ji,bahut khoob.par mere paas is kyun ka jawaab nahi hai.great and fantastic creation.excellent Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft

thnx alot madhu ji...koi baat nhi ji iska jawab nhi hai tou...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #6 on: April 03, 2010, 08:32:14 PM »
Bahut khoobsurat kavita likhi hai aapne Geet ji... bahut pyaari kavita hai... pyaar k meethe dard ko aapne bakhoobi shabdon me utaara hai... sach me... aise itne saare sawal hai jinka koi jawab hi nahi hota .. bas sawal se hi shuru aur sawal pe hi khatam ho jaata hai... bahut khoob likha hai... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

is jahaan me hamare hone ki koi wajah nahi hoti,
dil to hai par uske dhadakne ki koi wajah nahi hoti,
kyun chhod jaate hai log iski koi wajah nahi hoti,
sach kahun to dil k tutne ki koi wajah nahi hoti,

yaad karte hain kisiko par bewajah hi hai wo hoti,
pyaar karte hain kisi ko par bewajah hi hai wo hoti,
aasun kabhi jo behte hain to bewajah hi hai wo hoti,
dard hoti hai jo dil me bewajah hi hai wo hoti,

samundar me paani hai khoob fir bhi jaane tum q ho roti,
aansu tumhaare pi main leta agar tum mere paas hoti,
seene se laga leta main tumko agar tum mere paas hoti,
pyaar ko paake mere tum aaj yun aise na roti....


Tahe dil se shukriya kapil ji..bahut hi badhiya jawab diya hai apne..jald hi iska reply karungi maaf kijiyega abhi lafzz sath nhi de rahe...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: April 03, 2010, 08:45:38 PM »
Bahut bahut shukriya Geet ji. Bahut achcha laga jaanke ki aapko hamara jawab pasand aaya. Intezaar rahega humein aapke jawab ka.

Tahe dil se shukriya kapil ji..bahut hi badhiya jawab diya hai apne..jald hi iska reply karungi maaf kijiyega abhi lafzz sath nhi de rahe...
Logged
neelgold
Guest
«Reply #8 on: April 03, 2010, 08:56:02 PM »
Aree Wah So many qus ...... QUs se star & Qus pe hi ktam ..
BHut Hi kmal!!!!!!

Kya bAat hai ......

Iss duniya mein insaan kyun hai,
agar insaan hai tou dil kyun hai,
dil hai tou pyar kyun hai,
pyar hai tou dil uske naam pe dhadkta kyun hai..

kyun pyar naa milne per dil tutta hai,
kyun naa chahte hue bhi ek benaam se dard hona lagta hai,
kyun zindgi ek pal mein simat k reh jati hai,
kyun insaan diwana ho jata hai,
kyun usi ek ki yad aati hai,
kyun uske khuab aate hai aur khuabo mein uski yade aati hai,
kyun uske naam se ek teer sa chhubhta hai,
kyun har pal use paane ki iicha rehti hai,
kyun use bina paaye bhi khone ka darr lagta hai,
kyun har rasta uski taraf mudta hai,
kyun dil aur dimag k beech jung chalti rehti hai,
kyun dil kehta hai ki daud k uske paas jau aur use bata du ki kitna chahti hu main tujhe,
kyun uski yad se ankhe samunder ban jati hai,
kyun kabhi kabhi dil sochta hai per dimag nhi dhadkta,
kya yahi dastoor hai zindgi ka tou ye dastur bhi kyun hai..
jo naa tou chain se jine deta hai naa marne...
in sab sawalo k jawab kisi k paas nhi hai..
akhir main puchti hu ki kyun nhi hai?....?

Logged
neelgold
Guest
«Reply #9 on: April 03, 2010, 09:00:46 PM »
WoW Kapil ji Jitne nyc qus the utne hi bkhoobi se aapne reply diye

Wat i can say
NO words!!!!!!!!!!

My Salute to Geet ji & Kapil ji  Clapping Smiley Applause icon_salut
Bahut khoobsurat kavita likhi hai aapne Geet ji... bahut pyaari kavita hai... pyaar k meethe dard ko aapne bakhoobi shabdon me utaara hai... sach me... aise itne saare sawal hai jinka koi jawab hi nahi hota .. bas sawal se hi shuru aur sawal pe hi khatam ho jaata hai... bahut khoob likha hai... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

is jahaan me hamare hone ki koi wajah nahi hoti,
dil to hai par uske dhadakne ki koi wajah nahi hoti,
kyun chhod jaate hai log iski koi wajah nahi hoti,
sach kahun to dil k tutne ki koi wajah nahi hoti,

yaad karte hain kisiko par bewajah hi hai wo hoti,
pyaar karte hain kisi ko par bewajah hi hai wo hoti,
aasun kabhi jo behte hain to bewajah hi hai wo hoti,
dard hoti hai jo dil me bewajah hi hai wo hoti,

samundar me paani hai khoob fir bhi jaane tum q ho roti,
aansu tumhaare pi main leta agar tum mere paas hoti,
seene se laga leta main tumko agar tum mere paas hoti,
pyaar ko paake mere tum aaj yun aise na roti....

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: April 03, 2010, 09:19:02 PM »
Are koi baat nahi Shihab ji. Hume aapki baat ka bilkul bhi bura nahi laga. Hum sabki apni apni soch hoti hai. Agar hum sab ek jaisa hi sochne lag jaayen to humme fark hi kya reh jaayega. Zara sochiye agar is jahaan me har koi ek jaisa sochega to duniya wahin ki wahin reh jaayegi. Aap alag sochte hain hum alag sochte hain. Hum dono ki soch me fark hai tabhi to kuch humse aapko aur kuch aapse humko sikhne ko milega. Warna saara mazaa hi khatam ho jayega ....q sach hai na ?

Maaf kijiyega Shihab ji agar aapko hamari baat pasand na aayi ho to...


Aur Maaf Kijiyega Klaskar Sahab
Main Aapse Bilkul Sehmat Nahi Hun
Jahan Tak Meri Samajh Hai.To
Har  Baat Ki Koi Na Koi Wajah Jarur Hoti Hai...

Khair Soch Apni Apni
Mujhe To Galat Laga Keh Diya.


Khush Rahiye...


~Shihab~

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: April 03, 2010, 09:20:13 PM »
Thanx a lot Neel ji... bahut bahut shukriya aapka ... !!!

WoW Kapil ji Jitne nyc qus the utne hi bkhoobi se aapne reply diye

Wat i can say
NO words!!!!!!!!!!

My Salute to Geet ji & Kapil ji  Clapping Smiley Applause icon_salut

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: April 03, 2010, 09:49:29 PM »
Koi baat nahi Shihab ji agar meri ye baat aapko pasand nahi aayi ya aap humse sehmat nahi hai to.. mere hazaar baaton me koi ek baat aapko kabhi na kabhi jarur achchi lagegi ... mujhe yakeen hai.... Usual Smile

Achhcha Laga Aapka Yun Rep Dekhkar
Aur Aapne Bilkul Sahi Farmaya Ki
Insasn,Insan Se Hi Sikhta Hai.
Aur Kyun Na Ho Aakhir Asli Aaina
Insan Hi To Insan Ka Hai...Khair
Par Main Ab Bhi Aapki Us Baat Sehmat Nahi Hun Ok.
Khair

Khush Rahiye...

~Shihab~

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: April 04, 2010, 12:27:13 PM »

Iss duniya mein insaan kyun hai,
agar insaan hai tou dil kyun hai,
dil hai tou pyar kyun hai,
pyar hai tou dil uske naam pe dhadkta kyun hai..

kyun pyar naa milne per dil tutta hai,
kyun naa chahte hue bhi ek benaam se dard hona lagta hai,
kyun zindgi ek pal mein simat k reh jati hai,
kyun insaan diwana ho jata hai,
kyun usi ek ki yad aati hai,
kyun uske khuab aate hai aur khuabo mein uski yade aati hai,
kyun uske naam se ek teer sa chhubhta hai,
kyun har pal use paane ki iicha rehti hai,
kyun use bina paaye bhi khone ka darr lagta hai,
kyun har rasta uski taraf mudta hai,
kyun dil aur dimag k beech jung chalti rehti hai,
kyun dil kehta hai ki daud k uske paas jau aur use bata du ki kitna chahti hu main tujhe,
kyun uski yad se ankhe samunder ban jati hai,
kyun kabhi kabhi dil sochta hai per dimag nhi dhadkta,
kya yahi dastoor hai zindgi ka tou ye dastur bhi kyun hai..
jo naa tou chain se jine deta hai naa marne...
in sab sawalo k jawab kisi k paas nhi hai..
akhir main puchti hu ki kyun nhi hai?....?


Bahut Bahut Khoob Geetji..

Aapne Jo Sawaal Kiye Hai,yeh Bhi Zindagi Ka Ek Eham Pehlu Hai..Insaan Ko Jab Kisi Cheez ya Kisi Shaks Ko Paane Ki Bahut Hasrat Rakhta Hai Aur Woh usse Paa Nahi Paata To Dil Ki Shikayeten Hi Sawaal Ban Ke Reh Jaate Hai..Aapne Iss Rachna mein insaan Ke Kuch Naa Paane Ke dard Ko bakhoobi Darshaya Hai..

Bahut Ache.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Iss Rachna Ke Jawaab Mein Ek geet Ke Kuch Bol Se Yaad Aa Gaye..

Thokar Tu Jab Tak Naa Khayega
Paas Kisi Gham Ko Tu Jab Tak Naa Bhulayega
Zindagi Hai Cheez Kya Nahi Jaan Paayega
Rota Hua Aaya Hai, Rota Hua Jaayega.....

Aur Bahut Khooob Kapil ji.. Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: April 04, 2010, 06:53:40 PM »
Bahut bahut shukriya Khwaish ji... aur aapne bhi bahut khoob likha hai...!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:02:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer