sahra ko aapne apni soch se derive kiya as a dryness, non-effective shayad.phir bhi huzoor ye line mujhey clear nahin hui. aap behter hoga mazeed explain kar lein.
dear janumanu ji, sehra mein sirf dryness nahin hota . per jab ek sandstorm chalta hai to poorey environment mein tabdili aati hai. islye main apni samajh se agar aapke iss misrey ko consider karoo.n to .....uske roney ka asr aisa hua aap pe jaise registaan yani sehra mein ek toofaan aa gaya . isliye meri nazar mein ye kuch jamaa nahin. maaf karein mujhey ghazal , nazm vaghairah likhna to nahin aataa aap jaise logo.n ki tarah per haan jahaan doubt ho zaroor poochta hoon. meri baat ka buraa mat maaniye . bhayee jab koe sher kahtaa hai to.... apne khyal pe kahtaa hai... na ki doosre k khyaal se
ab aap kahe ki sahraa main sirf dryness ni hota aur bhi kuch hota hai.... to ye to ajeeb baat huee.......... ab maine sher mai kya kahna hai ye to mai taye karungaa aur sher ka mafhoom kya hai....
ab ye bhi baat clear karUn ... to shayri ya mujhe nahi karni chaiye yaa apko nahi
sher ka maanhi sher se nikalaa jata hai. na ki usme apnaa khyaal thop diyaa jata hai .........
\sher yun hai ki
rone lagi kuch aise jyuN daryaa mai ho ufaan .
yaha mai daryaa ke ufaan ki bata kar raha hun....
chupchaap dekhtaa raha sahra hua sa main
aur yaha ye ki mai use ek mare hue sookhe hue registaan sa dekhtaa raha ........
ab aap isme apne hi khayal dal de to ye to jydadti hai..shayar ke sath hai ki nahi...
buraa manne ki baat nahi hai... mujeh pata hai kiski bata ka kitna asar lena hai...