tanhachand
Guest
|
HAPPY NEW YEAR!!!
naya varsh naya din naya tamnnna jivan ki chalo mil baith _tay karein khusiyaan apne aangan ki ................
sabko mubaarak ho naya din nayi kiran jivan ki chlo mil baith _ji lein josh- madhosh bahre pal jeevan ki...........
sabke pure ho sapne _uchaaiyana mile jivan ki chlo mil baith _baant lein sukh dukh apne kismat ki ....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
tanhachand
Guest
|
|
«Reply #1 on: December 31, 2005, 09:07:35 AM » |
|
aaj ki raat fir mehfil sajegi khushiyan hin khushiyaan charon or hogi
tum apne pyaar ke saath rahoge main apne yaadon ke saath rahoongi
suno tum khush dikhte ho toh khush hin rehna khushi ke ander se mujhko na taakna
main thiik hoon tum bhi khush rehna mere inn behte aasoono pe na jaana
ye toh bahaana hai jeene ka apne thamte paloon main halchal laane ka.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tanhachand
Guest
|
|
«Reply #2 on: January 01, 2006, 06:37:59 PM » |
|
lo gaya saal or aa gaya naya saal hum bas karte rahe aapka intezar javaani gayi budhaapa aaya par aapke aane ka _na kooi aas aaya
ek ek karke sabhi dukh aaya ek ek karke sabhi sukh gaya ek jeevan hin hai jo jati nahi or ek aapke aane ka _na kooi sandes aaya
ek aap ho ki ja kar nahi aaye ek aapki yaad hai jo aakar nahi gayi ek mout hai jo abb tak gale nna laga paayi or ek dil hai jo aapko bhoolane ka_ na kooi prayas kar paaya .....................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tanhachand
Guest
|
|
«Reply #3 on: January 01, 2006, 06:57:42 PM » |
|
kitna aasaan hai ye keh dena jo na ho paaya tera usse bhool jaana
kya rakha hai usmain jo hai ek tuta sapna usko bhola kar tum sada khush rehna
bada aasaan hai kisi ko kehna bada mushkil hai ussi gum ko sehna
jab pyar hoga kisi se tab ye batana dard milega dil tutega fir ye shikhana
kutch or nahi bas ek jhlak ko tarasna jab pyaar hoga tab ye samjhaana
dard kya hai mera mehsoos karna apno se milkar or fir unka bichdna
yaado main rehna raaton ko jaagna har waqt kisi ke intezar main rona.
yaad karna apna puraana jamaana mera bilkhna _ aapka khilkhilaana ...............
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tanhachand
Guest
|
|
«Reply #4 on: January 02, 2006, 05:52:40 AM » |
|
khushiyouno ke ghar main kismat ka pehra hai pyar ke dwaar pe duniyaa ka dera hai zindagi par bhi mout ka saaya hai inn sab ke rehte bhi _ apne pyaar ko bachaye rakhkha hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tanhachand
Guest
|
|
«Reply #5 on: January 02, 2006, 09:40:54 AM » |
|
ye jo khaali haath hai haath pasaare dikhta hai
tumko hasi aati hai ki dekho gidgidaaya karti hai
haantho ko jod khadi jo rehti hoon kutch maangti huye jo dikhti hoon
ye khali haath mere khuda ko naman karta hai khuda se teri hin khushi ki chaah rakhta hai..................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tanhachand
Guest
|
|
«Reply #6 on: January 04, 2006, 02:39:20 PM » |
|
itna pathar dil kooi aise _kaise ho sakta hai kisi ke dard pe kooi aise _kaise has sakta hai uske dard ka andaaza laga sakti hoon main wo itna pathar aise _kaise hua shayad samjh sakti hoon main
.............fir bhi insaan ko insaaniyat rakhni chaahiye ...........kisi ke dard pe namak nahi chidkana chaahiye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tanhachand
Guest
|
|
«Reply #7 on: January 05, 2006, 05:37:31 AM » |
|
hai jawaani ka josh ..........itna bhi na goomaann karo hai kismat ka josh .........itna bhi na beparwaah raho samay badalte der nahi lagti ..........itna bhi na nastik bano ..................../na patthar dil bano.............
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #8 on: January 05, 2006, 05:44:26 AM » |
|
excellent work Tanha Chand.......... bahot khoob ...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Princess21
Guest
|
|
«Reply #9 on: January 05, 2006, 05:48:09 AM » |
|
Kool!!!!! Very NICe!!!!!!!!!!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tanhachand
Guest
|
|
«Reply #10 on: January 05, 2006, 06:33:18 AM » |
|
excellent work Tanha Chand.......... bahot khoob ... thanks ...............bye and tc
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tanhachand
Guest
|
|
«Reply #11 on: January 05, 2006, 06:34:08 AM » |
|
Kool!!!!! Very NICe!!!!!!!!!!!! thanks bye and tc ....................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tanhachand
Guest
|
|
«Reply #12 on: April 11, 2006, 05:38:18 PM » |
|
thanks ..................aap sabhi ko .............
................................................. .............tanhachand
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|