- Haq Jatana Achi Baat Nahin -

by Meena is back on March 23, 2006, 07:10:55 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 7760 times)
Meena is back
Guest
kuch din pehle mai apni ek saheli se baat kar rahi ti expectations ke bare...ke hum chahe family ho, friends ho, partner ho...humesha kuch expectaions rakhte hai aur apna haq jatane ki bhi kabhi kabhi galti kar lete ha...so issi ehesas pe meri yeh poem hai:

Udne de panchi ko, sans lene de usko kuli hawa me,
Khaid rakh kar usko maarna, yeh achi baat nahin !

Gutne na  lage woh tere bandan me yaha,
Kisi pe apna itna haq jatana achi baat nahin!

Sirf tu hi nahin „Meena“, aur bhi rishte hote hai,
Kisi ko apne daman se yuh bandna achi baat nahin !

Tanhai me tu to jeeti ayi hai, tanhai ki tujhe adat hai,
Tanhai ki kisi aur ko adat dhalwana achi baat nahin!

Tofa-e-phool tujhe mila hai to shukar mana Khuda ka,
Tamana-e-chaman rakhna, yeh achi baat nahin!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aaj kal, woh humse, Baat nahin karte hain by KaMaL in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
yeh baat samjh mai aye nahin by ~*heartbreaker*~ in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Mai Kerte Hoon Dil Ki Baat, Jab Koi Nahin Hota.............. by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
............KOI BAAT NAHIN by Raj_tanha in Shayri-E-Dard
Koi baat nahin by popat in Shayeri for Dard -e- Bewafai
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: March 23, 2006, 07:27:21 PM »
bahot  khoob meenu.........   very  nice..........
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #2 on: March 23, 2006, 07:31:35 PM »
thank u waheed bhai!!!

 :D
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: March 23, 2006, 07:43:22 PM »
too gud sis.....
Logged
nikki
Guest
«Reply #4 on: March 23, 2006, 07:47:14 PM »
bilkul sahi kaha sis...

haq jatane ki galti nadaan log kiya karte hain
samjhdar log aisa nahi karte
kyunki faisla to uss khuda ke haath mein hai
insaan faisla nahi karte
kismat mein likha hai jo...
woh mil kar rahega...koi lakh zor lagale,kya bigaad lega
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: March 23, 2006, 07:56:38 PM »
Very Nice Meena....& Nice Reply Nikki.....
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #6 on: March 24, 2006, 03:36:49 PM »
Quote from: "nikki"
bilkul sahi kaha sis...

haq jatane ki galti nadaan log kiya karte hain
samjhdar log aisa nahi karte
kyunki faisla to uss khuda ke haath mein hai
insaan faisla nahi karte
kismat mein likha hai jo...
woh mil kar rahega...koi lakh zor lagale,kya bigaad lega


thank u nikki and gud one as well!!!

kismat me gar likhi hai judai tumse,
to ansoon baha kar bhi hum tume pa nahin sakhenge,
par likhi hai agar milan ki lekha haton me,
to koi aur tume humare siwa apna nahin sakhenge!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #7 on: March 24, 2006, 03:37:18 PM »
Quote from: "Aryaan"
Very Nice Meena....& Nice Reply Nikki.....


thank u aryaan ji...apne nahin likha kuch?
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: March 24, 2006, 03:41:42 PM »
Bahoot khoob Meena, bilkul sahi kaha, jise chaho use khule asmaan mai chor do, tumhara hai to khud wapis ayega, aor agar nahi to acha hai pahle hi jaane diya, magar kaya yah karna asaaan hai???

bade bujurgo ki hai baaty, sunane mai achi lagati hai
jab kisi per dil aa jaaye, tab kaha inki chalati hai
koi dekhein bhi usse to garv mujko hai ho atta
jo dekh le wo kisi ko, to jaan yah meri nikalati hai!!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #9 on: March 24, 2006, 04:18:28 PM »
well said didi!! aur bilkul sahi kaha apne ke kehna asan hi hota hai aur karna uthna hi mushkil. lekin jitna zada in purnai baato pe insaan amal kare utna hi acha hota hai!!


dekhte hai woh kisi aur ko,
to dil mera jalta hai zaoor,
par agar kush hai woh aise hi,
to unki kushi me hume jalna bhi hai manzoor!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: March 24, 2006, 04:21:33 PM »
wah kay abaat kahin....

jala kar khud ko, unhe jo araam diya
issi zazbe ne, muje karaar diya
tham kar hath uska, dhayan hilla diya
issi tarah se humne, apne dil ko bahla liya!!!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #11 on: March 24, 2006, 04:29:09 PM »
wah wah didi!!!

auron ki kushiyon me jeene wale hai hum,
muskura kar har zeher peene wale hai hum,
ek shikayat bhi na hogi mere labon me kabhi,
khud apne arma dafna kar, apne hontho ko seene wale hai hum!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: March 24, 2006, 05:13:44 PM »
Ho agar wo bewafa to dard mai pi lu
jab hai sath uska, kayun dukh ko mai jiyu
bata kar her dil ki baat, usko suna deti hu
jo dekha kisi ki aor, jal kar main rakh hoti hu!!

Muskura kar jab wo yah mujse kahta hai
wo chahe ho sari duniya ke dil mai,
uske dil sirf mera hi janoon rahta hai
chup ho jaati hu mai, sirf muskura ke
phir wo dekhein jab kisi ko
hum bhi wahin baat phir se doshra de....

it is a loop, you will never be out of this...sad5
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #13 on: March 25, 2006, 03:56:17 PM »
well said didi!!! and its true!!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #14 on: April 03, 2006, 03:28:48 PM »
Quote from: "Meena is back"
kuch din pehle mai apni ek saheli se baat kar rahi ti expectations ke bare...ke hum chahe family ho, friends ho, partner ho...humesha kuch expectaions rakhte hai aur apna haq jatane ki bhi kabhi kabhi galti kar lete ha...so issi ehesas pe meri yeh poem hai:

Udne de panchi ko, sans lene de usko kuli hawa me,
Khaid rakh kar usko maarna, yeh achi baat nahin !

Gutne na  lage woh tere bandan me yaha,
Kisi pe apna itna haq jatana achi baat nahin!

Sirf tu hi nahin „Meena“, aur bhi rishte hote hai,
Kisi ko apne daman se yuh bandna achi baat nahin !

Tanhai me tu to jeeti ayi hai, tanhai ki tujhe adat hai,
Tanhai ki kisi aur ko adat dhalwana achi baat nahin!

Tofa-e-phool tujhe mila hai to shukar mana Khuda ka,
Tamana-e-chaman rakhna, yeh achi baat nahin!!



Meena Ji ...  Agar apno pe hi na haq jataya to kis pe jtaoge ?

Koi To ho jo dekhe humhe aur dekhe bhi itne pyar se,
Surakh ho jaye dil mein mere uski ankhon ke vaar se"

Zahen mein apke kabhi khayal hamara aa jaye
ek lamha hi sahi par ek barr to aisa ho jaye
gairon ki bheed se yeh naam apno mein judd jaye
e khuda aisa hi koi itefaq hamare saath bhi ho jaye

dil ki tanhaiyoon mein naam tumhara gunjta hai,
kash aise hi naam hamara apki tanhaiyoon mein gonj jaye,
kya pata kabhi hum mile na mile par ek barr to aisa ho jaye,
ashk bahaye hum yaha aur dard un ko ho jaye !!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:23:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer