har lamhe ke liye ek naya AZAAB rakhte haiN...!!

by ghayal_shayar on November 25, 2012, 10:29:27 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1494 times)
ghayal_shayar
Guest
Bazm ko mera aadaab, mere khayaal se ye ab tak ki meri sabse lambi ghazal hai, bas jo dil me aaya vo likhta chala gaya, agar jyada lambi ho gayi ho ya kuch galtiyaaN hoN to maai ka talabgaar rahuNgaa...




Aag rakhte hain, to kuch log aab* rakhte haiN,
Hum dushman ke liye bhi aadaab rakhte haiN.

*Paani.

Mohabbat me log tohfe ye naayaab rakhte haiN,
Har lamhe ke liye ek naya azaab* rakhte haiN.

*sorrow, curse...

Pehle deewaar bana kar usme baab* rakhte haiN,
Insaan bhi aadateN kuch lajawaab rakhte haiN.

*Darwaza.

Sach se hai door talak jinka koi vaastaa nahiN,
PalkoN pe aise bhi chand khwaab rakhte haiN.

Raah chalte kahin tujhse mulaqaat na ho jaye,
Ye soch har waqt saath ab sharaab rakhte haiN.

Do kilo pyar ke aiwaz me diya tune sau kilo ghum,
Bhale-bure ka hum bhi khoob hisaab rakhte haiN.

Dard, aansu, shikwe, jafaa aur ruswayi mile jisme,
Aisi mohabbat se to hum Iztenaab* rakhte haiN.

*Parhez.

Har cheez ahchi ho jaye to log shaq se dekhte haiN,
So hum bhi ab aadateN kuch kharaab rakhte haiN.

Farq hi nahin bacha ab insaan aur jaanwaroN meN,
Jo bhediye bhi aaj kal insaani naqaab rakhte haiN.

Vo din ladd gaye jab mohabbat me ehsash hote the,
Ab ishq ke naam pe log sawaal-o-jawaab rakhte haiN.

Ishq ke tamaachon se hui aaj haalat meri buri 'Taish',
NahiN to hum bhi yahaaN bahut ruaab* rakhte haiN.

*Influence.


25/11/12
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: November 25, 2012, 10:35:25 AM »
 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 laajawaab peshkash
Logged
Kaushal Sharma
Guest
«Reply #2 on: November 25, 2012, 10:48:54 AM »
No Word For This Cration ...Awesome ...Zabardsat Ghajal Taish Ji ..Meri Taraf Se Rau Kabul Kijiye Hain ...

  Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley :icon_

Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #3 on: November 25, 2012, 10:58:13 AM »
hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 laajawaab peshkash


shukriya saini sir, aapki daad humare sar aaNkhon pe, jaan kar behad khushi hui ki aapko ye chand alfaazon me dhaale ehsash pasand aaye, umeed karta hun ki aage v bas yuNhi aapka saath aur aashirwaad hume miltaa rahegaa...
Logged
Aarish
Guest
«Reply #4 on: November 25, 2012, 11:20:11 AM »
Bazm ko mera aadaab, mere khayaal se ye ab tak ki meri sabse lambi ghazal hai, bas jo dil me aaya vo likhta chala gaya, agar jyada lambi ho gayi ho ya kuch galtiyaaN hoN to maai ka talabgaar rahuNgaa...




Aag rakhte hain, to kuch log aab* rakhte haiN,
Hum dushman ke liye bhi aadaab rakhte haiN.

*Paani.

Mohabbat me log tohfe ye naayaab rakhte haiN,
Har lamhe ke liye ek naya azaab* rakhte haiN.

*sorrow, curse...

Pehle deewaar bana kar usme baab* rakhte haiN,
Insaan bhi aadateN kuch lajawaab rakhte haiN.

*Darwaza.

Sach se hai door talak jinka koi vaastaa nahiN,
PalkoN pe aise bhi chand khwaab rakhte haiN.

Raah chalte kahin tujhse mulaqaat na ho jaye,
Ye soch har waqt saath ab sharaab rakhte haiN.

Do kilo pyar ke aiwaz me diya tune sau kilo ghum,
Bhale-bure ka hum bhi khoob hisaab rakhte haiN.

Dard, aansu, shikwe, jafaa aur ruswayi mile jisme,
Aisi mohabbat se to hum Iztenaab* rakhte haiN.

*Parhez.

Har cheez ahchi ho jaye to log shaq se dekhte haiN,
So hum bhi ab aadateN kuch kharaab rakhte haiN.

Farq hi nahin bacha ab insaan aur jaanwaroN meN,
Jo bhediye bhi aaj kal insaani naqaab rakhte haiN.

Vo din ladd gaye jab mohabbat me ehsash hote the,
Ab ishq ke naam pe log sawaal-o-jawaab rakhte haiN.

Ishq ke tamaachon se hui aaj haalat meri buri 'Taish',
NahiN to hum bhi yahaaN bahut ruaab* rakhte haiN.

*Influence.


25/11/12

Bohut Khoob taish jee kya baat hai , umda ghazal kahi hai, lajwab ashaaar rahe sabhi.daaad qubool karen
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #5 on: November 25, 2012, 12:28:24 PM »
bohut hi gazab ka janaab likhtey hai,
hum bhi achhay shayeron ka hisaab rakhtey hai. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: November 25, 2012, 02:48:41 PM »
BAHUT  KHOOB , TAISH  SAHEB . ACHHI  GHAZAL 
KE  LIYE  BAHUT  BAHUT  DAAAD .
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: November 25, 2012, 03:56:44 PM »
Aag rakhte hain, to kuch log aab* rakhte haiN,
Hum dushman ke liye bhi aadaab rakhte haiN. *Paani.  Applause Applause Applause

Mohabbat me log tohfe ye naayaab rakhte haiN,
Har lamhe ke liye ek naya azaab* rakhte haiN. *sorrow, curse...  Applause Applause Applause

Pehle deewaar bana kar usme baab* rakhte haiN,
Insaan bhi aadateN kuch lajawaab rakhte haiN. *Darwaza.  Applause Applause Applause

Sach se hai door talak jinka koi vaastaa nahiN,
PalkoN pe aise bhi chand khwaab rakhte haiN.  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Raah chalte kahin tujhse mulaqaat na ho jaye,
Ye soch har waqt saath ab sharaab rakhte haiN.  Thumbs UP Thumbs UP kya baat hai

Do kilo pyar ke aiwaz me diya tune sau kilo ghum,
Bhale-bure ka hum bhi khoob hisaab rakhte haiN.  Giggle Giggle Giggle Giggle

Dard, aansu, shikwe, jafaa aur ruswayi mile jisme,
Aisi mohabbat se to hum Iztenaab* rakhte haiN. *Parhez.  Thumbs UP Applause

Har cheez ahchi ho jaye to log shaq se dekhte haiN,
So hum bhi ab aadateN kuch kharaab rakhte haiN.  Applause Applause Usual Smile

Farq hi nahin bacha ab insaan aur jaanwaroN meN,
Jo bhediye bhi aaj kal insaani naqaab rakhte haiN.  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Vo din ladd gaye jab mohabbat me ehsash hote the,
Ab ishq ke naam pe log sawaal-o-jawaab rakhte haiN.  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Ishq ke tamaachon se hui aaj haalat meri buri 'Taish',
NahiN to hum bhi yahaaN bahut ruaab* rakhte haiN.  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Bahut bahut umda Taish jee
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #8 on: November 25, 2012, 06:14:39 PM »
No Word For This Cration ...Awesome ...Zabardsat Ghajal Taish Ji ..Meri Taraf Se Rau Kabul Kijiye Hain ...

  Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley :icon_



kaushal sahab ye jaan kar behad khushi hui ki aapko ye peshkash is kadar pasand aayi, bas yahi daa rahei ki aage v aap yuNhi hausla afzaayi karte raheN. rau ke liye aur tareef ke alfaazon ke liye, bahut bahut shukriyaa...
Logged
suman59
Guest
«Reply #9 on: November 26, 2012, 02:50:07 AM »
Bazm ko mera aadaab, mere khayaal se ye ab tak ki meri sabse lambi ghazal hai, bas jo dil me aaya vo likhta chala gaya, agar jyada lambi ho gayi ho ya kuch galtiyaaN hoN to maai ka talabgaar rahuNgaa...




Aag rakhte hain, to kuch log aab* rakhte haiN,
Hum dushman ke liye bhi aadaab rakhte haiN.

*Paani.

Mohabbat me log tohfe ye naayaab rakhte haiN,
Har lamhe ke liye ek naya azaab* rakhte haiN.


*sorrow, curse...

Pehle deewaar bana kar usme baab* rakhte haiN,
Insaan bhi aadateN kuch lajawaab rakhte haiN.

*Darwaza.

Sach se hai door talak jinka koi vaastaa nahiN,
PalkoN pe aise bhi chand khwaab rakhte haiN.

Raah chalte kahin tujhse mulaqaat na ho jaye,
Ye soch har waqt saath ab sharaab rakhte haiN.


Do kilo pyar ke aiwaz me diya tune sau kilo ghum,
Bhale-bure ka hum bhi khoob hisaab rakhte haiN.

Dard, aansu, shikwe, jafaa aur ruswayi mile jisme,
Aisi mohabbat se to hum Iztenaab* rakhte haiN.

*Parhez.

Har cheez ahchi ho jaye to log shaq se dekhte haiN,
So hum bhi ab aadateN kuch kharaab rakhte haiN.


Farq hi nahin bacha ab insaan aur jaanwaroN meN,
Jo bhediye bhi aaj kal insaani naqaab rakhte haiN.

Vo din ladd gaye jab mohabbat me ehsash hote the,
Ab ishq ke naam pe log sawaal-o-jawaab rakhte haiN.

Ishq ke tamaachon se hui aaj haalat meri buri 'Taish',
NahiN to hum bhi yahaaN bahut ruaab* rakhte haiN.

*Influence.


25/11/12

Waaah har lafz mein dard hai. Bahut bahut badiya. khoob sari daad
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #10 on: November 26, 2012, 04:21:32 AM »
Bohut Khoob taish jee kya baat hai , umda ghazal kahi hai, lajwab ashaaar rahe sabhi.daaad qubool karen
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

aarish ji aapko pasand aayi jaan kar bahut sukoon milta hai dil ko, bas yahi darkhwast rahegi ki yuNhi aap ahusla afzaayi karte raheN, jisse hum v kuch na kuch likhne ki kosish karte raheN... Usual Smile Usual Smile
Logged
aqsh
Guest
«Reply #11 on: November 26, 2012, 04:22:18 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
lajawab peshkash lucky jee
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #12 on: November 26, 2012, 06:34:14 AM »
bohut hi gazab ka janaab likhtey hai,
hum bhi achhay shayeron ka hisaab rakhtey hai. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

hahahaha, shukriya sahal sahab hume shayar keh ke nawaazne ke liye, bas yuNhi hausla afzaayi karte rahen aur hum bhi likhne ki bachkaani kosishen karte rahenge...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #13 on: November 26, 2012, 06:54:59 AM »
BAHUT  KHOOB , TAISH  SAHEB . ACHHI  GHAZAL 
KE  LIYE  BAHUT  BAHUT  DAAAD .

hasan sahab, aapki daad humare sar aaNkhon pe, bas duaa yahi rahegi ki aage v aapka saath aur protsahan hume yuNhi milta rahe... Usual Smile Usual Smile
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #14 on: November 26, 2012, 11:43:07 AM »
Aag rakhte hain, to kuch log aab* rakhte haiN,
Hum dushman ke liye bhi aadaab rakhte haiN. *Paani.  Applause Applause Applause

Mohabbat me log tohfe ye naayaab rakhte haiN,
Har lamhe ke liye ek naya azaab* rakhte haiN. *sorrow, curse...  Applause Applause Applause

Pehle deewaar bana kar usme baab* rakhte haiN,
Insaan bhi aadateN kuch lajawaab rakhte haiN. *Darwaza.  Applause Applause Applause

Sach se hai door talak jinka koi vaastaa nahiN,
PalkoN pe aise bhi chand khwaab rakhte haiN.  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Raah chalte kahin tujhse mulaqaat na ho jaye,
Ye soch har waqt saath ab sharaab rakhte haiN.  Thumbs UP Thumbs UP kya baat hai

Do kilo pyar ke aiwaz me diya tune sau kilo ghum,
Bhale-bure ka hum bhi khoob hisaab rakhte haiN.  Giggle Giggle Giggle Giggle

Dard, aansu, shikwe, jafaa aur ruswayi mile jisme,
Aisi mohabbat se to hum Iztenaab* rakhte haiN. *Parhez.  Thumbs UP Applause

Har cheez ahchi ho jaye to log shaq se dekhte haiN,
So hum bhi ab aadateN kuch kharaab rakhte haiN.  Applause Applause Usual Smile

Farq hi nahin bacha ab insaan aur jaanwaroN meN,
Jo bhediye bhi aaj kal insaani naqaab rakhte haiN.  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Vo din ladd gaye jab mohabbat me ehsash hote the,
Ab ishq ke naam pe log sawaal-o-jawaab rakhte haiN.  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Ishq ke tamaachon se hui aaj haalat meri buri 'Taish',
NahiN to hum bhi yahaaN bahut ruaab* rakhte haiN.  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Bahut bahut umda Taish jee
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Mukesh sahab bahut bahut shukriya itni tareef aur itni taaliyon ke liye, itni taaliyaaN to waise kabhi saamne v nahin baji, kam se kam yahiN sahi, waise aage v aap yunhi saath dete rahiye aur hum aage aur v kosisheN karte raheNge....
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 11:09:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.163 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer