harek gham ki shamma me halchal nahi hoti....

by @kaash on February 18, 2009, 02:03:20 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1479 times)
@kaash
Guest
harek shamma shamma'e'gham nahi hoti
harek gham ki shamma me halchal nahi hoti


hausla nahi charagar se kahne ka
hamari raat ki sahar nahi hoti

ek jhalak pane ke lie jee rahen hain hum
unhe manzoor itni si guzarish nahi hoti


ehsaas'e'gham ki usse ummeed to kar lete
sirf khushiyun me jo uski basar nahi hoti


masroof hokar bhi teri tanhayi jaan leta hun
tune tanhai me hi awaaz di kabhi hoti


aksar sochte hain tu paresha to nahi
insaan ki dard se kabhi judaai nahi hoti


nasihat den to kya maan loge use
ishk me jism ki ahmiyat nahi hoti


kitni rasm mangti hai muhabbaten humse
dosti me kuchh nibhane ki farmayish nahi hoti


kafir'o'but ki apni alag jagah hai
koi ghazal inke bina poori nahi hoti


apne maslahaat se khud ko door rakhte hain
har jagah sabki zarurat nahi hoti



kaise samjhayen apne khyalon ko hum
ashqon ki shaam ki soorat nahi hoti


apni tasveer deke ehsaan dikhate hain vo
kaise kahen justaju ki itne se qasar nahi hoti


hume to maut ke haal pe rona aa gaya
qaza ko bhi zindagi naseeb nahi hoti


kaun kahta hai yahan beshumaar aadmi hai
hume to soorat kisi ki dikhayi nahi deti


ek to furqat ki zindagi uspe sabr'e'imtihaan
tanhai ko bhi tanhai mayassar nahi hoti


apne aap se vafa nibha jaate hum
khud ko ek khushi jo dilayi hoti


hamari justaju ki zuba yun na thamti
ek ummeed to hume bandhai hoti


tanhaiyaan ruswaiyaan ghamgeeniyan
e Khuda koi doosri dunia bhi banai hoti


naseeb'e'gham hi naseeb'e'zindagi hai
baat ye kisi ne to dohrai hoti

hamare nagmo ko jo kagzon me rakhta hai
kaash uske dil me humne jagah banayi hoti

humse sharton pe rishta karte rahe sab
koi shart tumne bhi batayi hoti


kya yaqi dilayen tumhe apni khushi ka
hume apne dard ki hi khabar nahi hoti


ek khali kamre si hai zindagi hamari
bus gumnamiyan se baaten ho rahi hoti


itna ghamgeen nahi jitna samjhte ho tum
kuchh roz se tabiyaat theek nahi rahti


kuchh unke sitam kuchh unke karam
zindagi ki kashti inhi me hai tairti


ek ehsaan unka hum unki zindagi me
hume isi baat se badi gairat hai rahti


falak pe chaand to roz aata hai
kaash isi se mohobaat humne ki rahi hoti


apni yaadon se dunia juda kar chuki hoti "kaash"
jo dil me tere koi shikayat rahi hoti


-"kaash"
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kam nahi hoti by mnajmi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hum Gham Ke Siwa Kuch De Nahi Sakte,.. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~~~NAHI HOTI~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
Larkiyaan Bewafaa Nahi Hoti by Sonu in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 3 4 »
Shamma ki Zuban Hoti Agar by Advo.RavinderaRavi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: February 18, 2009, 02:06:26 PM »
Waah waaha waaha Kya Khoob Akaash Bhai,.
kamaal ka Likha Hai Aapne,.
nice One,.

yaar,.
Abtak Itni Badi Ghazal Nahi Pardi Maine,.

kamaal Ka Likha hai, Aapne,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: February 18, 2009, 02:50:18 PM »
Bohat khoob Aakash... Clapping Smiley

Khatam kar guftugu apni, tu kitna bole hain GHAYEL
Bina kahe sab kehde, kya tujhse woh baat nahi hoti

-SG-
Logged
salma786
Guest
«Reply #3 on: February 18, 2009, 03:35:33 PM »
Very nice Kaash ji Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 07:15:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer