HASEE AA GAYEE......(GHAYEL)

by sajid_ghayel on December 01, 2008, 07:55:11 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
Print
Author  (Read 4524 times)
Shikha12
Guest
«Reply #15 on: December 01, 2008, 12:50:17 PM »
Itna roye ke apne haal pe hasee aa gayee
Duniya ne samjha deewana aur unki samajh pe hasi aa gayee

Tukde apne dil ke jama karne lage jo ek roz
Dil todne walo pe humko hasee aa gayee

Kuch purane khat us nazneen ke jo padne lage kal raat
Us bevafah ke ahde wafa* par hasee aa gayee

Khaufzada hona lazmi hain jiske aane pe yaha yaro
Woh maut jab aayee, hame hasee aa gayee

Meri maut pe sab khush the mera qatil udas tha
Kudrat ne jab yeh dekha use hasee aa gayee

Na dad mili na ki kisi ne saraha GHAYEL ko
Jo khatam hui meri ghazal sabko hasee aa gayee

                             -Sajid Ghayel-

* Pyaar nibhane ki kasam



Toooooo Gooood...  Applause
Bahut hi Achha likha hai Sajid Ji..
Dard ke section mein bhi hansi ki baat.. Subhaan-Allah..  
Bahut bahut khoob..Applause



Yun muskura ke apna ranz-o-gum sunaaya kisi ne,
Mehfil-e-Gumgeen ko hansi aa gayi..
Aankh mein lehraaya katron mein dhal ke samundar,
Seep mein chhupe moti ko hansi aa gayi..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Zindagi tamam ho gayee.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard
Hasee aa gayee.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard
sahab hasee udaate,,,, by shambhu_007 in Share:Miscellaneous Shayari
teri us hasee ko by saahill in Shayri-E-Dard
hasee,n duniya,,,,,,,,,,,, by jeet jainam in Miscellaneous Shayri
Shikha12
Guest
«Reply #16 on: December 01, 2008, 12:51:37 PM »
Haal Tera Sunkar, Mujhe Khud Par Hasi Aagayi,.
Main Samjatha Main Akela Ye Sadma Uthaa Raha Hoon,.

Dil Mera Bhi Tootkar Bikhar Gaya Kaise, Ye Mat Pooch,.
Tu Apne Lagaa "Sajid, Ilsiye Tujhe Haal Apna Sunaa Raha Hoon,.

Jeete Raha Main Tanhaa, Tanhaa Hi Mar Jaoonga, Ek Din,.
Jab Tak Zinda Hoon, Sab Ko Mohabbat Ki Maar Dikhaa Raha Hoon,.

Koi Tha Mera, Jo Mere Liye Muskuraata Tha, Aaj Wo Badal Gaya,.
Duniya Me Rishton Ki Ehmiyat Nahi, Ye Jaan Gaya, Isliye Sabko Bataa Raha Hoon,.

__________________________________-Jaanasheen-




Waah.. Its so simple, and so meaningful
Azeem.. Jitni bhi tareef kari jaaye, kam hogi.. Usual Smile

Bahut khoob.. Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #17 on: December 01, 2008, 01:01:00 PM »
Waah.. Its so simple, and so meaningful
Azeem.. Jitni bhi tareef kari jaaye, kam hogi.. Usual Smile

Bahut khoob.. Applause

Shukriya Shikha Sis,.

Mera Gham Jaan Ne Waale, Rote Rahe,.
Anjaan Logon Ko, Mujhpar Hasi Aagayi,.

Chaai Thi Raat Ghamon Ki Mere Aangan Mein,.
Charaag Bujhaa Diye, To Charaago Ko Hasi Aa Gayi,.


__________________________-Jaanasheen-
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #18 on: December 01, 2008, 01:05:43 PM »
Applause Applause Applause

Bohat hi kamaal ka likha hai sajid ji hamesha ki tarah
beautifull work... Thumbs UP

Bohat khoob bro aapne bhi kamaal ka jawab diya hai
beautifull work... Thumbs UP



 
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #19 on: December 01, 2008, 01:12:05 PM »
Applause Applause Applause

Bohat hi kamaal ka likha hai sajid ji hamesha ki tarah
beautifull work... Thumbs UP

Bohat khoob bro aapne bhi kamaal ka jawab diya hai
beautifull work... Thumbs UP



 

Shukriya Didi jaan,.
Aapne Bhi Kuch Likhna Tha,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #20 on: December 01, 2008, 01:15:02 PM »
Haskar Jeene Ki Adaa Seekhi Maine Rote Rote,.
Paa Liya Ghamon Ka Pahaard Maine Sab Khote Khote,.

___________________________-Jaanasheen-
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #21 on: December 01, 2008, 01:56:31 PM »
Toooooo Gooood...  Applause
Bahut hi Achha likha hai Sajid Ji..
Dard ke section mein bhi hansi ki baat.. Subhaan-Allah..  
Bahut bahut khoob..Applause

Yun muskura ke apna ranz-o-gum sunaaya kisi ne,
Mehfil-e-Gumgeen ko hansi aa gayi..
Aankh mein lehraaya katron mein dhal ke samundar,
Seep mein chhupe moti ko hansi aa gayi..

Mere dard ki tareef Mere zakhmo pe wah wah
Sunke haal-e-gam mera tumne khushi manayee to hasee aa gayee

                                   -SG-
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #22 on: December 01, 2008, 02:00:35 PM »
Us Khisse Mein, Maine Khud Ki Tasweer Dekhi,.
Sunkar Tera Haal, Mere Haal Pe Hasi A Gayi,.

___________________________-Jaanasheen-

Mere shikwa se pehle aakh me aasoo the tere
Jo lage tuje hasane hame bhi hasee aa gayee

                             -SG-
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #23 on: December 01, 2008, 02:03:38 PM »
Hamesha ki tarah thank you for your support Honeyrose u are a real sweeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeetheartttttttttttttttttt t of Yoindia we all love u
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #24 on: December 01, 2008, 02:04:45 PM »
Itna roye ke apne haal pe hasee aa gayee
Duniya ne samjha deewana aur unki samajh pe hasi aa gayee

Tukde apne dil ke jama karne lage jo ek roz
Dil todne walo pe humko hasee aa gayee

Kuch purane khat us nazneen ke jo padne lage kal raat
Us bevafah ke ahde wafa* par hasee aa gayee

                             -Sajid Ghayel-
Waah bhayee waah!
            - abd bundeli

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #25 on: December 01, 2008, 02:06:19 PM »
Mujhpar shaq karte hai woh mere aankhon ko num karte hain
Jis dard se guzar rahi hoon aaj uss haal pe hasee aa gayee

________honeyrose________
 
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #26 on: December 01, 2008, 02:10:18 PM »
Mere dard ki tareef Mere zakhmo pe wah wah
Sunke haal-e-gam mera tumne khushi manayee to hasee aa gayee

                                   -SG-


 

Ek fannkaar, jo fann ko maane 'dard',
Ek adakaar, jo andaaz ko kahey 'zakhm'...
Samajh ke is heir-pheir par "Maahi" ko hansi aa gayi...



Logged
Shikha12
Guest
«Reply #27 on: December 01, 2008, 02:12:04 PM »
Mujhpar shaq karte hai woh mere aankhon ko num karte hain
Jis dard se guzar rahi hoon aaj uss haal pe hasee aa gayee

________honeyrose________
 



Very Sentimental.. Very Nicely Crafted..
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #28 on: December 01, 2008, 02:14:13 PM »
Hamesha ki tarah thank you for your support Honeyrose u are a real sweeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeetheartttttttttttttttttt t of Yoindia we all love u

Thank you Sajid ji bus mujhe kuch nahi aata aise jo dil pe aaya likh
deti hoon galati hue to mauf kar do... tongue3 your also sweet sajid ji... notworthy


 

 
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #29 on: December 01, 2008, 02:15:43 PM »
    Mere zindagi mein woh khushi banke aaye
Mere zakhmo ko woh kured kar chale jaane se hasee aagayee
 
_________honeyrose_________ 
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:37:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer