....~~Hasrat~~....

by HumTum on January 27, 2005, 11:56:33 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2931 times)
HumTum
Guest
DiloN main bante hain armaaN kyun tut ne ke liye
Safar main milte hain kyun log bichhad ne ke liye


Din main lagta hai ke main bhul chuka hoon us ko
Phir chali aai hai yeh raat rulaa ne ke liye


Sirf KhushiyoN se guzara hi nahin duniyaaN main
Hoti ghum ki bhi zaroorat yahaaN jine ke liye


Zindagi main to 'HumTum' chen-o-sukuN na mil paya
Hai hasrat maut ki aaram se ab sone ke liye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ibadatt ki hasrat si hai by poem143s in Shayri-E-Dard
Itni si Hasrat by jass_eins in Shayri for Khumar -e- Ishq
hasrat by salaam2all in Shayri for Khumar -e- Ishq
hasrat by aftab alam in Shayeri for Dard -e- Bewafai
HASRAT by jay091081 in Gujarati
nikki
Guest
«Reply #1 on: January 27, 2005, 12:43:10 PM »
very nice HUMTUM  JI

maut se agar sab mushkile asaan ho jaati
to hum kab ke mar gaye hote
jeena chor diya hota
gumoon se agar dar gaye hote
Logged
HumTum
Guest
«Reply #2 on: January 27, 2005, 01:03:13 PM »
Quote from: "nikki"
very nice HUMTUM  JI

maut se agar sab mushkile asaan ho jaati
to hum kab ke mar gaye hote
jeena chor diya hota
gumoon se agar dar gaye hote



good work nikki ji...

Aazmai hai har shey hameny, katil - E - zammaney  ki
ab ik aur Hasrat hai, maut ko Aazmane ki..................
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: January 27, 2005, 01:35:51 PM »
good work

maut ko azmaaoge to kya paoge
mushkilon ka himmat se samna kar ke dekho
is bure daur se bhi guzar jaoge
Logged
HumTum
Guest
«Reply #4 on: January 27, 2005, 01:53:58 PM »
Quote from: "nikki"
good work

maut ko azmaaoge to kya paoge
mushkilon ka himmat se samna kar ke dekho
is bure daur se bhi guzar jaoge



impressed ...... good job .....

kar to le samna iss duar-e-mushkiloN ka " HumTum"
hai koi jo dilayeN yaqeeN ke, han hogi saher iss rat ki bhi .....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: January 27, 2005, 03:25:01 PM »
HASARAT lAFZ PARTY HI DO LINE MAN MAI AAI HAI,


Not Mine*****

Hasrat hi sahi, dil hi dukhane ke liye aa
aa bhir se muje chor kar, jaane ke liye aa!!!!!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #6 on: January 27, 2005, 03:55:19 PM »
Quote from: "Pooja"
HASARAT lAFZ PARTY HI DO LINE MAN MAI AAI HAI,


Not Mine*****

Hasrat hi sahi, dil hi dukhane ke liye aa
aa bhir se muje chor kar, jaane ke liye aa!!!!!!!


very nice pooja ji....

na do awaaz mehbob-e-bewffa ko,
ik roz ussi ne kha tha ke apshugan hota hai !!!!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #7 on: January 27, 2005, 04:47:07 PM »
niceee hum tum ji, nikki and a pooja !

 :D
Logged
HumTum
Guest
«Reply #8 on: January 27, 2005, 04:55:46 PM »
Quote from: "Meena"
niceee hum tum ji, nikki and a pooja !

 :D



dil ke shaloN ko koi shayri khe to gum nhi
takleef to tab hoti hai jab koi wah wah karta hain !!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: January 27, 2005, 04:58:29 PM »
jab bhi meri shayari se,
kisi ke dil se wah nikali
dil dharka, aor ek dard mahsoos hua,
mai akeli hi nahi dukhi, is sansaar mai!!!!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #10 on: January 27, 2005, 05:14:45 PM »
Quote from: "Pooja"
jab bhi meri shayari se,
kisi ke dil se wah nikali
dil dharka, aor ek dard mahsoos hua,
mai akeli hi nahi dukhi, is sansaar mai!!!!!!


wow !!!


na soch ke tu hi akeli hai dukhi iss sansar mein,
hain aur bhi phool bhut jo murja gaye bahar mein
gum, dard, shikwa, shikayat hongi auroN ko bhi,
AshiqooN ka akhir yhi to hai anjam pyar mein......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: January 27, 2005, 05:57:28 PM »
Nice one HumTum ji!!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #12 on: January 28, 2005, 11:17:02 AM »
Quote from: "Pooja"
Nice one HumTum ji!!!!



Thanks Pooja ji ......
Logged
HumTum
Guest
«Reply #13 on: January 28, 2005, 05:05:04 PM »
Do KaDaM ChaL Na SaKoGe ki YaaD AauNgA
Teri KaSaM maiN Tujhe yaad bahut AauNgA

Mujhe tu waQt samjh Aaj ThaHaR sa huN GayA
Agar GuZar Gaya to YaaD bahut AauNgA
Logged
nikki
Guest
«Reply #14 on: January 28, 2005, 05:14:03 PM »
good work Hum Tum ji n Pooja ji...

tumhe us pyaar ki kasam jo kisi roz kiya tha
guzre waqt ki tarah guzar mat jana
yaadon ke bahane hi sahi...milne jaroor aana...
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:31:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer