hawas ka rang jo shamil tumahre pyar me tha

by samnoj on July 09, 2005, 09:55:10 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 3499 times)
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
hawa ki kaid me tha, dhoop ki hisaar me tha
ajeeb haal musafir ka rezgaar me tha

baja ki baher-e-rawa uske akhtiyar me tha
mager wo shaks sarabo ke aitbaar me tha

tamam umer usne sahe war suraj ke
maki jo halka-e-ashjaar-e-sayadaar me tha

ajab thi zarab, hawayetalab ke haatho ki
mera wajood her ek lamha intezaar me tha

us aitbaar ki kab se talash hai mujhko
wo aitbaar dil-e-tifl-e-shirkhawaar me tha

main bhoolta bhi to kis trah ahd-e-mazi ko
guzarne wala her ek lamha jab shumaar me tha

jo failta, hadd-e-majmu se bhi guzer jata
wo ek nukta jo alfaaz ke hisaar me tha

hum apne aap ko aakhir samet te kaise
bagawato ka fusu jab apne inteshaar me tha

bigadta banke kaise koi khaka-e-wafa kaise
hawas ka rang jo shamil tumhare pyaar me tha

nm
Logged
thycreator
Guest
«Reply #1 on: July 09, 2005, 10:00:45 AM »
Uffffffff.............very tough to understand Sam.....................ruko.........urdu dictionary lani padegi.........but last two lines are beautiful....;-)
Logged
HumTum
Guest
«Reply #2 on: July 09, 2005, 10:09:53 AM »
bahut achey Samnoj ......


Beh gaye the ashq sabhi tere aane ki khushi mein,
main ro bhi na saka lamha-e-judaai ke liye.

ek umr guzaari thi maine ibadat mein jiski,
kaise bhula dun use bas ik be-vafaai ke liye.

main kar lunga do baatein usse,shayad kat jaaye zindagi,
koi kar do ik chiraag roshan meri parchhaai ke liye.

hum diljalon pe ye sharare yun zaaya na kijiye,
ab nahin kuchh baaki yahan par tabaahi ke liye.

na samjho ke mahobbat mein chot khaya hai 'HumTum'
main kehta hun gazal bas aapki wah-waahi ke liye
Logged
thycreator
Guest
«Reply #3 on: July 09, 2005, 10:13:23 AM »
Hum Tum ji, apne ye post kissi aur thread mein ki hai shayad........if my memory isnt failing me....neways.........its really nice.........

Rat bhar roya kiye hai tera naam le le kar,
Ab toh daria e nigah bhi sookh gayi hai,
Tu chali gayi hai kyu iss haal mein chod kar mujhe,
Ki aane ki tere har aas bhi ab toot gayi hai...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #4 on: July 09, 2005, 10:17:34 AM »
ya creator iskey last do sher kiye hai shayri e bevffai mein ab puri ban gyi to socha yha post ker du .. waseey memory badi achi hai Winking

aur kya khoob likha hai !!


na kar humse guzaarish kadam se kadam milane ki,
ab nahin hum ladkhadaane ke bhi kabil,kya karen?
chaha to bahut chhupana,par chhupa na paaya dard,
ke tumhe dekh kar mahakte hain zakham kya karen?
Logged
thycreator
Guest
«Reply #5 on: July 09, 2005, 10:22:10 AM »
wah ji wah.........bahut khoob......

Hum kya ladkhada gaye,nigahein uth gayi yahan,
Hazaron tohmatein hamare naam kar gaye sabhi,
Kya kahe ki kya hai raaz hamare haal ka yaron,
Kabhi nasha hai muhabbat ka toh judai ka kabhi...
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #6 on: July 09, 2005, 11:58:07 AM »
thanx n good work humtum n creator

chand yaadein jo tere shaher se le aaya tha
un hi yaadon se dil-e-zaar ko bahlaya tha

tum nigar-e-shab-e-mahtaab ho, aaoge nahi
main yehi soch ke gulshan me chala aaya tha

kya kahu pyaar me ab mujh pe guzarti hai kya
dosto, tumne mujhe theek hi samjhaya tha

ab to aansu bhi nahi jis se saja lu daman
lut gay wo jo teri yaad ka sarmaya tha

jheel ka chaaand bhi samnoj kisi mahwash ke bagair
ek afsurda kanwal ki trah murjhaya tha

nigar-e-shab-e-mahtaab = chandni raat ke taare
afsurda= udaas
Logged
thycreator
Guest
«Reply #7 on: July 09, 2005, 12:00:44 PM »
wah Sam..........lekin yaar, mujhe abhi tak dictionary nahi mili.........apke labz jara high class hai...............
Logged
pandit
Guest
«Reply #8 on: July 09, 2005, 12:05:30 PM »
wah samnoj bhai............................................. ...
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #9 on: July 09, 2005, 12:05:43 PM »
isi liye to main ne ab meaning likhna shuru ki hai....kya ab bhi nahi samjhe
Logged
thycreator
Guest
«Reply #10 on: July 09, 2005, 12:15:45 PM »
Kya samjhe hum bat aapki jara farmaiye,
Yahan toh chahne wale bhi dil ki bat samajh nahi pate,
Hum toh ek adad insaan hai,koshish hi karte hai,
Phir bhi nahi hum bat aapki samajh pate....:-(
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #11 on: July 11, 2005, 01:24:43 PM »
main rah-e-zist me hu gard-e-karwan ki trah
sapat mera mukadder hai aasaman ki trha


fareb ek sa ai dost humne khaya hai
tera afsana bhi hai meri dastaan ki trha
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:47:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer