"Hay Mohabbat",.

by Jaanasheen on February 13, 2009, 02:31:26 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 923 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Uski Khamoshi Mujhe Badaa Tadrpaati Hai,.
Jo Mujhe Pasand Nahi,.
Usi Adaa Se Jaane Kyun Wo Mujhe Sataati Hai,.

Sab Kuch Nisaar Kar Diya Maine Uski Mohabbat Pe,.
Nadaan Hai Shayad, Baar Baar Mujhe Aazmaati Hai,.

Main Use Kehta Hoon Yun Meri Bechaini Na Badaa,.
Door Jaakar Aur Bhi Bechaini Meri Badhaati Hai,.

Us Se Jo Main Kahoon, Uska Ulta Wo Karti Hai,.
Mohabbat Karti Hai Mujhse, Aur Dil Mera Dukhaati Hai,.

Jab Kahoon Us Se, Kisi Gair Se Na Baatein Kiya Karo,.
Mere Hi Saamne Kyun, Ye Ajnabiyon Se Haat Milaati Hai,.

Karti Hai Mohabbat Mujhse Sachchi Ya Jhooti Maloom Nahi,.
Lekin Mere Door Jaane Par Wo Aansoon Khoob Bahaati Hai,.

Kehti Hai Ke Use Yaad Bohat Aata Hoon, Use Main Tardpataa Hoon,.
Lekin Jab Uske Paas Jaaoon, Tu Mujhse Nazrein Churaati Hai,.

Har Baar Gilaa Karti Hai Ke Main Usse Pyaar Nahi Karta,.
Jab Bhi Pyaar Karna Chahoon, To Paabandiyaan Mujhpar Lagaati Hai,.

Ajeeb Shaks Hai "Azeem, Pyaar Karke Bhi Dard Jhelta Hai,.
Kisi Ko Mohabbat Kuch Nahi Deti, Aur Kisi Se Kya Kya Karwaati Hai,.


____________________________________________-Jaanasheen-











Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
"YAQEEN MERI MOHABBAT PE AAYA" by k.shael in Shayri-E-Dard
~~"MOHABBAT AUR ALLAH"~~ by k.shael in Shayri-E-Dard
"Hamein Kaash Tumse Mohabbat Na Hoti" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
~~"APNI MOHABBAT ME DHOKHA KHAYE HAI"~~ by k.shael in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~~"AASHIK KO MOHABBAT ME KUCH MILTA NAHI"~~ by k.shael in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 5 »
deewaani
Guest
«Reply #1 on: February 13, 2009, 02:56:02 PM »
wow bohat khoob bhai, really really good mashaAllah

end par yeh bhi keh saktay thai..?

Ajeeb shaks hai Jaanasheen, pyaar karkay bhi dard deta hai
Kisi ko mohabbat kuch nahin deti, or kisi sy kya kya karwati hai


ya ho sakta hai Ahmed Faraz k shayiri ka andaaz meray dimaag mai ho lol
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: February 13, 2009, 03:03:18 PM »
wow bohat khoob bhai, really really good mashaAllah

end par yeh bhi keh saktay thai..?

Ajeeb shaks hai Jaanasheen, pyaar karkay bhi dard deta hai
Kisi ko mohabbat kuch nahin deti, or kisi sy kya kya karwati hai


ya ho sakta hai Ahmed Faraz k shayiri ka andaaz meray dimaag mai ho lol

Shukriya Behna, Thoda Change Kiya Hai Maine,.
Thank U,.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #3 on: February 13, 2009, 03:36:43 PM »
Bahut naazuk hain tere shikve aur gile,
Yeh bhi muhabbat hai phir mile na mile,
Adayen mehboob ki bas lagalo sirf dil se,
Jo bhi hain seh lo lagen achhe ya bure.

Syed
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: February 13, 2009, 09:09:32 PM »
Bahut khoob Chote Bhai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: February 14, 2009, 04:12:54 PM »
Shukriya Majid Bhai
And Rajesh Bhaiya Ji,.

And Nice One Naami Brother,.
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #6 on: February 14, 2009, 04:41:46 PM »
 yay jazba kyun kr  hum  jysay diwanon pr
 hr roz naya sitam ejad karay aur war karay,
 


really bhot hi achcha likha app nay ,
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: February 15, 2009, 09:32:32 AM »
Bohot Khoob Azeem
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: February 15, 2009, 02:24:53 PM »
Shukriya Chitra Ji,.
And Talat Didijaan,.
Logged
salma786
Guest
«Reply #9 on: February 15, 2009, 02:50:07 PM »
Very nice janasheen ji!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: February 15, 2009, 02:57:05 PM »
Shukriya Salma Ji,.

Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 01:52:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 1.191 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer