Hisab lene aayega........(Ghayel)

by sajid_ghayel on March 11, 2009, 07:33:08 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
Print
Author  (Read 5495 times)
sajid_ghayel
Guest
Jo main kehdu kya tu samajh jayega
Itna kareeb tu kaha mere aayega

Tujhse door chala jaoo par koi fayda nahi
Har baar laut aaooga tu jab mujhe bulayga

Pal bhar ki khushi tha tera aana
Kya maloom tha tera jana, umr bhar rulayaga

Wafa dedi khushi dedi jaan bhi dedi
Mera pass mera kuch bacha nahi, tu ab kya aazmayga

Tu jitna achcha likhe, jitna likhe GHAYEL
Tera hunar teri ada, koi pehchaan nahi payega

Socha the marke chain se soyege kabr me
Lekin suna hain waha bhi, koi hisab lene aayega

-Sajid Ghayel-


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mohobaton ka mujh sey Hisab by Zamir Ka Qaidi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
bay hisab dard by payar in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~Hisab De~ by Sonia01 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Na Pyar Ka Tum Hisab Rakhna - R. Rangila by Rustum Rangila in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ulfataun ka Hisab rakh layna by ismail roushan in Ghazals
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: March 11, 2009, 07:49:28 AM »
mujjhe kiun nahi aati aap ki tarah shayari,
kitna badhiya likha aap ne,
very nice n lovely,
plizzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz,4give me.
madhuwesh.
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #2 on: March 11, 2009, 09:10:33 AM »
bhot khob ghayel ji ,
 
     tu apnay gird hisaar itnay na bandh janaa
     kay koyi chah kr be onhay na paar krsakay
     
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: March 11, 2009, 10:39:21 AM »
Bohot Khoob hi Sajid Ji...liked this one a lot...!!

Taiba Ji, aapne ek sher main bohot hu gehri baat keh di..Bohot khoob !!
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #4 on: March 11, 2009, 11:11:47 AM »
Is Zamane Sey Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gay
Dil Lagayein Gay To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gay

Na Dikhayain Gay Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthey Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gay

Jaan De Daingein Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usey Apne Liye Bhi Na Bacha Rakhain Gay

Sab Hata Daingay Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazey Ko Har Waqt Khula Rakhain Gay

Unki Har Baat Ko Bhooley Se Na Bhoolain Gein Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gay

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki "Mishal"
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Ga

Edited by Yo Monitor

*Not Mine*
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: March 11, 2009, 11:39:51 AM »
Bohat Bohat Achche Ghayel Bhai, Kamal Ka Likha Hai,.
\Waise Mere Bhai, Hum ne To Aapna Likha Pardha Hai,.

Aapko Aitraaz Kais,a.
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #6 on: March 11, 2009, 12:12:16 PM »
teri hunar teri ada ke sadke
tu likh, likh aur likhta hi jaaa
hai jashn sa mahaul teri duniya me ae dost
jo ho sake kabhi hume bhi bulaa.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: March 11, 2009, 09:18:48 PM »
Arey wah,kiya khoob likha hai sajid ji,waise kitna bhi dhoor chale jana par mai bhi hisaab lene zaroor ayenge.
very nice,
madhuwesh  Winking
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #8 on: March 12, 2009, 03:30:39 AM »
mujjhe kiun nahi aati aap ki tarah shayari,
kitna badhiya likha aap ne,
very nice n lovely,
plizzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz,4give me.
madhuwesh.

Arey wah,kiya khoob likha hai sajid ji,waise kitna bhi dhoor chale jana par mai bhi hisaab lene zaroor ayenge.
very nice,
madhuwesh  Winking


Thank You so much madhu for ur love and freindship......well if you cannot do shayri like me i cannot talk as sweet as you.  Winking
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: March 12, 2009, 03:33:38 AM »
Bohot Khoob hi Sajid Ji...liked this one a lot...!!

Taiba Ji, aapne ek sher main bohot hu gehri baat keh di..Bohot khoob !!

Thank You so much Talat.....well if u dont mind i would always love to know the sher you liked the most, it would really helped me a lot.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #10 on: March 12, 2009, 03:35:11 AM »
Is Zamane Sey Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gay
Dil Lagayein Gay To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gay

Na Dikhayain Gay Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthey Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gay

Jaan De Daingein Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usey Apne Liye Bhi Na Bacha Rakhain Gay

Sab Hata Daingay Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazey Ko Har Waqt Khula Rakhain Gay

Unki Har Baat Ko Bhooley Se Na Bhoolain Gein Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gay

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki "Mishal"
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Ga

Edited by Yo Monitor

*Not Mine*

Thanks for sharing this beautiful work on my thread.........
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #11 on: March 12, 2009, 03:42:27 AM »
Bohat Bohat Achche Ghayel Bhai, Kamal Ka Likha Hai,.
\Waise Mere Bhai, Hum ne To Aapna Likha Pardha Hai,.

Aapko Aitraaz Kais,a.

Bohat shukriyaa Chote aur tumse kabhi main koi aitraaz karu aisa ho sakta hain kya.......... DOH
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #12 on: March 12, 2009, 03:49:10 AM »
teri hunar teri ada ke sadke
tu likh, likh aur likhta hi jaaa
hai jashn sa mahaul teri duniya me ae dost
jo ho sake kabhi hume bhi bulaa.

Bohat jhoom ke mayusi meri duniya me JASHN manati hain
Zakhm GHAYEL ke karte hain tamasha aur dard ko hasi aati hain

-SG-
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #13 on: March 12, 2009, 03:53:18 AM »
bhot khob ghayel ji ,
 
     tu apnay gird hisaar itnay na bandh janaa
     kay koyi chah kr be onhay na paar krsakay
     

Bohat Shukriyaan Taiba.......Aur jaisa Celmira ne kaha tumne bohat gehri baat kahi hain. Is sher ke liye karodo dad kabool ho.
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #14 on: March 12, 2009, 05:53:46 AM »
Bohat jhoom ke mayusi meri duniya me JASHN manati hain
Zakhm GHAYEL ke karte hain tamasha aur dard ko hasi aati hain

-SG-
Apne dard me mujhe sareek karke dekh
sayad mere jakham ko humsafar mil jaye
kya pata aisa bhi ho ki
maayusi ki mehfil me jaan aa jaye.
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:04:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer