Hisab lene aayega........(Ghayel)

by sajid_ghayel on March 11, 2009, 07:33:08 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 8
Print
Author  (Read 5552 times)
sajid_ghayel
Guest
«Reply #15 on: March 12, 2009, 06:57:11 AM »
Apne dard me mujhe sareek karke dekh
sayad mere jakham ko humsafar mil jaye
kya pata aisa bhi ho ki
maayusi ki mehfil me jaan aa jaye.


Jo tu aziz na hota, main tujhse apna dard baat leta
Tu mujhe JannatJahan kehti main tujhe GHAYEL kehta

-SG-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mohobaton ka mujh sey Hisab by Zamir Ka Qaidi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
bay hisab dard by payar in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~Hisab De~ by Sonia01 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Na Pyar Ka Tum Hisab Rakhna - R. Rangila by Rustum Rangila in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ulfataun ka Hisab rakh layna by ismail roushan in Ghazals
jannatjahan
Guest
«Reply #16 on: March 12, 2009, 07:09:38 AM »
Jo tu aziz na hota, main tujhse apna dard baat leta
Tu mujhe JannatJahan kehti main tujhe GHAYEL kehta

-SG-
manta hai gar aziz mujhe
baant le tu apne gum
ghayel se tere mann ko
ek viram denge hum.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #17 on: March 12, 2009, 08:01:17 AM »
manta hai gar aziz mujhe
baant le tu apne gum
ghayel se tere mann ko
ek viram denge hum.

Aisa kya karoge jo dard GHAYEL ka ho kam
Mere zakhm bharde nahi aisa koi marham
Aur yeh bhi to mumkin hain jana
Uski tarah tu bhi ho be_reham

-SG-
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #18 on: March 12, 2009, 11:09:18 AM »
Aisa kya karoge jo dard GHAYEL ka ho kam
Mere zakhm bharde nahi aisa koi marham
Aur yeh bhi to mumkin hain jana
Uski tarah tu bhi ho be_reham

-SG-
Kaam aaega dost tere
meri dosti ka marham
laut aa is swapnili duniya me
bhul kar tu apne gam
nahi hun mai beraham
leti hun yara apni jaan ki kasam
bana kar mujhe yun dosti ka mujrim
na kar tu yun mujhpe sitam
har jakham se risata hai khoon mere dost
ho sake to mere is dard ko kar kam
jaruri nahi duniya me sab milte hain jakham dene ko
haan honge kuch log sitamgar
yara par nahi waise hum.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #19 on: March 12, 2009, 02:37:12 PM »
Aaj phir kisi sanam pe marne jo jee chahta hain
Aitbar phir dobara kisi pe karne ko jee chahta hain
Tujhse rishta nahi koi q tujhe pyaar karne ko jee chahta tha
Muddat hui na dekha aaina aaj phir banne sawarne ko jee chahta hai
 Ho ijazat JANNATJAHAN to aaj kehde GHAYEL mehfil me
Tujhse mohabbat karne ko jee chahta hai
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #20 on: March 13, 2009, 03:24:11 AM »
Aaj phir kisi sanam pe marne jo jee chahta hain
Aitbar phir dobara kisi pe karne ko jee chahta hain
Tujhse rishta nahi koi q tujhe pyaar karne ko jee chahta tha
Muddat hui na dekha aaina aaj phir banne sawarne ko jee chahta hai
 Ho ijazat JANNATJAHAN to aaj kehde GHAYEL mehfil me
Tujhse mohabbat karne ko jee chahta hai
Apne har gam me sareek samajhana
chhod jaye chhahe daman sabhi
har pal apne kareeb samajhana
zindagi rahi to sath nibhayengehamesha
bas apne kuch doston me hume bhi ajeej samajhana.
Itni izzt afzai ke liye shukriya ghayel ji.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #21 on: March 13, 2009, 08:33:16 AM »
Apne har gam me sareek samajhana
chhod jaye chhahe daman sabhi
har pal apne kareeb samajhana
zindagi rahi to sath nibhayengehamesha
bas apne kuch doston me hume bhi ajeej samajhana.
Itni izzt afzai ke liye shukriya ghayel ji.

Bas ek bar jan-e-jaan mutmaeen hona chahta hu
Tere hotho se iqrare wafa sunna chahta hu
Main badgumaan nahi teri wafa se lekin
Tujhse JannatJahan Ahde  Wafa chahta hu

-SG-
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #22 on: March 13, 2009, 09:48:30 AM »
Bas ek bar jan-e-jaan mutmaeen hona chahta hu
Tere hotho se iqrare wafa sunna chahta hu
Main badgumaan nahi teri wafa se lekin
Tujhse JannatJahan Ahde  Wafa chahta hu

-SG-
Na aajmao auron ki tarah
humdum tum meri wafa ko
bas yun hi chalte rahne do
dosti ke silsile ko
mutmaeen hona hi jaruri nahi hai chahat me
badhte rahne do GHAYAL apni jannat ke wafa ke kaafile ko.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #23 on: March 13, 2009, 09:52:56 AM »
Good One, Mashallah  Bohat Achchi Bait Bazi Chal Rahi Hai,.

Nice One Sajid Bhiya,.
And Jannat Ji,.
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #24 on: March 13, 2009, 09:57:36 AM »
Good One, Mashallah  Bohat Achchi Bait Bazi Chal Rahi Hai,.

Nice One Sajid Bhiya,.
And Jannat Ji,.
shukriya jaansheen ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #25 on: March 13, 2009, 10:03:20 AM »
      Zamaane Bharke Sitam Jo Haske Seh Liya Maine,.
Mere Sabar Ki Intehaa Dekhkar, Farishte Yahaan Bhi Sataate Rahe,.

                        -Jaanasheen-

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #26 on: March 13, 2009, 02:14:30 PM »
Na aajmao auron ki tarah
humdum tum meri wafa ko
bas yun hi chalte rahne do
dosti ke silsile ko
mutmaeen hona hi jaruri nahi hai chahat me
badhte rahne do GHAYAL apni jannat ke wafa ke kaafile ko.

Kitni masoom kitni pyaari teri zubaan hain
Meri jaan meri jannat hain tu mera jahan hain

-SG-
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #27 on: March 14, 2009, 08:57:43 AM »
Kitni masoom kitni pyaari teri zubaan hain
Meri jaan meri jannat hain tu mera jahan hain

-SG-
chahoge bhi to mujhse ab dur ja na paoge
jitna karoge dur mujhko unte karib paaoge.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #28 on: March 14, 2009, 10:41:06 AM »
chahoge bhi to mujhse ab dur ja na paoge
jitna karoge dur mujhko unte karib paaoge.

Ab mumkin nahi tujhse door jana jaanaa
Teri baho me meri jannat bhi hain jahan bhi

-SG-
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #29 on: March 14, 2009, 11:53:40 AM »
Jo main kehdu kya tu samajh jayega
Itna kareeb tu kaha mere aayega

Tujhse door chala jaoo par koi fayda nahi
Har baar laut aaooga tu jab mujhe bulayga

Pal bhar ki khushi tha tera aana
Kya maloom tha tera jana, umr bhar rulayaga

Wafa dedi khushi dedi jaan bhi dedi
Mera pass mera kuch bacha nahi, tu ab kya aazmayga

Tu jitna achcha likhe, jitna likhe GHAYEL
Tera hunar teri ada, koi pehchaan nahi payega

Socha the marke chain se soyege kabr me
Lekin suna hain waha bhi, koi hisab lene aayega

-Sajid Ghayel-



Bahut Bahut Khoob Sajid Bhai..4rth sher ne To Dil Ko Chuu Liya..Bahut Ache.. Applause Applause Applause
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 04:13:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer