Hisab lene aayega........(Ghayel)

by sajid_ghayel on March 11, 2009, 07:33:08 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
Print
Author  (Read 5504 times)
jannatjahan
Guest
«Reply #30 on: March 14, 2009, 06:05:13 PM »
Ab mumkin nahi tujhse door jana jaanaa
Teri baho me meri jannat bhi hain jahan bhi

-SG-
Tere haathon ki lakiron me ab mujhe apni taqdeer najar aati hai
jadu teri chahat ka hai ya hai ye khel kudrat ka
ab har shay me teri tasveer najar aati hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mohobaton ka mujh sey Hisab by Zamir Ka Qaidi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
bay hisab dard by payar in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~Hisab De~ by Sonia01 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Na Pyar Ka Tum Hisab Rakhna - R. Rangila by Rustum Rangila in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ulfataun ka Hisab rakh layna by ismail roushan in Ghazals
Rajesh Harish
Guest
«Reply #31 on: March 14, 2009, 06:11:35 PM »
Bahut achchhi daur chal rahi hai aap dono ke beech
Padh kar maza aa gaya Ghayel Ji aur Jannat Ji
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #32 on: March 15, 2009, 06:29:24 PM »
Tere haathon ki lakiron me ab mujhe apni taqdeer najar aati hai
jadu teri chahat ka hai ya hai ye khel kudrat ka
ab har shay me teri tasveer najar aati hai.

Na khel hain kudrat na jadu meri chahet ka
Chaya hain GHAYEL pe aajkal khumar teri mohabbat ka

Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #33 on: March 17, 2009, 01:17:01 PM »
Na khel hain kudrat na jadu meri chahet ka
Chaya hain GHAYEL pe aajkal khumar teri mohabbat ka

Ab to mere liye mohabbat ka dusra naam GHAYAL hai
nahi kisi ki parwah ab JANNAT ko wo to bas GHAYAL ki KAYAL hai.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #34 on: March 17, 2009, 01:47:54 PM »
Ab to mere liye mohabbat ka dusra naam GHAYAL hai
nahi kisi ki parwah ab JANNAT ko wo to bas GHAYAL ki KAYAL hai.

Kabhi hua nahi aaj q khud pe gurur hain
Chaya hain kuch is tarah tera surur hain
Ise ishq kahu mohabbat kahu ya kahu main aashiqui
GHAYEL ka tujhse JANNAT_JAHAN koi rishta zaroor hain
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #35 on: March 17, 2009, 02:37:04 PM »
bahoot khoob miyan ghayel....aaj to khud to ghayel ho hi auron ko bhi changa (durust)nahi rahne doge kya? Winking Winking.....
Logged
Roja
Guest
«Reply #36 on: March 17, 2009, 04:03:35 PM »
Ab to mere liye mohabbat ka dusra naam GHAYAL hai
nahi kisi ki parwah ab JANNAT ko wo to bas GHAYAL ki KAYAL hai.
Kabhi hua nahi aaj q khud pe gurur hain
Chaya hain kuch is tarah tera surur hain
Ise ishq kahu mohabbat kahu ya kahu main aashiqui
GHAYEL ka tujhse JANNAT_JAHAN koi rishta zaroor hain

aha kya baat hai... bahut khoob...

Wo behki behki baatein, wo mulaqatain
Samne aate hi jinhe lag jaati Prem Agan
Unki her baat dil ko kare ghayal
Unke pyar se mehka mera tan-badan... Usual Smile



Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #37 on: March 17, 2009, 07:24:27 PM »
bahoot khoob miyan ghayel....aaj to khud to ghayel ho hi auron ko bhi changa (durust)nahi rahne doge kya? Winking Winking.....

Samjha kar mere yaar rozi roti ka sawal hain  Giggle q gareeb ke pet pe laat mar raha hain  DOH
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #38 on: March 18, 2009, 03:01:19 AM »
Kabhi hua nahi aaj q khud pe gurur hain
Chaya hain kuch is tarah tera surur hain
Ise ishq kahu mohabbat kahu ya kahu main aashiqui
GHAYEL ka tujhse JANNAT_JAHAN koi rishta zaroor hain
Rishta ab teri saanson ka meri saanson se hai
sirf GHAYAL ki ho jane ki tamanna is dil me ab se hai.
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #39 on: March 18, 2009, 03:07:06 AM »
Samjha kar mere yaar rozi roti ka sawal hain  Giggle q gareeb ke pet pe laat mar raha hain  DOH
kisi ke liye sawal sirf roji roti ka hai
koi puri duniya isi me samete chal raha hai.

Logged
Roja
Guest
«Reply #40 on: March 18, 2009, 03:10:20 AM »
Rishta ab teri saanson ka meri saanson se hai
sirf GHAYAL ki ho jane ki tamanna is dil me ab se hai.

Bahut pyara line hai Jaanat.... Ghayal ..... Ghayal ho jayenge...!! tongue3
Logged
Roja
Guest
«Reply #41 on: March 18, 2009, 03:13:21 AM »
Dil ko mere aise hi berbaad hona tha
Dil shaad ko mere yu hi na-shaad hona tha
Issee tarah juda hona hi tha hum dono ko..
Tujhe aazaad hona aur mujhe tera bewafayi ka hisaab lena tha...
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #42 on: March 18, 2009, 03:23:48 AM »
Bahut pyara line hai Jaanat.... Ghayal ..... Ghayal ho jayenge...!! tongue3
shukriya roja
par unke liye ye sirf roji roti ka sawal hai,

Jinke liye hum jamane bhar me badnaam hue
unke jehan me hamari haisiyat hai gumnaam si.
Logged
Roja
Guest
«Reply #43 on: March 18, 2009, 03:26:47 AM »
shukriya roja
par unke liye ye sirf roji roti ka sawal hai,

Jinke liye hum jamane bhar me badnaam hue
unke jehan me hamari haisiyat hai gumnaam si.

haaa... dil chota nahi karte... lage raho...

chaman ke her phool per nikhar tera hai jaana
Kaliyon per jo hai woh sringaar tera hi hai jaana

Hum kehte hai yeh teri mohabbat hi hai
Jo Unhe tere pass kheech laya  hai
Logged
salma786
Guest
«Reply #44 on: March 18, 2009, 03:31:01 AM »
Jo main kehdu kya tu samajh jayega
Itna kareeb tu kaha mere aayega

Tujhse door chala jaoo par koi fayda nahi
Har baar laut aaooga tu jab mujhe bulayga

Pal bhar ki khushi tha tera aana
Kya maloom tha tera jana, umr bhar rulayaga

Wafa dedi khushi dedi jaan bhi dedi
Mera pass mera kuch bacha nahi, tu ab kya aazmayga

Tu jitna achcha likhe, jitna likhe GHAYEL
Tera hunar teri ada, koi pehchaan nahi payega

Socha the marke chain se soyege kabr me
Lekin suna hain waha bhi, koi hisab lene aayega

-Sajid Ghayel-


Bahoot khoob Sajid ji!

Jo khud na samajh saka tu,
To Mujhe kya samjhayega,

Jo lamhe bitaye the meri agosh me,
Unko to kaise bhula payega,

Jo bhi kiye the wade mujhse,
Tod kar unhe kaise jee payega,

Ujaad ke meri hari bhari basti ko,
Kaise khushiyon ka mahal banayega,

Meri raton ki neend lut ke,
Kaise oro ki baho me raat bitayega,

Zakhm jo mujhe tu de gaya hai,
Uska hisab tu kaise chukayega,

Duniya ki nazro me khud ko "Ghayel" keh ke,
Khuda ke kahar se kab tak bach payega,

Jab jee te jee mujhe maar gaya,
To chain se kabr me ab kaise so payega,

Ab band kar apna jhuta rona zamane ke aage,
Or kab tak ye jhuti kahani dohrayega!!

Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:42:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer