*HoneyRose Dard Shayari Collection --NM*

by honeyrose on January 11, 2009, 10:37:17 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3071 times)
honeyrose
Guest
Kyu Apno Ki Bheed Hai Tanha Dil Roh Bhi Nahi Sakta,
Yuh To Har Shaks Habeeb Hai, Par Dard-E-Dil Khol Nahi Sakta…

Haal Aye Dil Unse Bhi Keh Na Paaya Ab Tak,
Wo Khud Samajh Jaaye Yeh Bhi To Ho Nahi Sakta…

Diye The Jab Mujhe Aansu Hasee Bhi Deni Thi,
Khushi Ki Kaunsi Hai Wajah Soch Nahi Sakta…

Neend Aati Nahi Raaton Ko Kab Se Aye Sanam,
Subho Tak Kis Kadar Jeeta Hoon Bata Nahi Sakta…

Yaad Aai Teri, Phir Se Aankh Num Ho Chali,
Yeh Mohobat Hai Ya Dard Bata Nahi Sakta…

Duniya Me Hazaaron Hai Humar Jaise
Khuda Kyu Hai Tu Bekhabar Ya Dekh Nahi Sakta…

Tera Ghar Chod Kar Jaana Hai Yaad Mujhe,
Ab Laut Kar Aana Bhi To Ho Nahi Sakta

_________NM_________
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Shayari -E- Dard by Thakur Singh in Shayri-E-Dard
dard ki shayari by Azedmeer in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
<NA KAHO DARD KO SHAYARI> IT IS A MUST by harshit101 in Shayri-E-Dard
shayari-e-dard by mital in Gujarati
~~HoneyRose Collection Dost Shayari~~ by honeyrose in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2 3 4 5 »
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: January 11, 2009, 10:40:26 AM »
A really good sharing Honey Ji
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: January 11, 2009, 10:45:54 AM »
Thanks Rajesh ji...


Aaj Dil Kii Har Baat Kahii To Tera Zikr Aaya,
Guzri Mohobat Kaa Har Lamha Yaad Aaya…

Hui Mud_dat Aaj Tak Mujhme Kuchh Nahii Badla,
Mere Khayaal Mein Teri Adaaon Par Naya Rang Aaya…

Teri Yaadon Kii Aahat Ko Batorne Mein Hoon Juta,
Bas Tera Karam Hai Yeh Jo Khud Ko Naa Samjha Paaya…

Saakib Zindagi Mein Ab Aur Kaya Raha,
Ik Khayaal Tak Naa Usko Tera Aaya…

Jee Raha Hoon Bas Issi Soch Mein Doobh Kar,
Vaada Kiya Tha Usne, Phir Kyu Nahii Aaya…

Aaj Dil Kii Har Baat Kahi To Tera Zikr Aaya,
Guzri Mohobat Ka Har Lamha Yaad Aaya

__________________NM__________________
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #3 on: January 11, 2009, 10:48:01 AM »
Muhabbat Mein Humne Kaya Paaya Kaya Kho Diya,
Dard E Dil Paake Chain O Sakoon Kho Diya,

Dil Lagaya Khatta Hui Waffa Bhii Beintehaan Hui,
Jaffa Hii Jaffa Sanam Ne Kiya,

Beshak Munaasib Hai Ke Khuda Zameen Par Mil Jaye,
Mera Sawaal Bas Yeh Hoga Mere Khuda Yeh Kaya Kiya,

Woh Guzra Mere Khayaal Se Kal Parso Kii Baat Hain,
Raat Bhar Naa Aankh Mein Neend Aai Najaane Yeh Kaisi Baat Hain,

Bas Issi Soch Ne Dil Dhadka Diya,
Saakib Chahat Kaya Hui, Jo Bhii Chaha Woh Roh Liya,

Dil Kii Tamannao Kaa Bas Yuhi Afsos Kiya
Mohobat Mein Humne Kaya Paaya Kaya Kho Diya,

__________________NM____________
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: January 11, 2009, 10:48:51 AM »
Another wonderful sharing Honey Ji
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #5 on: January 11, 2009, 11:14:31 AM »
Thanks so much Rajesh ji...

 Kya kahen hum kaise tujhse door ho gaye
Haalaat se, kuch khud se majboor ho gaye

Mohhabbat rula deti hai, kab ye maana tha
Apne dil ke afsaane wohi dastoor ho gaye

Manzil jise samjha bana wo meel ka pathar
Nayi manzil, naye raaste manzoor ho gaye

Hadd se barh jaaye jo ghum, deta nahin dard
Muskura rahe hain, aise hum ranjoor ho gaye

Dil tera reza reza hai, kaise sambhale tujhko
Khudaya humse kaise yeh qusoor ho gaye 

__________________NM_____________

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: January 11, 2009, 11:26:44 AM »
Thak jaao gar pathreele raaston pe chalte hue
Kabhi soch na lena ki wahan tanha ho tum
Moond kar palkon ko apni jo tum dekhoge
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum

Har waqt bura kat jaat hai, yaqeen karna
Ankhon main kabhi tum ashk na bhar lena
Ghum barh jaaye, muskurahat khone lage
Apni duaaon main mujh ko paaoge tum

Ishq naam to nahin hai milan ka, deedar ka
Dil se dil ka mil jaana hai naam-e-mohabbat
Jo yaad aa jaaye meri, na samjhna ki door hoon
Apne seene main dhadakta mujh ko paaoge tum

Waqt ki garmi jo jhulsaane lage wujood
Meri chahat ki nami ko mehsoos karna
Jo sard hawaain zamane ki aane lagen paas
Meri wafaaon ki garmi ko mehsoos karna
Main tumse juda to nahin hoon mere humdum
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum

________HR__________
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #7 on: January 11, 2009, 11:40:47 AM »
Raaste badal jaate hain, manzilain badal jaati hain,
Kyun nahin badalte dil jo taqdeerain badal jaati hain

Dil wohi rehta hai, yaadon ki anginat karchaiyaan le ke,
Aankhon ki nami chupa kar, nazrain badal jaati hain

Rooh rehti hai har lamha ashkbaar, lab hanste hain,
Bahar aur andar ki kis tarah fizaain badal jaati hain

Koi hota hai rafta rafta zindagi se door, bohot door
Haathon ki yeh lakeerain kyun aksar badal jaati hain

__________________NM_____________
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #8 on: January 11, 2009, 11:55:47 AM »
Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai
Ek meherbaan ka haath jaise hathon se toot raha hai

Lamha lamha guzar ke dafan ho raha hai seene main
Seh kar ye dard kuch ajab maza aane laga hai jeene main

Jaane yeh kis rehguzar pe qadam humne badhaaye hain
Jaana tha kis manzil par, jaane kis aor nikal hum aaye hain

Ek khalish hai dil ko ghere, ek ajab si khaamoshi chaayi hai
In chubhti tanhaaiyon main aaj yaad teri bohot aayi hai 
 
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #9 on: January 12, 2009, 08:55:51 AM »
Aashiqii be-dilii se mushkil hai
Phir muhabbat usii se mushkil hai

Ishq aaGaaz hii se mushkil hai
Sabr karanaa abhii se mushkil hai

Ham ?? aasaa.N hai.n aur hamaare liye
Dushmanii dostii se mushkil hai

Jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n
Bevafaa_ii usii se mushkil hai

Ek do duusare se sahel na jaan
Har ko_ii har kisii se mushkil hai

Tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar
Vaapasii us galii se mushkil hai
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #10 on: January 28, 2009, 07:32:50 AM »
Maanaa ki muhabbat kaa chhipaanaa hai muhabbat
Chupake se kisii roz jataane ke liye aa

Jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane
Aise hii kisii roz na jaane ke liye aa

~~Mehdi Hassan~~
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #11 on: January 28, 2009, 07:44:43 AM »
Usne mujhe kaha tha ke,
Ek Din main tujhe apna bana ke chhodunga,
Aaj vo baat sach ho gayi,
Bewafa ne aaj mujhe apna bana ke chhod diya

NM
Logged
HumTum
Guest
«Reply #12 on: January 28, 2009, 07:46:51 AM »
Thanks for Sharing these beauties Honey.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #13 on: January 28, 2009, 07:47:38 AM »
Thanks for Sharing these beauties Honey.
Thanks HumTum ji...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #14 on: January 28, 2009, 07:48:23 AM »
Mere dard ko koi nahi samjh paya
Pehle bhi tanha the
Aaj bheed mein bhi khud ko tanha paya
Hum aaj bhi wahi hai khade
Jahan tune mujhe chhod ke jana Chahaa

NM
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 10:54:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer