honeyrose
Guest
|
«Reply #15 on: January 28, 2009, 07:49:21 AM » |
|
Koi toot chuka hai kisi ki yaad mein Kyun ab ye kisi ko bata rahe ho Saans chale ya tham jaye meri Kyun ab kisi ko ehsaas dila rahe ho Mere behte ashk ko behne do Yeh khayal na lana ke ye pani hai Wo ise jo bhi samjhe, Samjhne do Mere liye ab yehi Zindagani hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
Rau: 14
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.
Posts: 19903 Member Since: Feb 2006
|
|
«Reply #16 on: January 28, 2009, 01:48:40 PM » |
|
Good Going Didijaan,. Lage Raho,.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
honeyrose
Guest
|
|
«Reply #17 on: January 31, 2009, 03:08:11 PM » |
|
Main Wohi Hoon Jise Tum Pyar Kiya Karti Thi Din Me So Baar Mera Naam Liya Karti Thi Aaj Kya Baat Hai Kyon Mujh Se Khafa Bethe Ho Kya Kissi Aur se Dil Apna laga Bethe Ho
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
honeyrose
Guest
|
|
«Reply #18 on: January 31, 2009, 05:41:12 PM » |
|
kaare badarvaa aaye chaaii udaasii bhigii bhigii palake.n hai.n pyaar kii pyaasii
jab se gae ho chho.D ke hamko dil ko na jaane kyaa ho gayaa hai aan milo ab jiyaa na jalaao saavan bhii ab biit chalaa hai
ek jhalak to aake dikhaa jaa a.Ndheraa hai man me.n diyaa to jalaa jaa bhuulanavaale ham ko terii yaad sataaye
de na sake jo chain bhii man ko aag lage aise saavan ko mehaa barase aa.Nsuu.n barase rimjhim mere diip jalaaye
___________Sehba Akhtar________
|
|
|
Logged
|
|
|
|
honeyrose
Guest
|
|
«Reply #19 on: February 21, 2009, 01:31:45 PM » |
|
apanii dhun me.n rahataa huu.N mai.n bhii tere jaisaa huu.N
o pichhalii rut ke saathii ab ke baras mai.n tanhaa huu.N
terii galii me.n saaraa din dukh ke kankar chunataa huu.N
mujh se aa.Nkh milaaye kaun mai.n teraa aa_iinaa huu.N
meraa diyaa jalaaye kaun mai.n teraa Khaalii kamaraa huu.N
tuu jiivan kii bharii galii mai.n jangal kaa rastaa huu.N
apanii lahar hai apanaa rog dariyaa huu.N aur pyaasaa huu.N
aatii rut mujhe royegii jaatii rut kaa jho.Nkaa huu.N
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajesh Harish
Guest
|
|
«Reply #20 on: February 21, 2009, 01:33:12 PM » |
|
Nice sharing Honey Ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
honeyrose
Guest
|
|
«Reply #21 on: February 21, 2009, 01:34:32 PM » |
|
Nice sharing Honey Ji
Thanks Rajesh ji..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
honeyrose
Guest
|
|
«Reply #22 on: February 21, 2009, 01:38:03 PM » |
|
Sun to sahii jahaa.N me.n hai teraa fasaanaa kyaa Kahatii hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibaanaa kyaa
Ziinaa sabaa kaa Dhuu.NDhatii hai apanii musht-e-Khaak Baam-e-baland yaar kaa hai aastaanaa kyaa
Aatii hai kis tarah se merii kabz-e-ruuh ko Dekhuu.N to maut Dhuu.NDh rahii hai bahaanaa kyaa
Betaab hai kamaal hamaaraa dil-e-aziim Mahamaa.N saaraay-e-jism kaa hogaa ravanaa kyaa
*NM*
|
|
|
Logged
|
|
|
|
honeyrose
Guest
|
|
«Reply #23 on: February 21, 2009, 01:49:53 PM » |
|
waah waah Honeyrose ji bahot achi aur nayaab collection..... very nice ..... Bohat shukriya kaash ji..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
honeyrose
Guest
|
|
«Reply #24 on: February 21, 2009, 01:51:27 PM » |
|
Bahut pahale se un qadamo.n kii aahaaT jaan lete hai.n Tujhe ai zindagii ham duur se pahachaan lete hai.n
Merii nazare.n bhii aise qaatilo.n kaa jaan-o-imaa.N hai Nigaahe.n milate hii jo jaan aur imaan lete hai.n
Tabiyat apanii ghabaraatii hai jab sun-saan raato.n me.n Ham aise me.n terii yaado.n kii chaadar taan lete hai.n
'Firaq' aksar badal kar bhes milataa hai ko_ii qaafir Kabhii ham jaan lete hai.n kabhii pahachaan lete hai.n
*NM*
|
|
|
Logged
|
|
|
|
honeyrose
Guest
|
|
«Reply #25 on: February 26, 2009, 02:21:18 PM » |
|
Baad muddat unhe.n dekh kar yuu.N lagaa jaise betaab dil ko qaraar aa gaya aarazuuo.n ke gul muskuraane lage jaise gul_shan me.n jaan-e-bahaar aa gayaa
Tashnaa nazare.n milii.n shoKh nazaro.n se jab mai barasane lagii jaam bharane lagaa saaqiiyaa aaj terii zaruurat nahii.n bin piye bin pilaaye Khumaar aa gayaa
Raat sone lagii subah hone lagii shammaa bujhane lagii dil machalane lage vaqt kii raushanii me.n nahaa_ii hu_ii zindagii pe ajab saa nikhaar aa gayaa
Har taraf mastiyaa.N har taraf dil_kashii muskuraate dilo.n me.n Khushii hii Khushii kitanaa chaahaa magar phir bhii uTh na sakaa terii mahafil me.n jo ek baar aa gayaa
|
|
|
Logged
|
|
|
|
honeyrose
Guest
|
|
«Reply #26 on: March 01, 2009, 02:17:46 PM » |
|
faasale aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa na thaa saamane baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa
vo ki Khushbuu kii tarah phailaa thaa mere chaar suu mai.n use mahasuus kar sakataa thaa chhuu sakataa na thaa
raat bhar us kii hii aahaT kaan me.n aatii rahii jhaa.Nk kar dekhaa galii me.n ko_ii bhii aayaa na thaa
aks to maujuud the par aks tanahaa_ii ke the aa_iinaa to thaa magar us me.n teraa cheharaa na thaa
aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye aaj mai.n royaa to mere saath vo royaa na thaa
ye sabhii viiraaniyaa.N us ke judaa hone se thii.n aa.Nkh dhu.Ndhalaa_ii hu_ii thii shahar dhu.Ndhalaayaa na thaa
yaad karake aur bhii takaliif hotii thii "Adeem" bhuul jaane ke sivaa ab ko_ii bhii chaaraa na thaa
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Zaarah4U
Guest
|
|
«Reply #27 on: March 01, 2009, 02:27:49 PM » |
|
nice bohat behtareen hain aapke collection rose ji i like it
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajesh Harish
Guest
|
|
«Reply #28 on: March 14, 2009, 06:03:33 PM » |
|
Wonderful collection Honey Ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
honeyrose
Guest
|
|
«Reply #29 on: March 14, 2009, 06:12:38 PM » |
|
Wonderful collection Honey Ji
Shukriya Rajesh ji..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|