*Honeyrose Ek Tanha Safar*

by honeyrose on January 06, 2009, 07:46:03 PM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 3430 times)
Rajesh Harish
Guest
«Reply #15 on: January 07, 2009, 04:58:36 AM »
Wah kya baat hai...

Tum bin meri zaat adhuri,
Jese koi her baat adhuri,

Hijr k sare din hain poore,
lekin he her baat adhuri,

Lafzon ki gherai me jhankon,
samjho na her baat adhuri,

Num aankhain or sookhi palkain,
ho gaye her barsaat adhuri,

Mujh ko mujhi se cheen gaye ho tum,
Reh gaye hai meri zaat adhuri....

(nm)
Wah! kamaal ka likha hai aapne
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Safar tanha nahin kartay by captainyr in Shayri for Khumar -e- Ishq
~~~ hAPPy B'day Tanha dil tanha safar ~~~ by Tosha in The Wishes and Celebrations
Tanha Safar by anjali.sharma in Shayri for Dard -e- Judai
Tanha Dil, Tanha Safar by Devdas_online in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Tanha Safar by gunehgaar in Shairi - E - Zindagi
Sonia01
Guest
«Reply #16 on: January 07, 2009, 05:07:21 AM »
Khushk aankhon me kai bar jhalak jati hai
Khushi milte hi aankho se tapak jati hai

Ghamo ke daur me na pucho kabhi halat iski
khamoshion me bhi ye saaf nazar aati hai

Kabhi mehfil to kabhi tanhai me chhup ke
Kabhi chaman to kabhi baghon me ruk ke

Jab kabhi apno ki yaad sataati hai
Moti ban ke pal bhar me bikhar jati hai

Umar ka koi ta-alluk nahi darmiyan is ke
Kabhi mauka to kabhi dastur ye nibhati hai

Bagair iske to zindagi bhi adhuri hai shayad
Kabhi apne to kabhi gairo ka ehsas dilati hai

Khushk aankhon me kai bar jhalak jati hai
Kushi milte hi aankho se tapak jati hai


(nm)
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #17 on: January 07, 2009, 05:14:36 AM »
Khushk aankhon me kai bar jhalak jati hai
Khushi milte hi aankho se tapak jati hai

Ghamo ke daur me na pucho kabhi halat iski
khamoshion me bhi ye saaf nazar aati hai

Kabhi mehfil to kabhi tanhai me chhup ke
Kabhi chaman to kabhi baghon me ruk ke

Jab kabhi apno ki yaad sataati hai
Moti ban ke pal bhar me bikhar jati hai

Umar ka koi ta-alluk nahi darmiyan is ke
Kabhi mauka to kabhi dastur ye nibhati hai

Bagair iske to zindagi bhi adhuri hai shayad
Kabhi apne to kabhi gairo ka ehsas dilati hai

Khushk aankhon me kai bar jhalak jati hai
Kushi milte hi aankho se tapak jati hai


(nm)
Yeh bhi sharing Khoob rahi
Logged
cara
Guest
«Reply #18 on: January 07, 2009, 07:05:28 AM »
bahut badiya honeyji.....

tu nahin toh, kuj bhi nahin mera,
tu hai, toh sara jahan hai mera.
bin tere,begana lage, apna bhi mera,
tu hai toh, har sapna bhi sach lagta hai mera.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #19 on: January 07, 2009, 07:35:14 AM »
Azeem bhai shukriya

Rajesh ji shukriya bohat khoob

Sonia shukriya dear wonderfull lines...

Cara ji bohat khoob ...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #20 on: January 07, 2009, 07:37:27 AM »
Tanhai zindagi ki aab sahara ban gaye hai
Hasna bhi aab zindagi mein kami ban gaye hai
Hum toh badalte halat ke intezaar karte rahete 
"Honeyrose" ke zindagi se judi aab har yaaden tanha ban gaye hai
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #21 on: January 07, 2009, 07:39:43 AM »
Wafa ki umeed aab toot chuki hain
Mere aankhon mein jo khawab the aab toot chuki hain
Muhabbat mein aksar dard khaye hai magar
Aaj bhi unse milne ki chahat "Honey" ke dil mein adhuri rahe gaye hain
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #22 on: January 07, 2009, 07:56:41 AM »
Dil mein tanhaiyon ka alam hai
Aaj bhi unke laut aane ka aithbaar hai
Na jaane humse kya bhool hue
Ke aaj bhi unhe humse nafrat hai

___HR____
Logged
k.shael
Guest
«Reply #23 on: January 07, 2009, 08:35:15 AM »
Bahut Khoob likha hai honey didi,

Ek tanha safar teh kar ke tujh tak pahunche
hai ham,Aab u na hame thukra kar behaal kar,

Dekh meri aankhon ki taraf kaise teri ek jhalak
ko taras rahi hai, aab u parda karke mujhse na
mere iss dil pe aur sitam kar...

Na the pasand ham to bata diya hota, aab manjil
ke pass pahunchne par hame darwaja band hai kehkar
na najarandaaj kar...

Shally.
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #24 on: January 07, 2009, 09:08:24 AM »
Bahut Khoob likha hai honey didi,

Ek tanha safar teh kar ke tujh tak pahunche
hai ham,Aab u na hame thukra kar behaal kar,

Dekh meri aankhon ki taraf kaise teri ek jhalak
ko taras rahi hai, aab u parda karke mujhse na
mere iss dil pe aur sitam kar...

Na the pasand ham to bata diya hota, aab manjil
ke pass pahunchne par hame darwaja band hai kehkar
na najarandaaj kar...

Shally.


Shally jii aapne bahut accha likha hai..
Logged
k.shael
Guest
«Reply #25 on: January 07, 2009, 09:41:52 AM »
Shally jii aapne bahut accha likha hai..

Shukriya Soniya Sis...

Shally.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #26 on: January 07, 2009, 11:15:10 AM »
Thank you shally nice lines...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #27 on: January 07, 2009, 11:16:32 AM »
Ya kudha tum humpe ek meherbani kar de
Mujhe iss duniya se door kar de
Agar na aaon kisi kaam ki mere dost
Phir "Honeyrose" ke rooh ko iss duniya se alag kar de
 
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #28 on: January 07, 2009, 12:09:31 PM »
Bohat Achche Rajesh Bhai,.
And Nice One Sonia Didi,.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #29 on: January 07, 2009, 04:03:38 PM »
Azeem bhai shukriya

Rajesh ji shukriya bohat khoob

Sonia shukriya dear wonderfull lines...

Cara ji bohat khoob ...

Thanks Honey Ji
and nice contributions
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:09:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer