Hota Nahi Koi Bhi Kisi Ka!

by mohdabrar on June 03, 2013, 03:23:52 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1103 times)
mohdabrar
Guest
Likha hai gazal ki neeyat se... Pehli koshish hai gazal ki agar kamiyaab hua to zarur batayega aur na raha to kya kami rahi woh bhi samjhaiyega... Aap ki raaye ka muntazir...

Abrar...

Milte rehte hain gum phir bhi kyun utha rahi thi zindagi,
Gum ke bazaar mein kyu,tamasha bana rahi thi zindagi,

Mayoosi se bhari aankhen dekhti reh gayi sitam tere ye,
Hota nahi koi bhi kisi ka,ye baat samjha rahi thi zindagi,

Aakhir kyun ghabragaya woh aaj yun badtamizi se meri,
Chehre par se parde saare uske, hataa rahi thi zindagi,

Rota hai kaise dil toot ke aa tu bhi aazma ke dekh zara,
Roti aahen ghum ke seene mein,ye bata rahi thii zindagi,

Na kar paayi koyi khushi mujh ko mukammal kabhi bhi,
Thi meri badkismati,khamoshi se bata rahi thii zindagi,

Kuch bhi na keh saka Ishara kar raha tha ab 'Abrar' bhi,
Chupke se jane kyun nayee umeed jaga rahi thi Zindagi,

Milte rehte hain gum phir bhi kyun utha rahi thi zindagi,
Gum ke bazaar mein kyu,tamasha bana rahi thi zindagi...
Logged
laaiba
Guest
«Reply #1 on: June 03, 2013, 05:18:19 PM »
Likha hai gazal ki neeyat se... Pehli koshish hai gazal ki agar kamiyaab hua to zarur batayega aur na raha to kya kami rahi woh bhi samjhaiyega... Aap ki raaye ka muntazir...

Abrar...

Milte rehte hain gum phir bhi kyun utha rahi thi zindagi,
Gum ke bazaar mein kyu,tamasha bana rahi thi zindagi,
 khubsurat matla ,....daad
Mayoosi se bhari aankhen dekhti reh gayi sitam tere ye,
Hota nahi koi bhi kisi ka,ye baat samjha rahi thi zindagi,
bhtereen khyaa.l,....daad,...
Aakhir kyun ghabragaya woh aaj yun badtamizi se meri,
Chehre par se parde saare uske, hataa rahi thi zindagi,
 khoob,.......
Rota hai kaise dil toot ke aa tu bhi aazma ke dekh zara,
Roti aahen ghum ke seene mein,ye bata rahi thii zindagi,
 vry true  daad,.....
Na kar paayi koyi khushi mujh ko mukammal kabhi bhi,
Thi meri badkismati,khamoshi se bata rahi thii zindagi,
kia khubsurat sher ,....daad,....
Kuch bhi na keh saka Ishara kar raha tha ab 'Abrar' bhi,
Chupke se jane kyun nayee umeed jaga rahi thi Zindagi,
behtereen,....daad
Milte rehte hain gum phir bhi kyun utha rahi thi zindagi,
Gum ke bazaar mein kyu,tamasha bana rahi thi zindagi...
pehli ghazal hee jaandaar rahee abrar ji,...rau ke sath bohat c daa,......
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #2 on: June 03, 2013, 07:25:48 PM »
bahut bahut khoob.. Usual Smile
Applause Applause
Logged
nashwani
Guest
«Reply #3 on: June 03, 2013, 07:48:37 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

umda peshkash..dhero daad..happy9
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 27 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #4 on: June 04, 2013, 12:52:35 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Wah,Wah,Wah Abrar ji,
Pahli ghazal hai aapki.Really Bahut hi achhi koshish hai.Emotion ke lihaaz se behad khoobsurat hai.Dili Mubarakbaad qabool kijiye.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #5 on: June 04, 2013, 01:14:09 AM »
MoHtaram "mohdabrar" ji mujhe ye jaan kar be hadd khushi huie ke aap ne pehli baar ghazal likhne ki koshish ki hai. MaiN aap ki khidmat meN dili mubaarakbaad pesh karta hooN. Aap ke kalaam ko dekha hai to apna farZ samajhta hooN ke waaqei'yyat par guftgoo ho aur inSaaf se kaam liya jaye taa ke iSlaaH ho sake....

Is se inkaar nahiN ke aap meN Achchha likhne ki SalaaHiyyat paaie jaati hai, Magar jab aap kalaam ki kisi khaaS Sinf (ghazal) ki baat karte haiN to aap ko us ke uSool o ZawaabiT ka buniyaadi i'lm hona Zuroori hai. MaiN ye munaasib samajhta hooN ke aap apne kalaam ko kisi mo'tabar shae'r ke saamne pesh kareN taa ke wo aap ki mukammal raahnumaaie kar sake... Bil fe'l na shi, bil quvvat aap meN ghazal likhne ki SalaaHiyyat paaie jaati hai... Ummeed hai ke aap apni koshish jaari rakheNge aur meri baatoN se musbat ma'naa HaaSil kareNge...Allah kare zor e qalam aur ziyadah...(haider)
Logged
mohdabrar
Guest
«Reply #6 on: November 17, 2013, 09:41:46 PM »
pehli ghazal hee jaandaar rahee abrar ji,...rau ke sath bohat c daa,......

Bohot bohot shukriyah...

Duaon ke saath Ijazat,
Abrar.
Logged
mohdabrar
Guest
«Reply #7 on: November 17, 2013, 09:43:05 PM »
bahut bahut khoob.. Usual Smile
Applause Applause
Bohot bohot shukriyah Janaab...

Duaon ke saath Ijazat,
Abrar.
Logged
mohdabrar
Guest
«Reply #8 on: November 17, 2013, 09:44:12 PM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

umda peshkash..dhero daad..happy9

Bohot bohot shukriyah...

Duaon ke saath Ijazat,
Abrar.
Logged
mohdabrar
Guest
«Reply #9 on: November 17, 2013, 09:45:21 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Wah,Wah,Wah Abrar ji,
Pahli ghazal hai aapki.Really Bahut hi achhi koshish hai.Emotion ke lihaaz se behad khoobsurat hai.Dili Mubarakbaad qabool kijiye.

Sudhir sahab, mubarakbaad aur daad ke liye behad shukriyah... Aage bhi saath dete rahe...

Duaon ke saath Ijazat...

Abrar.
Logged
FARE
Guest
«Reply #10 on: November 17, 2013, 09:49:53 PM »
just heart touching ji ...
Logged
mohdabrar
Guest
«Reply #11 on: November 17, 2013, 09:51:23 PM »
MoHtaram "mohdabrar" ji mujhe ye jaan kar be hadd khushi huie ke aap ne pehli baar ghazal likhne ki koshish ki hai. MaiN aap ki khidmat meN dili mubaarakbaad pesh karta hooN. Aap ke kalaam ko dekha hai to apna farZ samajhta hooN ke waaqei'yyat par guftgoo ho aur inSaaf se kaam liya jaye taa ke iSlaaH ho sake....

Is se inkaar nahiN ke aap meN Achchha likhne ki SalaaHiyyat paaie jaati hai, Magar jab aap kalaam ki kisi khaaS Sinf (ghazal) ki baat karte haiN to aap ko us ke uSool o ZawaabiT ka buniyaadi i'lm hona Zuroori hai. MaiN ye munaasib samajhta hooN ke aap apne kalaam ko kisi mo'tabar shae'r ke saamne pesh kareN taa ke wo aap ki mukammal raahnumaaie kar sake... Bil fe'l na shi, bil quvvat aap meN ghazal likhne ki SalaaHiyyat paaie jaati hai... Ummeed hai ke aap apni koshish jaari rakheNge aur meri baatoN se musbat ma'naa HaaSil kareNge...Allah kare zor e qalam aur ziyadah...(haider)

Janaab "Ghulam Haider" sahab, Aap ki daad aur mubarakbaad sar aankhon par. Bohot bohot shuriyah, Kalaam par aane ke liye. yeh meri pehli koshish thi ghazal ki, aur jaise aapne kaha, Salaahiyat hai par samajh nahi hai... Abhi bhi Ghazal ke Usool o Zawaabit samajhne ki koshish mein hoon. In Shaa Allah bohot jald seekh kar mukammal tareeke se fir kuch pesh karunga. Tab tak ke liye Kalaam chalta rahe aur khayal purzor kaagaz par utar te rahenge...

Duaon ke saath Ijazat,
Abrar.
Logged
Saman Firdaus
Guest
«Reply #12 on: November 17, 2013, 10:37:21 PM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Nicee effort, keep writing..
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 10:36:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.155 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer