hum dil ki baat keh denge......

by roshni246 on November 09, 2005, 07:32:05 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 3573 times)
roshni246
Guest
«Reply #15 on: September 26, 2006, 03:55:10 PM »
SHUKRIYA hashit ji
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bhula denge by VIKRANT in Shayri for Khumar -e- Ishq
keh denge by sachin_9810****** in Shayri for Khumar -e- Ishq
~~~Sone nahi denge~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
bhula denge tumko by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
...denge... by dead heart in Shayeri for Dard -e- Bewafai
angel4u
Guest
«Reply #16 on: September 26, 2006, 06:44:27 PM »
hey its wonderful sweetie... baki sab ne bhi bahut hi achha ilkha hia
Logged
roshni246
Guest
«Reply #17 on: September 27, 2006, 05:22:37 AM »
thxxx angel honey...!


zakhm itna hai gehra k wo isse pal mein bhar jane ko kehte hain....
tut chuki hu ab unki bahon bhar jane ko kehte hain...

kaise bhool jaoon wo ansuon se bhari raat tum hi batao...
bewafai bhool kar unhe apnane banane ko kehte hain...

bedard ne kuch istarah mujhe chur chur kardiya...
naam ankhon mein ab wo mushkurane ko kehte hain....

bohot dard  is seeene mein koi isse karar do....
hain wo tanha to use ayi mer yaad...mere naam ki ek mehfil sajane ko kehte hain...

nadaan hai meri chaht ka matlab wo ab tak nahi samje....
khabi apnao to khabi tukrao...mujhe khilona banjane ko kehte hain...

unki khushi k liye humne to kayi kurbaniyan di hain aye dost...
wo hume ek umar bhulane ko kehte hain...

ab tum hi batao kaisa yeh insaaf hua kaisi yeh hai mohobbat...
bhikhar gaye hum unke intezaar mein..tanha ek sadi guzarne ko kehte hain...!


~ROSHNI~
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #18 on: September 27, 2006, 08:14:03 AM »
aaj bhi kahi shamo seher dil m uthti hai kahi chingariya .....
yaad aati hai teri peecha karti hai parchaiya....
fir is bechain dil ko sahara dene k liye kisi ka sahara dhundta hu....
kabhi pooja karta tha mahubbat ki aaj khud akela hu game jaam ka sahra liya karta hu ....
Logged
roshni246
Guest
«Reply #19 on: September 29, 2006, 09:21:12 PM »
aaj phir hume unki kami hai mehsus hui....
yaad unki rulane mein hume phir kamiyab hui...
chahtein hai wo kya hume to yeh tak nahi maloom...
par yeh satane ki adat unki...akhir humari maut ki waje hui...!


~roshni~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #20 on: October 01, 2006, 05:20:09 PM »

Kya Kya Baatein Wo Apni Tehreer Me Likhti Hai,
Ek Nayi Takdeer Meri Takdeer Me Likhti Hai,

Wo Aisi HaMdard Ke Apne Pyar Ke Saare Lafz
Mere Haathonki Lakeer Me Likhti Hai,

Koi Raaz Chhupana Shayad Pasand Nahi Use,
Wo Apna Har Khwab Khuli Tabeer Me Likhti Hai,

Main Uska Ek Man-Chaha Qaidi Hoon Isiliye
NaaM Mera Wo Zulfon Ki Zanjeer Me Likhti Hai,

Bol Uthe Ek Ek Ta'assur Us Ke Chehre Se,
Saari Kahani Wo Apni Tasveer Me Likhti Hia,

Khoob Chehekti Hai Wo Khat Ke Pehle Hisse Mein,
Lekin Dil Ki Sachhi Baat Aakhir Mein Likhti Hai,

Jis Khoobi Se Pehchana Jaye Koi Shakhs,
Qudrat Wo Khoobi Uske Khoon-E-KhaMeer Me Likhti Hai...
* * * * *
Logged
roshni246
Guest
«Reply #21 on: October 01, 2006, 05:25:06 PM »
wow sissss awesome...mein jald hi  jawab dungi
Logged
angel4u
Guest
«Reply #22 on: October 01, 2006, 05:37:17 PM »
Thik hai gudiya jab wakt mile tab jawab dena, love you sweetie...
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #23 on: October 01, 2006, 05:46:51 PM »
Angel

Bahut achche !

Very nice !

Roshu jyada intezaar mat karwana  :wink:

Rajbir
Logged
roshni246
Guest
«Reply #24 on: October 01, 2006, 05:54:33 PM »
lov u sisssssssss :D lo jawab

big bro zyada wait nahi karaya

be-rahem sangdil bewafa hai tu
mujhko afsos hai mera dilbar hai tu

teri khatir hi aaj meri ye halat hai hui
pyaar ke naam se mujhko ab nafrat hai hui
tujh se ab main kya kahun behaya hai tu

mujhko tune kabhi na ek mauqa diya
pyaar ke naam par bas daga hi diya
aaj pachtaye hum ek khata hai tu

hai bahut farq tujh main aur mujh main sanam
baa wafa hu main aur bewafa hai tu

mujhko maloom na tha ye sila ka pyaar hai
main to ye samjhi mushkil main ji yaar ka hai
apna dard bhul ke bhi har dua main hai tu

aisi halat ki jiska ka na koi ilaaj
teri ek bewafai par mar gaye hum to aaj
har sitam pe sitam ek saza hai tu

be-reham sangdil bewafa hai tu
mujhko afsoos hai mera dilbar hai tu


~roshni~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #25 on: October 01, 2006, 05:57:29 PM »
wah wah ekdam lovely hai tumahri tarah...


Ye To Zeest Ka Safar Hai,
Ye Jo Raasta Hai Mera,
TuM Agar Na Saath Doge,
To Ye Kis Tarah Katega,
Meri Soch Ki Hadon Tak,
Ye GuMaan Bhi Kaise Aaye,
Kio Pal Bina TuMhare,
Bhala Kaise Beet Jaye,
Mere Paas TuM Nahi Ho,
Mere Paas Kab Nahi Ho?
Meri Yaad Ke Nagar Mein
Mere Khwaab Ke Safar Mein,
Meri Meri Soch Ki Tahon Tak,
Meri Aankh Ke Bhanwar Mein,
Mere Dil Me Jaan Me Tan Me,
Meri Hasraton Ke Ban Mein,
Mere Dil Ki Tairgee Mein,
Meri Shab Ki Roshni Mein,
Haan TuMhi Ho, Har Jagah Ho,
Mere Paas TuM Nahi Ho,
Mere Paas Kab Nahi Ho?
Meri Har Dua Ka Mehwaar,
Bas Ek Aarzu TuMhari,
Isi Aarzu Se Aagaye
Koi Raasta Nahi Hia,
TuMhe Kis Kadar Hai Chaha
Ye TuMhe Pata Nahi Hai...
* * * * *
Logged
roshni246
Guest
«Reply #26 on: October 01, 2006, 08:19:26 PM »
Har ek muskurahat muskan nahi hoti
Nafrat ho ya mohabbat aasan nahin hoti
Aansu gham ke aur khushi ke ek jaise hote hain
Par uski pehchan aasan nahin hoti...


~roshni~
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #27 on: October 04, 2006, 11:35:52 AM »
wah sahab wah kya likha hai bahut hi umda
Logged
roshni246
Guest
«Reply #28 on: October 04, 2006, 01:29:52 PM »
aahhh shukriya
Logged
Talat
Guest
«Reply #29 on: October 04, 2006, 01:30:33 PM »
Very Nice Angel and Roshu !!!
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 06:12:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer