HUM SAB MILKAR RAHE......

by khwaish on October 21, 2008, 05:23:25 PM
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Author  (Read 4006 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #45 on: October 27, 2008, 07:49:17 PM »
khwaish ji,

aapka ek-ek sher padha-in panno mein....khoob taraashe huey heera ho aap...aapki baaten aapka saral vyaktitv ujaagar kari he...aur mein usi sarlta aur seh-hridayta pur nutmustuk hota aaya hu...sheersh chune pur bhee jinke paav sada dharti pur jame rehte hein..unko dekhkar accha lagta hein..khwaish bhai.in khoobsurat rachnao ke liye meri badhai bhee sweekar kare.

Prateek

Prateekji, Tareef suune waalo se Tareef karne wale zyaada Mahaan Hote hai Aur aaj ke daur mein bahut kam log hote hai, jo kisi ki tareef mein kuch likhe..AAP unnmein se ek ho, jinhone hamesha Mujhe utsaah diyaa hai ki main kuch likh saku...aur sach yeh hai ki,maine jab bhi kuch likha hai, aapke comments ka besabri se intezaar kiya hai...

AAPKA TEH DIL SE DHANYAWAAD KARTA HOON PRATEEKJI AUR AASHA KARTA HOON KI AAP HAMESHA YUHI SAATH DETE RAHENGE...

THANKYOU SO MUCH icon_salut notworthy 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TUMSE MILKAR BHI MAIN ....................... by chiraaaaaaaaag in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
tumse milkar by majid in Shairi - E - Zindagi
EK PRAYAAS - HUM SAB MILKAR KARE by chetanmamtora in Shayeri for Dard -e- Bewafai
aapse milkar ho gaya by rk.yadav in SMS , mobile & JOKES
Aao Milkar Sab Eid Manaayein,. by Azeem Azaad in Occassion Specific Poetry
Pooja
Guest
«Reply #46 on: October 27, 2008, 07:59:32 PM »
celmira ji aur pooja ji,

aap dono ki dumdaar rachnaaye aur upasthithi in paanon ko chaar chaand laga gayi hein...khoob likha he aap sub ne...meri shubhkaamne in rachnao ke prati sweekar kare!

Prateek

bahoot bahoot shukaria Prateek ji!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #47 on: October 31, 2008, 05:39:37 PM »
Thanks Celmira!!

Wah wah wah!!!

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot he acha jawab likha hai celmira apne!!! Good work!!

Thank You Pooja Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #48 on: October 31, 2008, 05:41:00 PM »
Wah! Wah!! Bahut Bahut Khoob Celmira...

"kuch hum haste,
 Kuch Tum Haste,
 Aansu Sookh hi jaate phir"

Bahut Khoob.. Applause Applause Applause Applause


Thank You so much Khwaish  icon_flower
Logged
Talat
Guest
«Reply #49 on: October 31, 2008, 05:42:29 PM »
celmira ji aur pooja ji,

aap dono ki dumdaar rachnaaye aur upasthithi in paanon ko chaar chaand laga gayi hein...khoob likha he aap sub ne...meri shubhkaamne in rachnao ke prati sweekar kare!

Prateek

Bohot bohot shukriya Prateek Ji.....aap humesha hausla badhate hain aur aage likhne ke liye...shabdon ka jaadu hai aapke paas  Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #50 on: February 26, 2009, 06:50:35 PM »
Thode din se, main yeh mehsoos kar raha hoon ki kuch choti-choti baaton se hum sab, aapas mein dilo mein gile-shikwe paal rahe hai, koi yoindia chod jaane ki baat karta hai to koi kuch aur..issi topic se related kuch kehna chahta hoon..aur umeed karta hoon ki Hum Sab Milkar Rahe...


Yeh jo kuch Zakhm Khile hai yaaron,
dard ke Laal-qile hai yaaron...

Dosto mein to koi Dushman Nahi,
Phir kis liye yeh Shikwe-Gile hai yaaron...

Baat Karne Ko Zubaan hai Azaad,
Phir kyon Yeh Honth Sile hai Yaaron...

Mehfil Mein Aate hi, Sab se Bichad jaane ka Darr,
Abhi To Hum Sab Se Mile hai Yaaron....

Sitaare Hamesha Jhilmilate rahe, yehi ussi ki shaan hai
Par aaj Sitaare Aasman Se Kyon Hile hai Yaaron...

Bastiyan Dil Ki Basti Hai Issi Mehfil Mein "KHWAISH"
Varna Iss Duniya Mein  Aur Bahut Si Mehfile hai Yaaron....

Iss Mehfil Ke Panho Ko Palatkar Kabhi Dekhna Zara,
Iss mehfil mein Qaid Yaadon ke Kaafile hai Yaaron...

"KHWAISH" Ki aaj yehi khwaish hai ki,

"KOI NA KUCHLE ISS MEHAKTE PHOOL KO,
 APNE HI PAIRON TALE,
INHE BHI ZINDA REHNE KA HAQ HAI,
 ABHI TO YEH PHOOL KHILE HAI YAARON..."
                  
                   --khwaish--


Issi Soch Par Kuch Likh raha Hoon,Umeed Karta Hoon Aap Sab ko Pasand Aaye...jin logon ne iss mehfil mein aakar jhoote naam se behuda baatein ki hai,unpar bhi kuch likh raha hoon..shayad woh bhi padhe aur Insaaniyat ko Samjhe...

Yeh Jo Aaj Phir Kuch Zakhm Khile Hai Yaaron,
Dard Ke Laal-Khile Hai Yaaron,

Iss Shehar Mein Tufaan Aaya Bhi Tha Aur Chala Bhi Gaya!!
Hum Hi Kyon Aaj Bhi, Apni Jageh Se Hile Hai Yaaron....

Puraani Baaton Ka Gham Liye Naa Jaane Kya Sochte Hai Hum,
Yeh kyon Bhool jaate hai,Chalna Hi Zindagi Hai
Abhi Baaki Aur Bhi Bahut Si Manzile Hai Yaaron....

Bastiyan Dil Ki Basi Hai Jinme,
Chand Sapno Ke Jhile Hai Yaaron....

Kuch Shaks Duniya Mein Aise Bhi hai,
Jinhe  Pyaar-Mohabbat Ki Pehchaan Tak Nahi,
Jo Chalta-Phirta Shaitaan Hai,Insaan Tak Nahi,
Unke Baare Mein Kya Kahen "Khwaish"
Woh Apne Zameer Se Hi Gire Hai Yaaron.....


Aapasi Guftugu se hi Halaat Sudharte Hai,
Par Yahan Honth Se Honth Sile Hai Yaaron.....

Har Insaan Mein Kuch Khoobiyan Hai,
Kuch Saadgi Sachai Hai,
"KHWAISH" Kya Hum Kabhi Hum Se Mile Hai Yaaron....














Logged
Talat
Guest
«Reply #51 on: February 26, 2009, 07:07:35 PM »
Kehne ko bohot kuch hai....par zehan main saare lafz uljhe hue hain.....Aapne humesha ki tarah behtareen likha hai, apni khoobsurat soch ka aks hume dikhaya hai.....Khwaish, Bohot Khoob !




Chingari bhadkane waala to jaane kahan gaya,
Kis kis ke jale haath, mere yaar na poocho

Kaun sacha, kaun jhoota, sab apni jagah sahi
Kis kis ke dukhe jazbaat, mere yaar na poocho
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #52 on: February 26, 2009, 07:22:09 PM »
Kehne ko bohot kuch hai....par zehan main saare lafz uljhe hue hain.....Aapne humesha ki tarah behtareen likha hai, apni khoobsurat soch ka aks hume dikhaya hai.....Khwaish, Bohot Khoob !




Chingari bhadkane waala to jaane kahan gaya,
Kis kis ke jale haath, mere yaar na poocho

Kaun sacha, kaun jhoota, sab apni jagah sahi
Kis kis ke dukhe jazbaat, mere yaar na poocho




Shukriya Izzat-Afzai Ke Liye..Yehi Haal Hai Aaj Apna Bhi...

Daaman Hai Taar-Taar,Mujhe Khuch Na Pucho,
Kya Aayegi Phir Kabhi Bahaar,Mujhe Kuch Na Pucho...

Kis-Kis ne Dil Dhukaya Hai Mere Yaar, Mujhe Kuch Na Pucho,
Kya Hai Mujhe Ab Bhi Waqt Par Aitbaar, Mujhe Kuch Na Pucho...

"Khwaish" Jisne Ruswa Kiya Iss Mehfil ko,
Kya Hai Woh Iss Baat Se Hoshiyaar,
Mujhe Kuch Na Pucho....
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:31:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer