Hum sahil pe they mager doob jaaney ka khatraa rehta thaa

by clicksahil on March 01, 2005, 04:49:25 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 687 times)
clicksahil
Guest
Hum sahil pe they mager doob jaaney ka khatraa rehta thaa.
Woh saath thee mager chor jaaney ka khatraaa rehta thaaa.
Her bahaar ke mausammein phool khiltey hain
Lekin hum jaise log phir kahan milltey hain
Woh mere yaadon ke meley main to rehti thee
Mager us ko bhool jaaney ka khatraa rehta thaa
Woh to shammaa thee meree is zindagi mein
Lekin tez hawaa chalney ka khatraa rehta thaa
Mein us ke liye is duniyan mein zindaa to thaa
Muger mujhe pagal honey ka khatraa rehta thaa
Is kismat ne to sab kuch diya thaa mujh ko
Per logon ke cheenney ka khatraa rehta thaa
Khushi to her di thee main ne us ko
Lekin us ka mere se rooth jaaney ka khatraa rehta thaa.


AAKHIR....MERA KHATRA HAQIQAT BANA  sad5
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Doob Jaatey by Amit Janglan in Shayri for Khumar -e- Ishq
doob jana by aryan_mantri in Shayri-E-Dard
doob jana by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
Strange Sound... Bhoojho toh jaaney by Shikha12 in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 3  All »
~Kitne paas mager sabse dhoor~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
Aryaan
Guest
«Reply #1 on: March 01, 2005, 04:53:10 AM »
Bohat khoob  Sahil....
Logged
clicksahil
Guest
«Reply #2 on: March 01, 2005, 04:58:28 AM »
thanks... aryan....

Bohat dinon se nahin apney darmayaan woh shakhas
Udaas ker ke humein chaldiya kahan woh shakhas
Woh jis ke naqsh-e-qadam se charaagh jaltey thay
Jaley charaagh to khud dhooan ban gayaa woh shakhas
Chupaa liya jisse pat jhar ke zarad paton ne
Abhi talak hai bahaaron pe hukmaraan woh shakhas
Logged
clicksahil
Guest
«Reply #3 on: March 02, 2005, 02:11:59 PM »
shayad aap logo ko pasand aaye....

hathon pey khichi iss lakir kii tarah
lagne laga hai tu meri taqdeer kii tarah
main rah ka chirag hun chalti hai jab hawa
lagti hai aake dil pey mere tir kii tarah
tum mil gaye to ho gayee puri ye aarzoo
goya ke mera khwaab hai taabir ki tarah
ye chand ye sitare ye gunche ye phool
lagte hain sab tumhari he tasweer ki tarah
gaon se door shaher mein aane ke bawajood
yadein hain teri paon mein zanjeer ki tarah
kya baat mujh mein inko nazar aa gayee ke log
padhte hain mere chehre ko tasweer ki tarah
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:34:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer