Hum Yuh Hasse Ke Aankhon Se Aansu Nikal Gaye.....

by khwaish on July 13, 2008, 04:40:59 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2142 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Roshan Karne Chale The Hum Ek Chirag,
Par Haath Jal Gaye,
Hum Yuh Hasse Ke Aankhon Se Aansu Nikal Gaye...

Dikhte Hai Sabse Peeche Yahan, Aaj Woh Log,
Jo Auro Ki Khushi Ke Liye Patharo Ki Raahon Se Bhi Guzar Gaye...

Woh Din Jo Zindagi Mein Guzre Tere Bin,
Kuch Ashk Ban Gaye To Kuch Ghazal Bankar Kalam Par Utar Gaye...

Jab Tera Saath Tha,To Kabhi Ladkadaye Na The Yeh Kadam,
Par Ab Jab Girte Hai to Sukoon Hai Iss Dil Ko,
Ab Hum Tanha Reh kar Bhi Khud Sambhal gaye...

Hai Ishq Jiska Naam, Woh Ek Aisi Aag hai,
Jo Bhi Bhujane Aaye, Woh Khud Bhi Jal Gaye...

Aayegi Kal Bahaar, Issi Ek Aas Mein,
Hum Toote Hue Ghirondo Se Bhi Behal Gaye...

Zindagi Ke Iss Safar Ki Hai Bas Itni Si Dastaan "KHWAISH"
Raaste To Wahi Hai, Sirf Musafir Badal Gaye...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aankhon mein aansu jaate hain by jaswinder singh jassi in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
AANKHON ME AANSU ....... by srikant in Shayri-E-Dard
^Aankhon se nikalte hain mere aansu^ by honeyrose in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Hasse hasse vich by SUNNY MOHALIWAL in Pain in Love : Punjabi poetry
Aankhon Se Aansu Chalke..By SK by Shayaries_King in Shairy-E-Watan
angel4u
Guest
«Reply #1 on: July 14, 2008, 02:42:08 AM »


Woh Din Jo Zindagi Mein Guzre Tere Bin,
Kuch Ashk Ban Gaye To Kuch Ghazal Bankar Kalam Par Utar Gaye...

Jab Tera Saath Tha,To Kabhi Ladkadaye Na The Yeh Kadam,
Par Ab Jab Girte Hai to Sukoon Hai Iss Dil Ko,
Ab Hum Tanha Reh kar Bhi Khud Sambhal gaye...

Zindagi Ke Iss Safar Ki Hai Bas Itni Si Dastaan "KHWAISH"
Raaste To Wahi Hai, Sirf Musafir Badal Gaye...


Loved these lines.
really marvellous.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #2 on: July 14, 2008, 04:28:36 AM »
Roshan Karne Chale The Hum Ek Chirag,
Par Haath Jal Gaye,
Hum Yuh Hasse Ke Aankhon Se Aansu Nikal Gaye...

Dikhte Hai Sabse Peeche Yahan, Aaj Woh Log,
Jo Auro Ki Khushi Ke Liye Patharo Ki Raahon Se Bhi Guzar Gaye...

Woh Din Jo Zindagi Mein Guzre Tere Bin,
Kuch Ashk Ban Gaye To Kuch Ghazal Bankar Kalam Par Utar Gaye...

Jab Tera Saath Tha,To Kabhi Ladkadaye Na The Yeh Kadam,
Par Ab Jab Girte Hai to Sukoon Hai Iss Dil Ko,
Ab Hum Tanha Reh kar Bhi Khud Sambhal gaye...

Hai Ishq Jiska Naam, Woh Ek Aisi Aag hai,
Jo Bhi Bhujane Aaye, Woh Khud Bhi Jal Gaye...

Aayegi Kal Bahaar, Issi Ek Aas Mein,
Hum Toote Hue Ghirondo Se Bhi Behal Gaye...

Zindagi Ke Iss Safar Ki Hai Bas Itni Si Dastaan "KHWAISH"
Raaste To Wahi Hai, Sirf Musafir Badal Gaye...



khwaish jee,

aapki kalam nit nayapan lekar aati he.usi kadi mein aapne ek aur panna jod diya...mubaarak ho.saralta se kehna gehri baaton ko aapse seekhne ko milta he...bahut khoob!

Prateek
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #3 on: July 14, 2008, 05:22:18 AM »
bohut hi achi rachna hai khwaish ji
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #4 on: July 15, 2008, 12:11:02 PM »
Zindagi Ke Iss Safar Ki Hai Bas Itni Si Dastaan "KHWAISH"
Raaste To Wahi Hai, Sirf Musafir Badal Gaye...

Kwaish Ji..aakhari Ye Maktea Se Pataa chalta Hai Muje Ki Puri Nazam Badhiya hogi.Bahot Khoob
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: July 15, 2008, 02:29:54 PM »
Musafiron ka badalna bas roz marra ki baat ho gayi hia,
main hairan hoon ke na jaane meri manzilein kyon kho gayi...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: July 17, 2008, 06:48:53 AM »
Loved these lines.
really marvellous.


thankyou so much angel for appreciating!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: July 17, 2008, 06:51:41 AM »

khwaish jee,

aapki kalam nit nayapan lekar aati he.usi kadi mein aapne ek aur panna jod diya...mubaarak ho.saralta se kehna gehri baaton ko aapse seekhne ko milta he...bahut khoob!

Prateek

bahut bahut shukriya prateekji..aapke replies ne hamesha utsaa diya hai ki kuch aur bhi likhne ki hum koshish kare..bahut bahut shukriya aapka
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: July 17, 2008, 06:52:54 AM »
Zindagi Ke Iss Safar Ki Hai Bas Itni Si Dastaan "KHWAISH"
Raaste To Wahi Hai, Sirf Musafir Badal Gaye...

Kwaish Ji..aakhari Ye Maktea Se Pataa chalta Hai Muje Ki Puri Nazam Badhiya hogi.Bahot Khoob

Bahut Bahut shukriya muhammed saab!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: July 17, 2008, 06:53:52 AM »
bohut hi achi rachna hai khwaish ji

thankyou so much bhawnaji...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: July 17, 2008, 06:56:31 AM »
Musafiron ka badalna bas roz marra ki baat ho gayi hia,
main hairan hoon ke na jaane meri manzilein kyon kho gayi...

do line mein bahut achi baat kahi hai aapne angel..
bahut khoob  Applause Applause
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 12:21:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer