Hume bhool paaoge?????????

by Reema on May 09, 2005, 07:38:29 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 2224 times)
jochahohojayein
Guest
«Reply #15 on: May 12, 2005, 07:57:07 AM »
Quote from: "Reema"
Kuchh kehne ki jasarat kar rahi hu jabke shaayra nahi hu
Aap ke comments ka intezar rahega.................

Har baat me tabassum har baat me ada
in koshisho se humko behla na paaoge......

aazmaaya hai hamesha aur aazmaao ge
ek roz par haqeeqat tum jaan jaaoge........

rokenge raasta mere behte huye aansu
karke nazar andaaz inhe jaa na paaoge......

Pucchenge us se hum bhi ek din aye "REEMA"
kya hum se duur hoke hume bhool paaoge?Huh?Huh???




REEMAJI BAHUT ACCHE!!!

har ajmayeesh se gujarna adat hai hamari
har tufaan se rasta banana shok hai hamara
har manzil ko pana jasba hai hamara
tumhare dil me jagah banana lakshya hai hamara
Logged
Reema
Guest
«Reply #16 on: May 12, 2005, 08:36:54 AM »
Good one........ Jo chaho hojayein

lekin

Ase lakshya na banaiye
jinhe paana ho mushkil
Logged
HumTum
Guest
«Reply #17 on: May 12, 2005, 08:43:26 AM »
Quote from: "Reema"
Good one........ Jo chaho hojayein

lekin

Ase lakshya na banaiye
jinhe paana ho mushkil


Reema ji ....

mushkilo se hi kehtey rhey 'ta umr
ke ban gyi ab to yeh fitrat hamari ..
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #18 on: May 12, 2005, 10:18:56 AM »
Quote from: "Reema"
Woh nigaahe, woh saadgi ab kaha
Mohabbat me wafa ab kaha.........
Log milte hai kuchh palo ki khatir
Dilo me dard chhupa ab kaha.........


good  very good

ab nahi milte woh pahle ki tarh
dekh kar bad muskura dete hain gero ki tarh
kisse karo apni dastan bayan
jo chehra padh lete the
nahi sunte ab labon ki zabaan
Logged
HumTum
Guest
«Reply #19 on: May 12, 2005, 10:47:19 AM »
Quote from: "Reema"
Woh nigaahe, woh saadgi ab kaha
Mohabbat me wafa ab kaha.........
Log milte hai kuchh palo ki khatir
Dilo me dard chhupa ab kaha.........


Reema ji ...

ishq ko jurm samjhtay hain zamaaney waaley
jo yahaan Pyaar karey ga woh saza paaey ga
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #20 on: May 12, 2005, 08:45:43 PM »

aankhoun mein hamari tumhaare sapnay hein
baahoun mein hamari tumhaari baahein hein

itna pyar tumhein kertay hein
ke hotoun pe hamare tumhaare naghme hein

saans leinay ki bhi fursat nahi hamein
ke saansoun mein hamari tumhaari saansein hein

nigaahein jhuka ke kia dekhein kissi ko?
ke nazroun mein hamari tumhare nazaare hein

bina dhadkanoun ke jiyeingay umer bher -
ke dhadkanoun mein hamari tumhaari dhadkanein hein

tum ho tu sab kuch hai, tum nahi tu kuch nahi -
ke zindagi hamari tumhaari zindagani hai…!

Logged
Reema
Guest
«Reply #21 on: June 20, 2005, 08:04:21 AM »
Fakhar jee.......

Very cool............

Thanx for ur views.................
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #22 on: June 20, 2005, 08:50:34 AM »
Quote from: "HumTum"
Quote from: "Reema"
Kuchh kehne ki jasarat kar rahi hu jabke shaayra nahi hu
Aap ke comments ka intezar rahega.................

Har baat me tabassum har baat me ada
in koshisho se humko behla na paaoge......

aazmaaya hai hamesha aur aazmaao ge
ek roz par haqeeqat tum jaan jaaoge........

rokenge raasta mere behte huye aansu
karke nazar andaaz inhe jaa na paaoge......

Pucchenge us se hum bhi ek din aye "REEMA"
kya hum se duur hoke hume bhool paaoge?Huh?Huh???


bahot khoob Reema ji........ kuch Arz hai


b-qarar tanhaeyon ka silsala reh jaay gha
teray meray darmayan Bass ek halaa reh jaay gha
muj ko meray hamsafar aisa safar darpaish hai
rasta kaat bi ghaa tou fasla reh jaay gha ...

HumTum



very nice... reema & HUMTUM................................
Logged
Reema
Guest
«Reply #23 on: June 20, 2005, 09:45:43 AM »
Thanx Khushi....... Welcome to Yoindia.......

Chand apni chandani khone ko hai
Aankhe bhi ab bas rone ko hai
aati hai sadaye yeh nazaro se
bas khatam ab zindagi ka safar hone ko hai
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #24 on: June 20, 2005, 09:50:55 AM »
bahot  khoob...............reema...................navee d.....nice  work..........
Logged
Reema
Guest
«Reply #25 on: June 20, 2005, 01:25:13 PM »
Shukriya Waheed ji.......

Buunde gire gi aur tadpayegi hume
ab ke baarish bahut rulayegi hume

Ghataye chhaye gi kaali kaali
aur beete huye din yaad dilaaygi hume

Tan pe giregi tip tip REEMA
aur apni agan se jalaygi hume
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #26 on: April 08, 2009, 02:28:28 PM »
Good Thread,.
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:51:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer