ilzaam

by mnajmi on August 19, 2004, 12:08:47 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2989 times)
mnajmi
Guest
Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai .......
   Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi
   tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai .....
Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi
teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai ....
   Dekh kar log mujhe naam tera lete hain
   is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai .....
Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "najmi"
shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ilzaam by neerajB in Shayri-E-Dard
ilzaam by mani_unique in Shayri for Khumar -e- Ishq
****Ilzaam**** by Style_guru in Shayri-E-Dard
~~~Ilzaam~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
Bewafai ka Ilzaam diya hai by jannatjahan in Shayri-E-Dard
Deewana29
Guest
«Reply #1 on: August 19, 2004, 12:38:17 PM »
kyon dil mein koi armaan nahi
duniya itni veeran nahi
har taraf ujaale hai phir bhi
tere saath koi saaya hi nahi
koi bhi 'Deewana' tera ho sakta hai
kabhi tune apnaya hi nahi..
Logged
Deewana29
Guest
«Reply #2 on: August 19, 2004, 12:39:08 PM »
yaad mein teri aahein bharta hai koi,
har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi,
maut sach hai, ek roz again hai,
liken teri Judaic mein har roz marta hai koi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: August 19, 2004, 02:53:44 PM »
bahoot khoon mnajmi and Deewana.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: August 20, 2004, 06:39:13 AM »
Dil Main Mere Khayaal Aaye To,
Baat Unki Zubaa.N Pe Aati Hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: August 20, 2004, 07:39:54 PM »
bahoot khooob kaha

yaad uski aaye to, khayal dil mai atty hai
khayal dil mai jo atty hai,
wo khud b khud shair ban jaty hai
Logged
Deewana29
Guest
«Reply #6 on: August 22, 2004, 09:26:05 PM »
Quote from: "Pooja"
yaad uski aaye to, khayal ban dil mein atty hai
khayal dil mai jo atte hai, wo khud b khud shair ban jate hai,
Sher ban jaye jo aansu ban beh jaty hai

bahut khoob janab
Tum badle, jahan badla, badli nazar zamane ki
Yeh Aansu char baqi rah gaye, nishani dil lagane ki
Logged
mateen govindvi
Guest
«Reply #7 on: August 23, 2004, 06:01:55 AM »
apne in aansuo ko sambhal kar rakhna, kahani abhi baki hai
bahut gum hain aage is duniya main, jawani abhi baaki hai
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #8 on: August 23, 2004, 06:32:41 AM »
good pooja.............mateen and deewana.........
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: August 23, 2004, 06:33:09 AM »
Itne Barson Baad Mile Hain Kya Nazron Se Baat Karein,
Kuch Tum Apna Haal Sunao Kuch Hum Apni Baat Karein.
Logged
nishita
Guest
«Reply #10 on: August 23, 2004, 07:53:57 AM »
good work all..
Logged
mnajmi
Guest
«Reply #11 on: August 23, 2004, 11:03:56 AM »
kya haal sunaye aapko hamari
shayeri aapki dil ko shu gayi hamari
Logged
sanju
Guest
«Reply #12 on: August 23, 2004, 11:56:26 AM »
dil se tum yun rulaya na karo,
lahu banke ankhon se baha na karo,
bhul nahi pate hum tumhari bewafai ko,
aake hamari yadon mein sataya na karo...
Logged
sarafz
Guest
«Reply #13 on: August 23, 2004, 12:31:58 PM »
Dost kabhi doston se khafa nahi hote,
Dil milke kabhi juda nahi hote,
Bhula dena meri kamiyo ko ,
Kyunki insaan kabhi khuda nahi hote.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: August 23, 2004, 03:06:26 PM »
Bahoot khoob all, nice work
Sarafz sahi likha apne insaan kabhi khuda nahi hoty<<<<

latka howa hoon apnain badan ki saleeeb par
Esa tery janoon ki saza ho gya hoon main
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:36:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer