intezar ke haalaat par… Intezar !

by Intezar on October 10, 2010, 10:10:59 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2906 times)
Intezar
Guest

Main tujhe bhula dunga itna mushkil bhi nahin hai
Magar ye kaise keh du ki  phir se tu yaad na aayega… !

Main rakhta gaya wo har gulaab kitaabon mein kahin
Jo dena chaaha tujhe maine  teri  har mulakaat par….
Wo khat bhi hai rakhe yaha banke tere pyaar ki nishaani
Jaagta  raha hun  jinhe likhne ke liye main raat raat bhar,

Aaj kholi kitaab to teri khushbu se zarra zarra mehek utha
Lafz sunaayi dene lage jo likhe the maine tere liye kabhi…
Kya karu is amaanat ka jo bacha kar rakha hai ab tak tere liye
Ab kya karu un khwabo ka jo sazaye the maine tere liye kabhi,

Ab bhi yaad hai mujhe wo tumhaari shokhiyaan aur wo ada,
Kis tarah itraaya karte the likh kar naam mera apne haath par
Ab aur kya du tujhe misaal-e-mohabbat bata meri aarzoo
Aaj to Khaak bhi ho gayaa  main mit kar teri ek muraad par,

Kabhi fursat mile agar is duniya ke Fuzool Kaamo.n se tujhe
To Kabhi  dil se gaur karna  tere “ Intezar “ ke Haalaat par… !

Shukriya
Intezar !
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
INTEZAR by Neelam in Shayri for Khumar -e- Ishq
intezar....................... by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
kiske Intezar me usne chiraag jalaaye bujhaaye... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
unke intezar mein... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard
Intezar me jaana... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard
haan
Guest
«Reply #1 on: October 13, 2010, 07:39:33 PM »

Main tujhe bhula dunga itna mushkil bhi nahin hai
Magar ye kaise keh du ki  phir se tu yaad na aayega… !

Main rakhta gaya wo har gulaab kitaabon mein kahin
Jo dena chaaha tujhe maine  teri  har mulakaat par….
Wo khat bhi hai rakhe yaha banke tere pyaar ki nishaani
Jaagta  raha hun  jinhe likhne ke liye main raat raat bhar,

Aaj kholi kitaab to teri khushbu se zarra zarra mehek utha
Lafz sunaayi dene lage jo likhe the maine tere liye kabhi…
Kya karu is amaanat ka jo bacha kar rakha hai ab tak tere liye
Ab kya karu un khwabo ka jo sazaye the maine tere liye kabhi,

Ab bhi yaad hai mujhe wo tumhaari shokhiyaan aur wo ada,
Kis tarah itraaya karte the likh kar naam mera apne haath par
Ab aur kya du tujhe misaal-e-mohabbat bata meri aarzoo
Aaj to Khaak bhi ho gayaa  main mit kar teri ek muraad par,

Kabhi fursat mile agar is duniya ke Fuzool Kaamo.n se tujhe
To Kabhi  dil se gaur karna  tere “ Intezar “ ke Haalaat par… !

Shukriya
Intezar !

Logged
haan
Guest
«Reply #2 on: October 13, 2010, 07:40:15 PM »

«Reply #3 on: October 13, 2010, 07:40:55 PM »

*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #4 on: October 15, 2010, 10:12:12 AM »
behad khubsurat gazal intezaar ji...
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
padhte padhte bs kho gai...kuch likhti chali gai jawab me..
aap jaisa achcha reply to nahin bana pai par koshish ki hai...

Main tujhe bhula dunga itna mushkil bhi nahin hai
Magar ye kaise keh du ki  phir se tu yaad na aayega… !

Bhula dena chahega jis pal tu mujhe ee sanam
Usi pal hum tere jehan se hamesha ko mit jayenge…!

Main rakhta gaya wo har gulaab kitaabon mein kahin
Jo dena chaaha tujhe maine  teri  har mulakaat par….
Wo khat bhi hai rakhe yaha banke tere pyaar ki nishaani
Jaagta  raha hun  jinhe likhne ke liye main raat raat bhar,

Socha karti thi k har bar jab tum mujhse milne aaoge
Deke ek laal gulaab tum mujhse hale dil keh jaoge
Na de sake mere saamne gar tum pyaar ka paigaam apna
To khushbu bhare khat meri kitaab me rakh jaoge

Aaj kholi kitaab to teri khushbu se zarra zarra mehek utha
Lafz sunaayi dene lage jo likhe the maine tere liye kabhi…
Kya karu is amaanat ka jo bacha kar rakha hai ab tak tere liye
Ab kya karu un khwabo ka jo sazaye the maine tere liye kabhi,

Aaj kholi jab kitaab yaadon ki jisme tere khat k intezar k din likhe the
Kasak si uth gai dil me mere sochke k inn panno ko tere hath chhue the
Laga liya seene se uss mahekti kitaab ko jisme tere seene ki mahek basi thi
Sochti reh gai kaise main khud ko iss sab se kya dur kar paungi kabhi

Ab bhi yaad hai mujhe wo tumhaari shokhiyaan aur wo ada,
Kis tarah itraaya karte the likh kar naam mera apne haath par
Ab aur kya du tujhe misaal-e-mohabbat bata meri aarzoo
Aaj to Khaak bhi ho gayaa  main mit kar teri ek muraad par,

Haan mujhe bhi yaad hai aaj tak wo der der se aana mera
Ghanto canteen me baithke chai k cup pite rehna tera
Meri khatir din raat tadapna machalna duaein karma
Lekin fir bhi apni mahobbat ka izhaar na kar paana

Kabhi fursat mile agar is duniya ke Fuzool Kaamo.n se tujhe
To Kabhi  dil se gaur karna  tere “ Intezar “ ke Haalaat par… !

Kaash k keh dete tum samay rehte apne dil ki baat mujhe
Aaj iss tarah ye intezaar ki kasak dil me na chubh rahi hotti
Main ban gai hoti teri iss duniya k saamne sanam
Iss tarah  janaze k ruup me meri dooli na saji hoti…!!!
Logged
Intezar
Guest
«Reply #5 on: October 15, 2010, 11:01:50 AM »
kasak ji aapne jawab to achha hi  likha hai har baar ki tarah... lekin aakhri lines ne dil loot liya yaar...

Intezar

behad khubsurat gazal intezaar ji...
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
padhte padhte bs kho gai...kuch likhti chali gai jawab me..
aap jaisa achcha reply to nahin bana pai par koshish ki hai...

Kabhi fursat mile agar is duniya ke Fuzool Kaamo.n se tujhe
To Kabhi  dil se gaur karna  tere “ Intezar “ ke Haalaat par… !

Kaash k keh dete tum samay rehte apne dil ki baat mujhe
Aaj iss tarah ye intezaar ki kasak dil me na chubh rahi hotti
Main ban gai hoti teri iss duniya k saamne sanam
Iss tarah  janaze k ruup me meri dooli na saji hoti…!!!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:25:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer