Intezar me jaana... Intezar !

by Intezar on August 19, 2012, 03:52:02 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1302 times)
Intezar
Guest


Bewajah ye tukde palko se na uthaao
Gehre zakhmo par koi marham na lagao

Naasoor huye jaate hain dard ke pehre
So chuke hai jo gham unhe ab na jagaao

sab raaj to nihaan hai maut ke daaman me
zindagi ke chehre se fizul parde na uthao

khushk hontho par siskiyan jo hai baaki
to rukh se ashko ke nishan bhi na mitaao

ek muddat gujaari hai karwatien badal kar
ab is aakhri raat mujhe pehlu me na bulaao

Phir sanse rawaN na ho jaye Intezar me jaana
Mere janaaze ko tum apne haatho se na sajaao !


Shukriya
Intezar !



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
raha intezar tera Intezar ! by Intezar in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
kiske Intezar me usne chiraag jalaaye bujhaaye... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
unke intezar mein... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard
agar nahin intezar kisi ka... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
mita jaao jaana... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard
veenavarsha
Guest
«Reply #1 on: August 19, 2012, 04:53:54 PM »
hawa ko chalna kon sikhaye
pyaar me na  bahkana kon samjaye
dard aur pyaar ka gahra rista
nazrana  intezar ka
honi ki is lila se kon bac paye
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #2 on: August 19, 2012, 06:24:35 PM »


Bewajah ye tukde palko se na uthaao
Gehre zakhmo par koi marham na lagao

Naasoor huye jaate hain dard ke pehre
So chuke hai jo gham unhe ab na jagaao

sab raaj to nihaan hai maut ke daaman me
zindagi ke chehre se fizul parde na uthao

khushk hontho par siskiyan jo hai baaki
to rukh se ashko ke nishan bhi na mitaao

ek muddat gujaari hai karwatien badal kar
ab is aakhri raat mujhe pehlu me na bulaao

Phir sanse rawaN na ho jaye Intezar me jaana
Mere janaaze ko tum apne haatho se na sajaao !


Shukriya
Intezar !




naaaaaaaaaaaaaice
Logged
nirala
Guest
«Reply #3 on: August 19, 2012, 07:48:11 PM »
waah waah
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: August 20, 2012, 12:37:29 AM »
bahut khoob
Logged
soudagar
Guest
«Reply #5 on: August 20, 2012, 02:40:54 AM »
bahut khub bahut badhiya intzar ji bahut hi lajwab raha aapka qalaam

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #6 on: August 20, 2012, 04:07:34 AM »


Bewajah ye tukde palko se na uthaao
Gehre zakhmo par koi marham na lagao

Naasoor huye jaate hain dard ke pehre
So chuke hai jo gham unhe ab na jagaao

sab raaj to nihaan hai maut ke daaman me
zindagi ke chehre se fizul parde na uthao

khushk hontho par siskiyan jo hai baaki
to rukh se ashko ke nishan bhi na mitaao

ek muddat gujaari hai karwatien badal kar
ab is aakhri raat mujhe pehlu me na bulaao

Phir sanse rawaN na ho jaye Intezar me jaana
Mere janaaze ko tum apne haatho se na sajaao !


Shukriya
Intezar !



Waah waah bahut umda kalaam Intezar ji dheron daad aur mubarakbaad qabool kariye.....Applause Applause
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: August 20, 2012, 11:58:35 AM »
Behad umda kalaam.
bahut hi gahraai aur sanjeedgi liye hue..
dili mubarakbaad kubool kare.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #8 on: August 20, 2012, 07:21:36 PM »
Sitab Sahaab Aadaab O As salaam walekum!


Awwal toH aapko Eid ki bahut bahut mubbarakbad janab...
Allaah hum par aur aap par rahmatoN ka saaya banaaye rakhe... Usual Smile

Badi hi khoob kalaam kahi hai janab... dilshaad kar diyaa ...
behad khoob aur behad achche ashaar piroye haiN...

gazab ke khayaal aur umdaa shayari ka muzaheraa kiya hai janab...
Humari dheroN dili daad is khoob kalaam par... Usual Smile

Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez.... Usual Smile                   





Bewajah ye tukde palko se na uthaao
Gehre zakhmo par koi marham na lagao

kia baat hai janab matla toH behad khoob kaha
daad daad daad... Usual Smile                   


Naasoor huye jaate hain dard ke pehre
So chuke hai jo gham unhe ab na jagaao

WaaH waaH kia kahne janab bahut khoob daad...                   

sab raajraaz to nihaan hai maut ke daaman me
zindagi ke chehre se fizul parde na uthao

Waah kia kahne Sitab Bhai .. gazab ka khayaal hai
behad umdaa... ise kahte haiN shayri janab behad khoob ..
HazaaroN daad is khoob sher par... Usual Smile                   


khushk hontho par siskiyan jo hai baaki
to rukh se ashko ke nishan bhi na mitaao

Bahut khoob janab...                   

ek muddat gujaariguZaari
 hai karwatien badal kar
ab is aakhri raat mujhe pehlu me na bulaao

Bahut Khoob janab...                   

Phir sanse rawaN na ho jaye Intezar me jaana
Mere janaaze ko tum apne haatho se na sajaao !

Waah waah waah kia kahne janab, bahut umdaa maqta
hai behad khoob bahut umda daad daad daad... 
                   


Shukriya
Intezar !



Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:10:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer