>> INTZAAR KE AANSU <<

by Jiya on August 01, 2009, 02:52:35 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 994 times)
Jiya
Guest
      >> INTZAAR KE AANSU <<


Kyun aaye Laut kar hamari Zindagi mein
Aur aaye bhi to Gairon ki tarah aaye,
Chheen liye sab Khwab humaare humse
Jo Intzaar mein tumhaare in Palko ne the Sajaaye.

Yun Ruk si gayi hai Zindagi do Raho par
Ki ab hum Jaaye bhi to kahaan Jaaye,
Intzaar kare ya na kare ab Tumhaara
Ya Chal de wahaan jahaan ye Rahen le jaayen.

jab dekha Peheli baar; ye Palken utha ke Tumko
Laga ke Kaash !! ye Waqt yahin tham jaaye,
Par tum is-kadar Badal chuke ho Sanam
Ki ab lagta hai; tum Vapas laut ke hi Kyun aaye.

Ek Nazar bhar Dekha bhi nahin hume tumne
Apne hi the na tum; kaise ho gaye Paraaye,
Aaj baithe Beete Waqt ko Yaad karne to
Na jane Kyun; in Aankho mein Aansu Bhar aaye.



************************* Jiya ...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
intzaar by kaushikbhawna008 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Intzaar by Sammual in Shayri for Dard -e- Judai
~~~intzaar~~~ by Sammual in Shayri for Dard -e- Judai
INTZAAR.... by Farah Aziz in Shayri for Khumar -e- Ishq
AAP KA INTZAAR HAI by RNS in Shayri for Khumar -e- Ishq
_Vicky_
Guest
«Reply #1 on: August 02, 2009, 08:41:44 AM »
Bahut accha Likha Hai Sis.. Bahut Khooooooob. Applause



**~** Mann **~**
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: August 02, 2009, 11:50:49 AM »
Bahut khoob Jiya ji,very beautiful creation. icon_thumleft Applause Applause :clap:excellent
Logged
Jiya
Guest
«Reply #3 on: August 11, 2009, 02:38:01 PM »
thanks bhai,, Usual Smile and thanks a lot Madhuwesh ji,,, Usual Smile

sorry for late reply Usual Smile
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #4 on: August 14, 2009, 02:27:49 PM »
Waah Jiya kya baat hai.. Bahoot Bahoot Khoob likha hai ..
Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #5 on: August 14, 2009, 05:20:12 PM »
Jiyaa jee:

namaste!

dard se chhalakti hu'ii aapki yeh teHreer baRii umdaah rahee1 yeh aSh'aar dil ke Qareeb se raheN

Quote
Par tum is-kadar Badal chuke ho Sanam
Ki ab lagta hai; tum Vapas laut ke hi Kyun aaye

yuuNhi liKhate raheN.. daad!

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: August 14, 2009, 05:28:33 PM »
Jiya itna dard... ek ek line gahre dard main doobi hui... bahot ache se bayan kiya hai apne is dard ko!!! Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: August 15, 2009, 06:51:05 PM »
      >> INTZAAR KE AANSU <<


Kyun aaye Laut kar hamari Zindagi mein
Aur aaye bhi to Gairon ki tarah aaye,
Chheen liye sab Khwab humaare humse
Jo Intzaar mein tumhaare in Palko ne the Sajaaye.

Yun Ruk si gayi hai Zindagi do Raho par
Ki ab hum Jaaye bhi to kahaan Jaaye,
Intzaar kare ya na kare ab Tumhaara
Ya Chal de wahaan jahaan ye Rahen le jaayen.

jab dekha Peheli baar; ye Palken utha ke Tumko
Laga ke Kaash !! ye Waqt yahin tham jaaye,
Par tum is-kadar Badal chuke ho Sanam
Ki ab lagta hai; tum Vapas laut ke hi Kyun aaye.

Ek Nazar bhar Dekha bhi nahin hume tumne
Apne hi the na tum; kaise ho gaye Paraaye,
Aaj baithe Beete Waqt ko Yaad karne to
Na jane Kyun; in Aankho mein Aansu Bhar aaye.



************************* Jiya ...

Bohot Khoob Jiya   Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #8 on: August 15, 2009, 06:52:35 PM »
wah wah bahut hi khoob jia

jasbir singh
Logged
Jiya
Guest
«Reply #9 on: August 17, 2009, 04:33:45 PM »
ohh Thanks a Lot Sophi ji, Dhaval ji, Pooja di, Celmira ji And Jasbir shingh ji,,,,,  Usual Smile,,,
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: August 17, 2009, 11:59:31 PM »
very nice.......................
Logged
Jiya
Guest
«Reply #11 on: August 19, 2009, 05:41:08 PM »
thanks Aaina ji.... Usual Smile
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:49:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.239 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer