Sajid_Ghayel
Guest
|
Q nahi tu koi gila karta Is tarah bhi koi judaa karta
Yaad aata isi bahaane se Mere marne ki tu duaa karta
Gair mumkin thi bewafaiee bhi Tu zara sa jo hauslaa karta
Tootta na kabhi yeh dil mera Khud ko jo main bevafaa karta
Uski halet pe kya hasey koi Apni halet pe jo hasaa karta
Itna soche kaza ke baare me Bhool bhaitha q main jeeyaa karta
Kaun Ghayel nahi hai mehfil me Kaun zakhmo ko na seeya karta
Sajid Ghayel
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
Rau: 19
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle
Posts: 5603 Member Since: Jun 2010
|
|
«Reply #1 on: February 02, 2011, 06:05:39 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sajid_Ghayel
Guest
|
|
«Reply #2 on: February 02, 2011, 06:08:27 AM » |
|
Bohat bohat jaldi padha hai aapne yeh kalam Kasak........isey likhne me mujhe 20 din lage hai.
Woh Ghazal suni hai "Tumko dekha to yeh khayaal aaya.....zindagi dhoop tum ghana saya" isey doba usi tarz par padho har sher ko apne andar mehsoos karo usey samjho usme jeeyo.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
Rau: 19
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle
Posts: 5603 Member Since: Jun 2010
|
|
«Reply #3 on: February 02, 2011, 06:24:04 AM » |
|
aahhhaaaaaaaa.aisi baat nahin hai sajid ji....hum ise pehle aapki notes me padh chuke hain isly bas padhte hi reply kar diye...... par ab iss tune me padhkar dekhte hain k hum gunguna paate hain ki nahin.....har sher ko samjha hai aapke aur use mehsus bhi kiya hai...kuch shayar hain YO me jinka likha sirf padha nahin jata mujhse ..mehsus kiya jata hai...unn shabdon ko unn ehsaason ko jo unn shabdon me chhupe hain..aur har bar padhne pe ek naya ehsaas samjh aata hai....aap unme se ek hain ji.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sajid_Ghayel
Guest
|
|
«Reply #4 on: February 02, 2011, 06:35:17 AM » |
|
I am sorry Kasak jee mujhe is baat ka zara Ilm nahi tha ke aap yeh kalam padh chuki hai.......waise aapne jo izzat bakshi hai main uske kabil to nahi bas aap dosto ne sar chadha rakha hai hahahaha.
Aap poetic petrol ban gayee dekhkar bohat khushi hui.........jis tarah se aap Yoindia ko apna samay deti hai members se rishta banaye rakhti u really deserve this honour.
May Allah bless u. AAMEEN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
AbhiTamrakar
Guest
|
|
«Reply #5 on: February 02, 2011, 06:36:32 AM » |
|
ahaa ahaha ahaaaaa
ghayel kar diya us ki ek nazar ne hi zaalim hame sharab pee kar kal tak jo maykhane khali karte rahe~
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nirala
Guest
|
|
«Reply #6 on: February 02, 2011, 07:29:12 AM » |
|
Ghayal ji-- aapke to hum bahut bade fan hai ji. aapka har kalaam Hatke hota hai aur aapki shayri me jo Mishaale hoti hain wo to shad aur kisi ke paas nahi. kuch sochne par aur baar bar padhne ko majbur krta hai aapki shayri. iss behtareen post ke liye Bentahan daad. bas kuch jada waqt dia kariye janaab. " thanx "
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
Rau: 4
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:53 days, 9 hours and 51 minutes.
Posts: 3738 Member Since: Oct 2005
|
|
«Reply #8 on: February 02, 2011, 12:04:53 PM » |
|
pahla ahsar kai baar padha...itni gahri baat ko yun aasani se kah dena.....bhai tere alawa kisi aur ke bas ki baat nahi......."ghayel marka" gahzal shuru se aakhir tak......aur han gungunane me bhi maza aaya.......youtube pe bhi laga do ise apni aawaz me...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|
sbechain
Guest
|
|
«Reply #11 on: February 02, 2011, 12:59:40 PM » |
|
Q nahi tu koi gila karta Is tarah bhi koi judaa karta
Yaad aata isi bahaane se Mere marne ki tu duaa karta
Gair mumkin thi bewafaiee bhi Tu zara sa jo hauslaa karta
Tootta na kabhi yeh dil mera Khud ko jo main bevafaa karta
Uski halet pe kya hasey koi Apni halet pe jo hasaa karta
Itna soche kaza ke baare me Bhool bhaitha q main jeeyaa karta
Kaun Ghayel nahi hai mehfil me Kaun zakhmo ko na seeya karta
Sajid Ghayel bahut bahut khoob sajid sahab
|
|
|
Logged
|
|
|
|
dead heart
Guest
|
|
«Reply #12 on: February 02, 2011, 01:44:44 PM » |
|
Q nahi tu koi gila karta Is tarah bhi koi judaa karta
Yaad aata isi bahaane se Mere marne ki tu duaa karta
Gair mumkin thi bewafaiee bhi Tu zara sa jo hauslaa karta
Tootta na kabhi yeh dil mera Khud ko jo main bevafaa karta
Uski halet pe kya hasey koi Apni halet pe jo hasaa karta
Itna soche kaza ke baare me Bhool bhaitha q main jeeyaa karta
Kaun Ghayel nahi hai mehfil me Kaun zakhmo ko na seeya karta
Sajid Ghayel Mere dil main ek izzat hai Ghayel kay liye.. bahaut bahaut khoob mere bhai.. Bahaut gehre aur ache jazbaat.. Bahaut khoob.. Tu iss mehfil main Ghayel ek darja hai, Kash mujsa nadan tujse kuch seekha karta..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rishi Agarwal
Guest
|
|
«Reply #13 on: February 05, 2011, 02:37:09 PM » |
|
Bahut Khub Sajid JI
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|