Is Zindagi ko Nibhau Kaise

by Pooja on April 16, 2006, 07:53:32 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 27
Print
Author  (Read 21567 times)
Pooja
Guest
tarpata hai dil, dil ko samjhau kaise
jo khel khalty hai zindagi usko nibhau kaise

waqat ke hatho, maat khati rahi hu main
phir bhi na badali, khud ko samjhau kaise

dil mai dard, dard mai jakham hai lakho
her jakham, tumko dikhau kaise

Pooja ajj ro bhi nahi sakty, kaise kahe kuch
marna chahti hai, is zindagi ko nibhaau kaise
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zindagi kaise bitayi humne by nikki in Shairi - E - Zindagi
KAISE KAATOGEE ZINDAGI HUMARE BINA by pandit in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2 3  All »
Pooja
Guest
«Reply #1 on: April 16, 2006, 03:06:19 PM »
bahoot khoob majid!!!

khone ka ahsaas hus uske jaane baad
Tanhaai kaya hoty hai, jana uske jaane ke baad
eaha wo samne, aor main chup dekhati rahi
chikhata hai ab dil, uske jaane ke baad
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: April 16, 2006, 03:21:56 PM »
Bohat khoob Pooja.... Good One Majid...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: April 16, 2006, 03:28:55 PM »
Bahoot ache Pooja Ji And Majid Bhai,..

Jaan Jaate Tum Agar Khone Ka Ehsaaas,..
To Kaise Pata Chalta Tumko Mazaa Dard Ka,..
Ye Bhi Shayad Tumhare Kismat Ki Lakeeron Mein Hoga,..
Warna Tum Aaj Khushi Ki Kadar Na Karte,..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: April 16, 2006, 03:57:28 PM »
Thanks Aryaan......Good JSheen
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #5 on: April 16, 2006, 04:36:32 PM »
wonderful  Pooja sis....  Jansheen.........Majid....

Har  din   naya  jakham milta  hai  mujhe
main apne ghum ko  ginaon kaise
har subah ko hum jakhmon ko bharte hain
jab jakham nasoor ban jaaye to usko chupaon kaise ..........
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #6 on: April 16, 2006, 04:43:02 PM »
Pooja, Majid, Azeem, Waheed

Sab ne bahut achcha likha hai !

Rajbir
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: April 17, 2006, 10:12:09 AM »
Shukriya Pooja Ji,.Majid Bhai And Waheed Bhai,..

Aaj Pachta Rahe Hain Wo Mujhe Khone Ke Baad,..
Koi Kehde Unhe Ke Gaya Hua Insan Aur Waqt Wapas Nahi Aata,..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: April 17, 2006, 02:47:14 PM »
aise hi dil bahal jaaye to acha
jakhmo ko kuredna nahi acha
tum bhi na kuch kaho, hum bhi na kuch kahe
yah milan bhi chup hi nikal jaaye to acha!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #9 on: April 17, 2006, 02:55:24 PM »
Bahut khoob Pooja ji and Majid bhai......

Milan ki ghadi aayi hai toh Chup hum rahe kaise.....
Tum hee batao iss Dil-e-Nadaan ko me manaon kaise.....

Chalti chalo tum bhi thaam ke haath mera.....
Tumhare bina Dard-o-Gum ka samna me karoon kaise......

Na jao mujhe chor ke iss kadar ki Maut bhi naseeb na ho.....
Nakaam mahobbat ki Daastaan iss Dunia ko mein bataon kaise.....

Dekh ke tumhe kisi aur ki bahon me.....
Apna Dil me khud hee jalaon kaise........!!!!!!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: April 17, 2006, 02:59:40 PM »
WAH KAYA BAAT HAI!!!Bahoot khoob BS ji!!! bahoot khoob!!

Sirf shikwe hai shikayty hai dilo main
kaya kahen kuch toote armaan hai is dil mai

Kahegy kuch bhi to sab bikhar jayega
Mud ka na milegy, waqat hath se nikal jayega

sametna chahti hu kuch yaandein umar bhar ke liye
dar hai sawal jawab mai, yandon ka AKS bikhar jayega!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #11 on: April 17, 2006, 03:06:30 PM »
Quote from: "Pooja"
WAH KAYA BAAT HAI!!!Bahoot khoob BS ji!!! bahoot khoob!!

Sirf shikwe hai shikayty hai dilo main
kaya kahen kuch toote armaan hai is dil mai

Kahegy kuch bhi to sab bikhar jayega
Mud ka na milegy, waqat hath se nikal jayega

sametna chahti hu kuch yaandein umar bhar ke liye
dar hai sawal jawab mai, yandon ka AKS bikhar jayega!!!


Shukriya Pooja ji aapne bhi koi kami nahi chori.....Lazawaab likha hai...

Aks tumhara mere harr Sawaal me nazar ayega.....
Mudke dekhoge jab bhi Jawaab me......
Tumhe yeh Shayar har Raah pe khada nazar ayega.....

Waqt ko thaam lunga main apni mutthi mein.....
Aa jao meri Jindagi me kasam se.....
Yeh Aashiq tumhe Dil-O-Jaan se chahega.....

Tum na rahi toh hum na honge yahan.....
Bas ek kitaab ke panne par Humara Naam Gum Jayega........!!!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: April 17, 2006, 03:15:20 PM »
Wah kaya baat hai, Socha tha ajj bas ek do jagah likh kar chal doogi, apne to hume apni shayri se rok hi liya!!!

Mana mera AKS hai teri hi raho mai’
Mere her sawal ka jawab hai, teri nigaho mai

Najar magar muje aor bhi bahoot kuch atta hai
Aise hi to rasta nahi badla jaata hai

Waqat kab thama hai, jo ajj tham jayega
Yah bhi ek waqat hai, jo waqat ke sath nikal jayega

Naam sada rahega is dil ki kitab mai tumhara
Tera yah naam, mera AKS ban kar jiye jayega!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #13 on: April 17, 2006, 03:25:00 PM »
Quote from: "Pooja"
Wah kaya baat hai, Socha tha ajj bas ek do jagah likh kar chal doogi, apne to hume apni shayri se rok hi liya!!!

Mana mera AKS hai teri hi raho mai’
Mere her sawal ka jawab hai, teri nigaho mai

Najar magar muje aor bhi bahoot kuch atta hai
Aise hi to rasta nahi badla jaata hai

Waqat kab thama hai, jo ajj tham jayega
Yah bhi ek waqat hai, jo waqat ke sath nikal jayega

Naam sada rahega is dil ki kitab mai tumhara
Tera yah naam, mera AKS ban kar jiye jayega!!!!


Bahut accha likha Pooja ji......

Waqt rukta nahi roka jata hai.....
Dil ke daaman me apne hume bhi kisi ka Aks nazar ata hai.....

Tum bhi dekho jara Nazre utha ke.....
Harr Dil fasane hamari mahobbat ke gata hai.....

Aur na tadpao hamari Rooh ko.....
Chali jaati ho yunhi saamne se mere.....
Aur iss Gareeb ka Dil Aahein bharta reh jaata hai......!!!!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: April 17, 2006, 03:38:54 PM »
Wah!! Bahoot acha likhty hai app BS JI!!! Good one Majid ji!!!

Mana ki honslla buland hai tera
Magar rasata ek nahi tera mera

Dil ke daman mai sirf tera hi naam najar atta hai
Magar zindagi ka afsaana, kuch aor hi gun-gunaata hai

Tadpan kar roo meri bhi rah jaati hai
Is dil ki payaas, siskiyion se bhi bujh nahi paati hai!!
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 10:22:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer