Is Zindagi ko Nibhau Kaise

by Pooja on April 16, 2006, 07:53:32 AM
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12 13 14 ... 27
Print
Author  (Read 21453 times)
PREMANSHU
Guest
«Reply #135 on: May 21, 2006, 08:05:55 AM »
Quote from: "BHONDU"


khamoshi se uski yaad mein sisakna manna hai.
raat bhar uski yaad mein jagna mana hai.
ansoo to bahenge mohabbat jo ki hai.
per pyaar mein itna zada tadapna mana hai.


Kya Baat Hai BHONDU ji

Kaha is duniya ne ki Mohabbat Mana hai,
Ho jay jo Ishq to tadapna Mana hai,
Yeh zamaana kya jaane Dastur e Mohhabat
Ki Ishq mein sab Jayaz hai yahan par MANA mana hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zindagi kaise bitayi humne by nikki in Shairi - E - Zindagi
KAISE KAATOGEE ZINDAGI HUMARE BINA by pandit in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2 3  All »
Pankhuri2
Guest
«Reply #136 on: May 21, 2006, 08:07:47 AM »
good one Premanshu ji and bahoot sahi kaha apne Kavi ji!!

mana na jaane is jamane mai kaya kaya hua
kabhi dil ne mana to kabhi inkaar hua
avchetan man mai hi yaaden uski roti hai
tadpaati hai mujko pal pal, kab kaha chup yah hoti hai
Logged
PREMANSHU
Guest
«Reply #137 on: May 21, 2006, 08:14:48 AM »
Yaadon ko kaha humne ki is Dil se nikal jayein
Bahut tadap chuke hain hum ab humein na aur tadpaien
Par kya karu kahta hai yeh nadaan dil
ki yaadein na rahi to Dhadkanehi na ruk jayein
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #138 on: May 21, 2006, 08:22:25 AM »
wah kaya baat hai

dhadkano mai shor, jakhmo ka hai
lahu mai rawani, tere gum se hai
sanso mai thirkan, tere dard ki hai
zindagi mai teri ek hasrat si hai
Logged
PREMANSHU
Guest
«Reply #139 on: May 21, 2006, 08:27:49 AM »
Bas yahi ek hasrat thi is dil mein
ki kabhi tanha hum na paye khud ko mehfil mein
Tere pyaar ne poori ki hamari yeh harsat
Ke Mehfil ho ya tanhai rehti hai teri yaad saath har waqt
Logged
skumar
Guest
«Reply #140 on: May 21, 2006, 09:42:15 AM »
Bahut bahut shukriya dosto....
thanx phankuri ji,bhondu n janasheen ji...

kabhi aansoo kabhi khushi bechi
hum garibon ne bekasi bechi

chand saanse khareedne ke liye
roz thodi si zindagi bechi
 
jab rulaane lage mujhe saaye
maine uqta ke roshni bechi

ek hum the ke bik gaye khud hi
warna duniya ne dosti bechi
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #141 on: May 21, 2006, 09:59:08 AM »
Quote from: "Pankhuri2"

siskata hai dard bhi mujko ajmaane ke baad
tadpata raha wo bhi, muje chor jaane ke baad
dard ki basati mai gumnaam ho gai Pankhuri
dard na mitta kabhi, ek uske jaane ke baad


dard nhi aapko to mohabbat ajmati hai.
tadapti khud bhi aur.. aapko bhi tadpati hai.
yaaroon mohabbat ki bhi ye aapni ada hai.
tadapker dekho is tadap mein bhi mazza hai...
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #142 on: May 21, 2006, 10:06:06 AM »
Quote from: "Pankhuri2"

dhadkano mai shor, jakhmo ka hai
lahu mai rawani, tere gum se hai
sanso mai thirkan, tere dard ki hai
zindagi mai teri ek hasrat si hai


dhadkano mein shor hai,
ki tum humein aaj bhi yaad kerte ho.
saanso mein tirkan hai ,
ki tum mere liye fariyad kerte ho.
hasrat mujho ko pane ki teri puri na hogi kabhi.
phir tum kyn aapni zindgi barbaad kerte ho.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #143 on: May 21, 2006, 01:24:30 PM »
Nice One Doston Lage raho,..
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #144 on: May 22, 2006, 04:56:36 AM »
Quote from: "skumar"
Bahut bahut shukriya dosto....
thanx phankuri ji,bhondu n janasheen ji...

kabhi aansoo kabhi khushi bechi
hum garibon ne bekasi bechi

chand saanse khareedne ke liye
roz thodi si zindagi bechi
 
jab rulaane lage mujhe saaye
maine uqta ke roshni bechi

ek hum the ke bik gaye khud hi
warna duniya ne dosti bechi


bahoot hi khubsoorat skumar ji!!!

kabhi ansoo to kabhi shikwa juban per ayya
na ayya to bas ek tera naam hi juban per na ayya

ro ro kar, apni dastaan ko jab bhi sunnayya
bas ek tera naam hi juban per na ayya

apni wafa se her roj teri bewafai ko ajmaaya
dil milla kar, kayun tune kabhi najar ko nahi milaya

dard tera diya, roj hi muje rulata hai
phir bhi tera naam juban per nahi atta hai
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #145 on: May 22, 2006, 05:02:22 AM »
Quote from: "BHONDU"

dard nhi aapko to mohabbat ajmati hai.
tadapti khud bhi aur.. aapko bhi tadpati hai.
yaaroon mohabbat ki bhi ye aapni ada hai.
tadapker dekho is tadap mein bhi mazza hai...


bahoot sahi kaha apne Kavi ji, dard nahi mohabbat ajmaati hai....... bahoot khoob!!!

dard mohabbat ko, mohabbat dard ki ajmaati rahi
Umeend uske lout ane ki atti aor jaati rahi
Intzaar-e-mosam mai ajj yah din aayya hai
aise lagta hai jaise ho wo koi mera saya hai

umarbhar mil kar bhi wo mere sath raha
dard ke rasty, is dil per uska raaj raha
khawab ab khud ko bahoot suchy lagty hai
khayalo mai din raat unse ab hum baat karty hai

tadap kaise ki ab yah dil bechain nahi rahta
wo ayye na aaye ab koi fark nahi padta
khamosh tasveer uski bada sath deti hai
umeed uske phir se anne ki jaga deti hai

dard mohobbat ko aor mohabbat dard ki ajmati hai
Umeend uske lout anne ki jaati aor atti hai......
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #146 on: May 22, 2006, 05:04:03 AM »
Quote from: "BHONDU"

dhadkano mein shor hai,
ki tum humein aaj bhi yaad kerte ho.
saanso mein tirkan hai ,
ki tum mere liye fariyad kerte ho.
hasrat mujho ko pane ki teri puri na hogi kabhi.
phir tum kyn aapni zindgi barbaad kerte ho.


zindagi jis se hai, ussi ko yaad karty hai
kaya kare hum toot kar uss se payar karty hai
mana milan kabhi yah nahi sakta
dil ke hatho majboor, yah dil umeend kho nahi sakta
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #147 on: May 22, 2006, 08:48:29 AM »
Nice One Pankhuri Ji Lage Raho,...
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #148 on: May 22, 2006, 09:59:08 AM »
Quote from: "Pankhuri2"

dard mohabbat ko, mohabbat dard ki ajmaati rahi
Umeend uske lout ane ki atti aor jaati rahi
Intzaar-e-mosam mai ajj yah din aayya hai
aise lagta hai jaise ho wo koi mera saya hai

umarbhar mil kar bhi wo mere sath raha
dard ke rasty, is dil per uska raaj raha
khawab ab khud ko bahoot suchy lagty hai
khayalo mai din raat unse ab hum baat karty hai

tadap kaise ki ab yah dil bechain nahi rahta
wo ayye na aaye ab koi fark nahi padta
khamosh tasveer uski bada sath deti hai
umeed uske phir se anne ki jaga deti hai

dard mohobbat ko aor mohabbat dard ki ajmati hai
Umeend uske lout anne ki jaati aor atti hai......


Dard mohabbat ko aur... mohabbat dard ko aajmati hai.
Umeed uske laut aane ki aati aur jaati hai.
soochti thi maut bhi mujho laga jaati gale,
per ab lagta hai ki wo bhi sharmati hai.

Yu to haqiqat mein wo kabhi dikhti nhi.
bas uski yaadein hi hai jo din raat tadpati hai.
khushi ne to humse yu tooda hai rista aapna.
dekhker wo humko kooso door bhagti hai.

chand saansoo se zindgi se ladta jaa raha hu.
deker kuch dost zindgi mujhjo behlati hai.
doobte hue ka koi kinara hota nhi.
lagta hai ye zindgi mujhko sikhlati rahi.

dard mohabbat ko aur... mohabbat dard ko aajmati rahi
Umeed uske laut aane ki aati aur... jaati rahi.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #149 on: May 22, 2006, 10:54:28 AM »
Aazmaaish Hoti Aayi Hai Mohabbat Ki Kayi Zamaane Se,..
Ke Mohabbat Phir Bhi Bakhi Hai Dilon Mein Lakhon Ke Mitaane Se.,,

Jhookti Nahi Mohabbat Kisi Bhi Mord Pe Is Baat Ka Itehas Gawaa Hai,..
Mohabbat To Aur Bhadki Hai Isko Jalaane Se,..

Na Kar Koshish Kahin Tu Isko Mitaane Ki Zaalim...
Ke Jisne Ki Hai Koshish Roshni Uth Gayi Uske Ashiaane Se,..

____________________-Azeem-__________________
Logged
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12 13 14 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 07:30:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer